Possibility? An honest try

2K 120 10
                                    

After 18 days today finally Tej made it downstairs for the breakfast. Though the doctors had advised to refrain stairs only for a week but Devi wasn't convinced and hence he waited for almost 2 weeks. Tej felt nice to sit with the family and gel over the breakfast table with all the fun frolic and conversations.

Post the breakfast Tej went and sat in the hall and Devi called for everyone, everyone had arrived and were waiting, last to arrive were Shaurya and Shaan.

Shaurya- Badi maa apne bulaya? Kya baat hai?

Tej- Shaurya, Devi ne nahin, mein ne sabko bulaya hai. I and Devi had decided something and wanted everyone to know

Shaan- Bhaisaab, aap yeh sab kya soch rahe hai, aap ko aaram karna chahiye.

Tej- Shaan, tum chup karo, mein ab better hoon, aur jo baat karni hai uske liye pheli hi bahut der ho chuki hai.

With that Tej got up and both him and Devi went towards Aastha. Aastha saw them approaching towards her and Shaan, she was scared, what tornado were they bringing in now, was the peace that had settled in the house in last 20 days or so was it peace before the storm, she was confused, she had seen true regret in their eyes, did she read it all wrong, Devi bhabhi had told her herself that morning, her thoughts were brought to rest when she saw Tej folding his hands before her, reflexively she voiced out.

Aastha- Tej Bhaisaab aap yeh kya kar rahe hain.

Tej- Nahi Aastha, mere bahut saare galat faislon ki wajah se tumhe bahut dikkat aur dard ka samna karna pada, ghar chodna pada, tumhe Shaurya se aur Shaan se door rehna pada, ho sake toh mujhe maaf kar dena.   
Shaan was so emotional in the moment, he and nor Aastha ever thought this day would come.

Aastha- Tej Bhaisaab please, aap ye mat kariye. Mujhe koi shikayat nahi hai, mujhe wo sab mil gaya jo mera tha, aur aab hum sabko peeche nahi aage dekhna chahiye.

Devi- Yeh baat Sahi kahi Aastha tumne, lekin ek galti hai jo bina sudhare mein aur Tej aage nahi bad paayenge. Tej ne aur mein yeh faisla kiya hai, hum chahte hain ki hum Shaurya ko tumhe aur Shaan ko wapas lauta de, humne door kiya tha toh aab sahi ye hi hoga ki hum khud tum dono ko usko lauta de.

Everyone was so shocked at what Devi had said, but the whole family was more emotional, everyone had tears in their eyes, especially Shaurya, he was trying to control the outburst but a few tears leaked and so did for other people.

Aastha- Bhabhi iski kya zaroorat hai, Shaurya abhi bhi aap ka beta utna hai jitna hamesha se tha, aapki aur bhaisaab ki jagah mein aur Shaan kabhi nahi lena chahenge. 

Tej- Par apni jagah toh milni chahiye Aastha, aaj tak humne sirf yeh koshish ki kisi tarah hum dono Shaurya ki zindagi mein tumhari aur Shaan ki jagah bane rahe. Par waqt ke saath ye baat samajh aa gayi ki koi kisi ki jagah nahi le sakta, hum uske bade papa aur badi maa hai par maa aur baap nahi ban sakte aur bane ki koshish karna hi galat hai. Rishton mein apni jagah banane ke liye kisi aur ki jagah nahi khali karni padti, har rishte ki apni jagah hoti hai, ek ke hone se doosre ki jagah ya zaroorat khatam nahi hoti.

Devi- Aastha, koi bahana nahi chahiye, aur tumhari koi baat nahi sunani, yeh hum faisla kar chuke hain.

Shaan- Bhaisaab, Bhabhi iski koi zaroorat hai hi nahi, mujhe aur Aastha jo bhi chahiye tha wo sab hai, phir yeh saab kyon?

Devi- Shaan, Shaurya ko alag nahi kar rahe, na hi mera aur Tej ka uske liye pyaar kam ho jaayega, yeh sirf tumhara aur Aastha ka maan , haq aur uski zindagi main adhikar wapas dena ke liye hai. Aur iss liye bhi kyonki ......

And Devi looked at Tej and Tej nodded.

Shaurya- Kyon Ki kya badi maa?

Devi- Kyon Ki ek aur galti hai jisko hamne sudharna hai, mein aur Tej Anokhi ko ...... Anokhi ke parents banana chahte hai, uske saath jo bhi galat kiya hai us ko sudharne ka isse acha mauka aur tareeka nahi ho sakta. Aur Shaurya tum iss baat ko nakaar nahi sakte ki hunme uske saath bahut galat kiya hai aur bahut kuch aisa galat socha bhi jo anjaam tak nahi pahuncha.

Rebuilding for their SonWhere stories live. Discover now