Chapter 7: Feelings

1K 194 55
                                    

"What are you saying? Tune kaha tha tu jitni zaldi ho sake wapas aayega. Aur abhi tu keh raha hai ki tu nahi aayega. Is it some kind of joke?" Said Rishabh with disbelief.

Agastya sighed and said, "Calm down! Maine yeh nahi bola ki main nahi aaunga. Just mera wapas aana postponed ho gaya hai. Marriage Anniversary ke agle hi din main Mumbai wapas aa raha hoon. Even I have booked tickets."

"Postponed karne ki kya zaroorat thi? Tu already itne dino se ghar nahi aaya."

"Yeh bhi toh mera ghar hi hai na? Upar se Sukoon ne aise kaha...."

Rishabh didn't let him finish and said, "Sukoon matlab teri woh nayi dost? Phir toh sahi hai. Accha kiya tune. Bohut pyaar se bola hoga na usne tujhe rukne ke liye?"

"Haan pyaar se....." Agastya suddenly stopped realising that Rishabh was teasing him and asked, "Tu kehna kya chah raha hai?"

"Yeh hi ki tu gaya. Ek baar phir se tu gaya. You have started feeling for her."

"Feeling?" Asked Agastya with disbelief. "What rubbish!"

"Toh aur kya kahu? Aaj kaal teri har baat pe Sukoon ka zikr hota hai, usse chhor ke tu jaa nahi paa raha, uske ek baar kehne pe tu ruk gaya.... Bhai, pehle se hi warn kar raha hoon. Bohut bure tarike se fasne wala hai tu."

"Rishabh ab tera zyada ho raha hai. She is my friend yaar! Maine uske baare mein kabhi waise nahi socha. Aur abhi meri jo condition hai, main kisi ke bhi baare mein waise nahi soch sakta. Pyaar se main dur hi thik hoon."

"Kyu nahi soch sakta? Tujhe kya lagta hai? Saari ladkiyan uss chudhail Rumi jaisi hoti hai? Sukoon bhi waisi hi niklegi?"

"Pagal hai kya? Sukoon Rumi se bohut alag hai. Woh toh kitni bholi, masoom aur dil ki saaf hai. Rumi sirf dusro ko dard dena jaanti hai. Lekin Sukoon....." Agastya smiled after taking her name and said, "Sukoon jaanti hai kaise dusro mein pyaar aur khushiyan baanti jaati hai. Aaj tak maine jitni bhi ladki dekhi hai, sabse alag hai Sukoon."

Rishabh sighed and said, "That's what I was saying. Tu gaya mere Bhai. Jis ladki ke baare mein tu bina ruke itni saari tareefein kar raha hai, main maan hi nahi sakta tere dil mein uske liye koi feelings nahi hai."

Agastya's expression changed hearing that. He said denying, "Mujhe woh acchi lagti hai iska yeh matlab nahi hai ki mere dil mein uske liye koi feelings hai. So just stop speaking nonsense."

"Accha chal abhi nahi hai. Aage bhi nahi ho sakta kya?"

"Nahi." Replied Agastya sternly. "I only loved Rumi. She broke my heart. Now I can't even think of falling in love again."

"Oh God! Agastya life is all about moving on. Aur tune woh gaana nahi suna? Pyaar hota kayi baar hai."

Agastya rolled his eyes and said, "Shut up Rishabh."

"Ok fine. Tujhe abhi meri baatein samajh mein nahi aayegi. Lekin jab apni feelings ke haathon majboor ho jayega na, tab sochega ki tera yeh dost sahi keh raha tha."

Saying that Rishabh hanged up. Agastya sighed and kept his phone aside.

"Kuch bhi bakwas karta hai yeh. Sukoon aur main? It's not even possible. I don't have any feelings for her." He thought convincing himself.

He came out of the room while thinking, "Galat keh raha tha Rishabh. Mujhe kisi se pyaar nahi ho sakta. Aur Sukoon se toh bilkool bhi nahi. Woh meri bohut acchi dost hai bas. Mere dil mein nahi hai koi feelings uske liye. Nahi hai, nahi hai, koi feelings nahi hai."

Agastya was continuously saying that in his mind.

Suddenly Sukoon came there saying "Agastya suno....."

Broken But Beautiful (Completed)Where stories live. Discover now