Part 2 ✔️

1.9K 67 3
                                    

Hello Beautiful People..!!

I'm very GLAD to meet you here, AGAIN..;)

Hoping that you're enjoying the STORY..!!

.

.

.

Manyata and Uday grahpravesh done. (Sorry guys I can't write all the rituals of a Hindu Marriage.)

Unnati: Ab hume milk and ring rasam karni hogi, right dad.

Uday's Aunty 1: Ha Unnati. Bahu ko aur bhi rasam karwani baaki hai aur phir kal subah pehle rasoi aur kul devi ko bhoj chadana hoga.

Unnati: Woo.. Mami sa itne saare rasam hai. Hum abhi se thak gaye hai.

Uday's Aunty 2: Are.. Unnati bitiya.. Aap ko hi saare rasam karwani hai. Bahut mazza ayega.

Unnati: Ok then. Toh rules to aap ko pata hi hai. Kon is ring ko pehle nikalega, life mein unka hi raj chalega. And you guys have 3 chances. Sab log apna parties choose kar lena.

Giriraj: Hum humari beti ke taraf hai.

Unnati: Hum hamesha apne dada ki Chotti hai. Hum unke hi taraf hai. (Manyata and Uday starts to find the ring, their fingers brush each other. They blush and again start to find, first time it is found by Uday and second time is by Manyata.)

Unnati: Dada... this is last chance. Hume jeetna hai.

Uday: Jeetenge toh hum hi Chotti. Yuvraj Udayveer Singh ne haarna seekha hi nahi.

Manyata: Dekhte hai. Agar aap ne haarna nahi seekha toh hum bhi sirf jeetna hi seekha hai. (Manyata and Uday starts to find the ring, this time they find it together.)

Unnati: Are.. yeh kya tha. Dada aap ne tie kiya hai. Ab tie breaker game karna hoga.

Uday's Aunt 1: Nahi bitiya.. Iska matlab yeh hai ki zindagi mein jitne bhi mushkil aye tumhare dada aur Bhabhi sa ek dusre ke saath denge aur use mil kar ladenge. Inka pyaar kabhi khatam nahi hoga aur hamesha ek saath rahenge. (They have a short eye lock broken by Unnati.)

Unnati: Oh.. Ab next rasam kya hai, Mami sa?

Uday's Aunt 2: Unnati bitiya.. Abhi thaaliyon ka rasam hai. Sonia, un thaaliyon ko leke aye. Haa.. ab in thaaliyon ko nikalna hoga bina awaaz kiye.

Unnati: Iss se kya hoga Mami sa? Yeh toh bahut easy lagta hai.

Uday's Aunt: Nahi bitiya.. mushkil kaam hai. 10 thaaliyon ko bina awaaz kiye nikalna koi challenge se kam nahi. (Manyata completes the rasam successfully.)

Uday's Aunt: Bahut khoob bahu.. Iss rasam ka matlab hai ki ghar ki baatein jaise ki problems, parshaaniyan ghar ki bahar nahi jaane degi aur konsi baat kahan pe karne ki samajh ki pariksha hai. Ab agla rasam hai roti banane ka. Yeh rasam sab se mushkil hai. Iss rasam mein hum bhi haar gaye the.

Unnati: Woah... Tab toh yeh rasam bahut tough hone wala hai.

Uday's Aunt: Iss rasam mein Dulhan ko ghoondhe huye atta se roti banana hoga ek hi haath se aur zameen ya belan ki istamal nahi kiya ja saktha. Sochiye beta...😉 (Manyata thinks for a while and smiles indicating she has an idea.)

Manyata: Uday apna haath do. (Uday does accordingly) Manyata takes a ball of atta and places it on Uday's palm and starts pressing it like a roti. She finally makes it and prepares a roti. (Everyone is surprized for her presence of mind and cleverness.)

Uday's Aunt: Bahu... yeh toh khammal kar diya aap ne. Yeh baat toh hamare dimaag mein kabhi nahi aaya. Iss rasam ka matlab hai ki zindagi ki har pareshaani aur har mushkil ko pati patni kitne ache se sambhalthe hai yeh uski pariksha hai.

Unnati: 😊😊... ab toh aaj ke saare rasam ho gaye hai na?

Manyata: Nahi abhi ek aur rasam baaki hai, Unnati. (Manyata lights a diya in the temple. She bows to her Mother in law portrait in the palace. Everyone is surprized and praises her. Giriraj feels happy and blessed to have her as daughter in law of Jaigarh.)

Uday's Aunt: Are bahu.. humne iss rasam ke baare mein bhul hi gaye the. Yeh toh humare zamaane mein hua karta tha. Aaj kal toh yeh rasam koi nahi kar rahe hai. Aap ko iss rasam ke baare mein kis ne bataya?

Manyata: Kuch mahine pehle Ma aur Dadi sa ne hume iss rasam ke baare mein bataya tha. Hum humare shaadi mein saari riti-rivaaj karna chahte hai.

Uday's Aunt: Aaj sahi mein lag raha hai ki aap Rajmata Mrinalini Devi ka khoon hai. Agar aaj Vasundhara Bhabhi sa yahan hoti toh aap pe bahut garv karti.

Giriraj: Ma saheb hamesha sahi kehti hai ki aap unki parchaayi hai.

.

.

.

.

Sorry guys for the SHORT and BORING part.. I promise you that I will increase the number of words in near future..!!

If you don't like the story, please DO NOT READ it. I don't want any HATE COMMENTS..!!

It would be REALLY ENCOURAGING if you click on the STAR icon below..!! Please do VOTE and COMMENT, if you're enjoying the story..!!

Stay tuned for INTERESTING updates..!!

ManVeer FF - After Marriage ✔️Où les histoires vivent. Découvrez maintenant