Chapter 41

266 23 62
                                    

Guddan: To bataiye Jiju, aapko kya lagta hai? Jaise doctors ne kaha ki twins honge, to donon boys honge, girls honge ya ek ladka aur ek ladki honge.

Aadarsh: Mujhe to donon girls chahiye. Meri do princesses.

Sunidhi: Haan, haan taaki donon betiyaan apne Papa ke team join ho kar mujhe achhe se pareshaan kar sake.

Aadarsh: Tum to aise bol rahi ho jaise wo donon sirf meri betiyaan hai, tumhara to koi rishta hi nahi hai unse.

Sunidhi: Maa-beti ke beech rishta hota hai lekin unka attachment unke Papa ke saath zyaada hota hai.

Aadarsh: Haa lekin iska matlab ye nahi hai ki..........

Guddan: Bas, bas, bas!!! Aap donon phir shuru ho gaye? Di, dekhiye aapke babies na abhi phir kick karenge aap donon ka jhagda sun kar.

And the next moment she really felt the kick one after the other.

Sunidhi: Waah Chhoti, tu to abhi se in bachhon se itna attach ho gayi hai, inke aane ke baad to lagta hai wo apne Mummy Papa donon ko bhool jaayenge aur sirf tujhse hi chipke rahenge. Mai keh rahi hun, aap bhi sun lijiye, babies ke Papa ji.

Guddan: Haan, haan tab dekh lenge na. Jiju, kahaan jaa rahe hai aap, yahaan se right lena hai.

She said directing him the way as they were in a car, the couple seated front and Guddan on the back seat.

Aadarsh: Pata hai Chhoti, lekin ye teri behen ki baaton me itna indulge ho gaya ki dhyaan hi nahi raha.

Guddan: Di, aap na mujhe Chhoti bulana band kariye, please. Ab mai chhoti nahi rahi badi ho gayi hun. Aap ki wajah se na Jiju bhi mujhe Chhoti bulane lage hai aur Kunal Bhaiya bhi mujhe Chhoti hi bulate hai.

Sunidhi: Tu meri Chhoti thi, hai aur hamesha rahegi. Tujhe pata hai tujhe ye naam kisne aur kaise rakha?

Guddan shooks her head that she didn't knew about it.

Sunidhi: Bhale hi tu Maasi ki pehli aur badi beti thi lekin Maa ke liye to doosri beti thi na, yaani mujhse Chhoti isiliye Maa ne tujhe Chhoti bulana shuru kar diya aur phir Maasi ne bhi tujhe Chhoti bulana shuru kar diya aur un donon se maine.....

Guddan: Aur phir aapse baaki sab ne. Hai na? Ab to donon hi nahi hai mujhe Chhoti bulane ke liye, na hi Maa aur na hi Badi Maa, to aap bhi mujhe Chhoti bulana band kariye.

Sunidhi: No ways! Jab tere bachhon ki shaadi ho jaayegi, tu boodhi ho jaayegi na, apne pote, potiyon aur naatiyon ke saath khelegi na tab bhi tu meri Chhoti hi rahegi, aur mai tab bhi tujhe Chhoti hi bulaungi.

Though her words were pouring love and affection for her cousin who's more like a sister to her, Guddan only received those words which were a cause of heart-wrenching pain to her. Realizing the reason behind her silence they decided to cheer her up.

Aadarsh: To Sunidhi, check up ke baad hame kahaan jaana hai?

Sunidhi: Obviously Ice-cream parlour. Poore 4 logon ko Ice-cream khaani hai.

Aadarsh: Chaar? Lekin ham to sirf teen hi hai na? Mai, tum aur Chhoti.

Sunidhi: Maine aapko kabhi involve hi nahi kiya. Mai, mere donon babies aur Chhoti. Chhoti tujhe Ice-cream khaani hai na?

Guddan (absent-mindedly): Haa..

Aadarsh: Kounsi flavour khayenge mere babies??? Haan?

He asked caressing the 7 months old baby bump of his wife and steering the car with one hand.

Sunidhi: Obviously mera favourite Butterscotch!

Aadarsh: Tumhara favourite kyun? Babies to mere bhi hai, mera favourite bhi to unka favourite ho sakta hai na. Babies sirf Pista flavour Ice-cream khayenge.

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.On viuen les histories. Descobreix ara