Chapter 59

1.3K 53 6
                                    

Listening to her words, Rajveer leaves her and turns away, confusion overtaking the place of anger in his eyes."Humne kya galti ki hai, jiski saza aap pana chahte hain?" she asks in anger. "Kya apko pata tha ki humein wapas bulaya gaya hai? Kya hum tak koi information ayi? Ya kya humne jaan bujh kar delay kia KMA wapas aana? Hum to humein jo task dia gaya tha, wohi pura kar rahe the na?"as she speaks this line, Rajveer turns to look at her. His stare makes her to realize where she is 'wrong'! The realization makes her to shiver. She quickly lowers her eyes. Still she remains stubborn! Although not daring to meet his eyes, she says, lowering her voice,"humne koi galti nahi ki".

Her admission makes his heart to swell. Suddenly he feels that nothing is indeed wrong. "Jo bhi ho Naina, tumhe aisa nahi karna chahiye tha", he tells her, this time not in anger but out of concern."Mujhey apse baat hi nahi karni", now it is her turn to get angry. Without giving him a last look, she moves towards the door. As she holds the handle of the door, Rajveer calls her from behind, "ruk jao Naina".Turning her head just a little, towards left, Naina says, "humesha apki hi baat manti hun. Aap jab jaisa chahte hain waisa hi karti hun, par ab nahi" saying this she starts to pull the door, that Rajveer replies, "agar meri baat manti, to shayad main yahan nahi, apni saza ko face kar raha hota"."Exactly! Phir bhi apko aisa lagta hai ki main galat hun?" she asks getting angry.

Getting irritated on the fact that she is unable to understand him, he says, "Naina tum samjh kyu nahi rahi..." "Main sub samajh chuki hun Sir, ab mujhey aur kuch nahi samajhna" saying this she leaves for her room, leaving behind a frustrated Rajveer.

"Nahi Naina, tum nahi samjh rahi, kuch nahi samjh rahi. Aaj tak kisi ne mere liye nahi bola, meri madad nahi ki. Koi bhi museebat ho, koi bhi baat ho, har baat se maine khud deal kia hai, fir aaj koi mera saath kaise de sakta hai? Jo deewar maine apne aas-paas bana rakhi hai, ussey tum kyun todna chahti ho, kyun? Aur waise bhi, meri galti to thi na!" his eyes brims with tears. "Main kuch pal ke liye bhool gaya tha ki main kon hun, tum kon ho. Main kaise bhool gaya ki humara rishta ek teacher aur ek student ka hai. Bus, isse zada kuch nahi. Koi nahi samjhega ki tum meri student ke saath-saath mere dost ki behn bhi ho. Koi nahi samjhega. Aur jab sub ko ye pata chalega ki tum Naveen ki behn ho to tum... tum par bhi sub ungli uthayenge, aur main ye bardasht nahi kar paunga, kabhi nahi" he wipes away his tears and looks heavenwards, and says, "main tumhara mentor hun... aur kuch nahi... aur kuch nahi..." (Rajveer-Naina slow tune begins in the background)

****

Huda goes to the games room in anger and starts punching the boxing bag. "Phoolan, maine kabhi nahi socha tha ki tu aisa karegi" he speaks to himself in anger. After punching it for sometime, he holds the red boxing bag and says, "iss Huda ne tujhey apna subse acha dost mana. Aur tu... Phoolan, Huda jananiyon ki bohot izzat karta hai, par aaj mujhey aisa lag raha hai ki kahin abki baar maine galat insaan par to bharosa nahi kar lia?"

As he says this, Alekh enters the games room."Kamaal hai Huda, aaj tujhey apne doston par nahi, balki baki zamana kya kehta hai uss par yakeen hai?" Without turning to look at him, Huda replies, "Qaidi mujhey akela chor de mujhey abhi kisi se koi baat nahi karni" saying this Huda punches the bag again, hard, his face expression reflecting his anger.

Rajveer-Naina - The Mystery Begins!Where stories live. Discover now