my attachment with sidnaaz

1.6K 71 25
                                    

Guys aaj mae aapko kuch batana chahti hun. I hope aap log read karo. Buhat din hogaye, apni zindagi mein zarur lag gayi lekin kahin na kahin sid ki yaad buhat aati hai, sana ka khiyal aata hai baar baar. Log haste hain ke ek actor hi tou tha, aisi kya attachment. Lekin kisi ko kya pata humari feelings.
I am in my early 20s. Derh saal pehle ki baat ahi feb 2019, i was very disturbed. Meri family mein buhat problems hogaye thay buhat laraiyan and mae rehti bhi family se dur thi, hostel mein. Jab wo jhagre barhe phir mahino tak meri apni baqi family se baat nhi huwi. Uss time covid bhi start huwa and mujhe apne kisi aur relative ke ghar jana para. I was lonely logon ke hotay huwe bhi. Mae raat ko roti thi din ko roti thi, mujhe suicidal thoughts aate thay mae severe depression mein thi. Ek din wese hi maine yt khola, tou mujhe sidnaaz ki video mili. Jab sid bolta hai sana ko ke life mein kabhi khud ko harm mat karna. Uski wo 3 4 minute ki video dekhi phir search kia un dono ko. Do teen aur videos dekhi unki. Mujhe jaise sidharth shukla, Shehnaaz gill aur sidnaaz se pyaar hogaya. Maine bb dekhna shuru kia. Daily, poora season complete kia march tak. Aur mae heal hoti gayi, phir sidnaaz ko insta pe follow kia. Unki roz videos dekhi, unko hype kia, unke mvs dekhe, interviews, har cheez. Yahan tak ke snits ko enjoy kia. Sidnaaz jaise zindagi ban gaye. Aur han mujhe sidnaaz ne strong banaya. Dec 2020 mein i joined wattpad. Sidnaaz lover ban ke. Phir maine sidnaaz stories sochi and june 2021 mein apni pehli story start ki. Mujhe kabhi nhi lagta tha meri story ko 100 se Ziyada views milenge but logon ne buhat pyaar dia, yeh bhi sidnaaz ka dia gift tha. Jab September 2nd 2021, mein sid ko khoya jaise zindagi mein phir khud ko kho diya. Maine di khud ko himmat, maine writing continue rakhi, magar roz tootna aur phir jurna aur phir sabke saamne haste rehna, asan nhi hai. Mae story likhungi, mae aur bhi sarai likhungi jo mind mein hai. Magar socha aaj aap logon se share karun ke mere liye sidnaaz kya hain. Kisne socha tha ke ek 4 min ki video se poori zindagi badal jayegi. Aaj jab baaz ke tweets dekhti hun kahin na kahin aise lagta hai sid likh raha. Sachi bolna kya sabke dil mein yeh nhi aata ke sid ka face nhi dikhaya kya pata wo zinda ho. Aur halanki yeh possible nhi magar hum sab dua karte hain. Bas buhat hogayi emotional baatein. Mere sidnaaz hain na mere sath abhi. Keep loving and keep supporting. Humari baby ki movie aa rahi Honsla Rakh. Sabne dekhni hai❤️

Bb13 journey with sidnaazजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें