Chapter 3

891 45 7
                                    

~17.01.2020

AJ: Antara kahin nahi jaayegi Maa. Wo yahi isi ghar me ham sab ke saath rahegi.

Dadi: Ye tu kya bol raha hai Lalla. Tu is Antara ko is ghar me rakhna chahta hai jisne tere bachon ko maar diya aur tujhe aur Guddan ko alag kar diya.

AJ: Haa Maa. Yehi chahta hun mai ki ye is ghar me rahe. Kyunki mai ne jo Guddan ke saath kiya hai na Maa us ke liye mujhe isse badi saza nahi mil sakti ke mai apni saari zindagi is aurat ke saath rahoon. Bohot dil dukhaya hai na Maa maine Guddan ka, to ab saari zindagi mujhe bhi to takleef honi chahiye aur wo tabhi hoga jab ye meri aankhon ke saamne rahegi. Pal pal tadpoonga mai jab mai apne bachon ke kaatil ko apne aankhon ke saamne dekhunga. Har din mujhe ye yaad aayega ke usne har us insaan ko mujhse door kiya jo mere qareeb tha har pal mera dil dukhega jab mai us aurat ko apne saamne dekhunga jis ke wajah se mai aur Guddan ek saath nahi honge. Is se badi saza mujhe aur nahi mil sakti Maa.

Dadi: Teri saza tak to theek hai Lalla lekin is ki saza ka kya, jo gunaah is ne kiye us ki saza bhi to is shaitaan ko milne chahiye na.

AJ laughs evilly looking at Antara, moves towards her and gives deadly glares to her.

AJ: Maa agar ham ise kanoon ke hawale kar dete to wo ise ek do din me phaansi ki saza suna dete.

Lekin iski asli saza ek din me ek maut mar kar nahi zindagi bhar har pal hazaaron maut marne ka hai. Bohot shauk hai na ise Mrs.Akshat Jindal banne ka to tum saari duniya ke liye meri patni to hogi lekin tumhari asliyat aur meri zindagi me tumhari ahmiyat sirf is ghar ke char deewaron ke beech hogi. Duniya ke liye tum bohot lucky hogi kyunki tum Mrs.Akshat Jindal hogi lekin tumhara luck tumhe kitna bacha sakta hai ye sirf tum jaan rahi hogi. Tumhe bohot shauk hai na doosron ki zindagiyon ke saath khelne ki,ab mai tumhari zindagi ke saath aisa khel khelunga ki tum ek saans bhi lene se pehle sau baar sochne par majboor ho jaaogi. Bohot shauk tha na tumhe mere saath rehne ki ab tum apne isi shauk par kaamp uthogi. Log marne ke baad narak me jaate hai na mai is duniya me hi tumhari zindagi aisa badal dunga ke tumhe is zindagi se narak ki zindagi behtar lagne lagegi.

A

ntara gets frightened and was thinking about her life which was going to take a drastic turn and the only cause for it was she herself.

AJ removed his turban and all other accessories, took the car keys and was about to leave the house when Dadi questions him.

Dadi: Kahan ja raha hai Lalla.

AJ: Apni zindagi ko waapas laane, jis ke bina meri zindagi kuchh bhi nahi hai. Apni Guddan ko waapas lane ja raha hun.

Dadi: Ja aur lekar aaja meri Guddan ko us ke bina ye ghar aur ye ghar waale kuchh bhi nahi hai nahi hai.


AJ rushes out sits in his black Scorpio and drives to each and every corner of the city where he could find her. He connects to all his contacts who could help him to find Guddan. He was so restless that he could not live a single moment of his life without his lifeline i.e.his Guddan.

Another Scene.

Guddan ran out from the house and went to the nearby park and falls down on her knees. She was vigorously crying remembering what happened. Revati came to her following and was trying to console her but to no avail. Her tears were continuously flowing from her eyes by remembering each and every moment and finally speaks up to reduce her pain.

Guddan: Kyun Chutki?Kyun?Hamare saath hi hamesha aisa kyun hota hai. Kyun hamari hi kismat me hamari khushi nahi likhi hai. Hamne kisi ka kya bigada hai ki hame itni takleef mil rahi hai. Kyun?

Soon it started to thunder and heavy winds were blowing and the next moment it started to rain heavily. It was unseasonal but it was the proof that the whole universe was crying on the separation of two souls which are bounded together forever by infinite love.

Guddan and Revati both were completely drenched in the rain.

Revati: Ro lijiye Di. Baha dijiye apni takleefon ko apne gamon (griefs) ko in barish ke boondon ke saath. Apni zindagi ki saari buri yaadon ko dho dijiye is paani se.

Guddan started to cry louder and at last she screamed at the top of her voice.

Guddan: Jindal Sahab!!!!!

Here AJ failed to find her and came out of his car in an isolated place sat down and rested his head on the door of the car and was now completely drenched and was crying louder as he could not find her. He screamed her name at the top of his voice.

AJ: Guddan!!!!!!

AJ returned back to home and Dadi came to him while questioning about Guddan.

AJ: Har jagah dhund liya Maa ,Har flight, har train, har bus, har cab, har taxi, har hotel, jahan bas pade har jagah pata karwaya Maa lekin Guddan ka koi pata nahi. Chali gayi wo mujhe, ham sab ko chhod kar, ham sab se door, bohot door.

============================

P.S: I know it's a bit short update but I have to end it here as from the next chapter leap will be introduced and all the readers will be witnessing a new life of our AKSHAN...
So be ready for the next chapter..

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz