Chapter 3: Love Will Find You

964 183 34
                                    

At night, Sukoon served some food on a plate for Agastya. An old man came there with his wife and asked, "Sukoon Beta, tu uss ladke ko kab tak kamre mein band kar ke rakhegi?"

"Jab tak woh maan nahi jaate yaaha rehne ke liye." Said Sukoon.

"Tujhe nahi lagta tu uss ladke ke saath kuch zyada hi julm kar rahi hai?" Asked the old man's wife.

"Unke jaise sakt launde ko aise hi handle kiya jaa sakta hai. Waise aap sabko unki badi fikar ho rahi hai?"

"Fikar toh hogi hi. Bada pyaara ladka hai. Ekbaar uska idhar mann lag jaaye, phir humare saath dosti hone mein zyada waqt nahi lagega."

"Haan aur phir aap sab mujhe bhul hi jaaoge." Said Sukoon making a sad pout.

The old woman pulled Sukoon's ear and said, "Itni jalan bhi acchi nahi hoti."

"Ahhaan! Rekha Dadi chhoro dard ho raha hai." Whined Sukoon.

Rekha Dadi left her ear.

"Anand Dadu aap samjhao Rekha Dadi ko. Baat baat pe mera kaan na kheeche." Said Sukoon.

"Main kya samjhau? Iska bas chale toh yeh mera kaan kheech de." Said Anand Dadu and three of them laughed.

"Accha aap dinner ke liye bulao sab ko. Main Agastya Ji ko khana khila ke aati hoon. Uske baad saath mein dinner karenge." Said Sukoon and then left from there with the plate.

She went to the guest room and opened the door. After entering, she kept the plate on the nearby table and looked at Agastya who was sitting on the bed and looking at the wall blankly.

Sukoon cleared her throat and said, "Agastya Ji, dinner kar li jiye."

Agastya noticed her and anger rushed through his veins. He went to her, hold her throat with his left hand and pinned her to the wall making her scared. He was looking at her with anger filled red eyes.

"Samajhti kya ho tum apne aap ko? Itni si ho kar mujhe qaid kar ke rakhogi? Agastya Rao ka gussa tumne abhi tak dekha nahi hai Ms. Sukoon Saxena. Tumhe andaza bhi hai main tumhara kya haal kar sakta hoon?"

Sukoon somehow removed his hand from her throat and pushed him away. She took deep breath and said, "Pagal ho kya aap?....Thodi der aur mera gala daba ke rakhte toh main marr jaati. Agar main marr jaati toh aap ko jail ho jaati. Aur jail mein qaid rehna, yaaha qaid rehne se battar hai. Kyu khamkha khud ke dushman ban rahe hai?"

Agastya looked at her with disbelief and said, "Tumhe darr nahi lag raha mujhse?"

Sukoon laughed and said, "Aap se darungi? Aap ki khud ki itni tuti futi halat hai. Suppose agar aap mujhe maar ke yaaha se bhagne ki koshish bhi karte hai, toh yaaha ke log mil ke aap pe attack karenge. Aur filhaal sabse saath akele ladne ki strength aap ke andar nahi hai. Isliye main bol rahi hoon, kuch dino ke liye ruk jaiye idhar."

Agastya sighed and again sat on the bed. He was very much frustrated now.

"Tumhe akhir chahiye kya mujhse? Listen main paise dene ko ready hoon. But please let me go." He almost begged.

Sukoon smiled and sat beside him.

"Aap ki zindagi mein se bas kuch pal chahiye mujhe. Denge aap?" She said softly.

He looked at her and asked, "Aur woh main tumhe kyu doon? Lagti kaun ho tum meri?"

"Koi nahi." Replied Sukoon.

"Toh phir kis haq se rok rahi ho mujhe? Jaane kyu nahi deti?" He asked again.

"Haq hai. Uss nurse ne kya kaha tha yaad hai aap ko? Maine sahi waqt pe blood donate kar ke aap ko ek nayi zindagi diyi hai. Abhi aap jo zindagi jee rahi woh meri diyi hui hai. Isliye aap ki zindagi pe mera haq hai, chahe thoda sa hi kyu na ho. Soch li jiye uss hi haq se rok rahi hoon."

Broken But Beautiful (Completed)Where stories live. Discover now