Chapter 14

596 33 24
                                    

~22.02.2020

AK'S HOUSE,

Ahaan goes to his room and gets freshen up and comes out to have lunch when he sees his Mumma still in the house.

Revati: Ahaan, aaiye lunch kar lijiye.

Ahaan goes to AK.

Ahaan: Mumma! Aap abhi tak shooting ke liye nahi gaye?

AK: Abhi thoda time hai jane ke liye. Kyun kya hua?

Ahaan: To phir aap ne Arya se jhoot kyun kaha ki aap ko late ho raha hai?

Revati sees her and understands that she is hiding something.

AK: Maine jhoot nahi bola. Mujhe ghar pe thoda kaam karna tha isliye mai jaldi aa gayi.

She goes to her room and sits doing some work on her laptop.
Revati thinks,"Ye di ko achanak se kya ho jata hai. Samajh me hi nahi aata hai ki unko kya ho raha hai".

Revati and Ahaan have their lunch and Ahaan narrates the whole day to her.

JINDAL BHAVAN,

Arya comes to the house murmuring to herself," Kitne khadoos hai Dadda, mai gusse me kya chali gayi mere saath aaye bhi nahi mujhe ghar tak chhodne. Is baar to mai unse pakka baat nahi karungi. Is baar unhone sirf apni princess ko hi nahi, meri Angel ko bhi naraaz kiya hai. Itni aasani se to maafi nahi milne wali unko."

While murmuring all these she collided with Durga.

Durga: Arya, tum? Abhi aa rahi ho tum? Aur restaurant kyun gayi thi?

Arya: Ha, late ho gaya mujhe aane me. Mai restaurant gayi thi Dadda se milne lekin wo wahan nahi the. Mai unke aane ka wait kar rahi thi isiliye late ho gaya.

Durga: Agar tum AJ se milne gayi thi to tum akele kyun aa rahi ho. Wo nahi aaye tumhare saath?

Arya: Aap nahi jaante, bohot busy hai wo. Kisi ke liye bhi time nahi hota hai un ke paas.

She goes to her room to fresh up while here AJ was standing on the door and he has listened to her.

Durga: AJ! Kya hua hai, Arya aise kyun bol rahi thi.

AJ: Kuchh nahi, mai us ke paas jaata hun.

Durga: Thik hai.

AJ goes to Arya's room.

ARYA'S ROOM,

AJ enters the room and sees Arya lying on the bed.

AJ: Arya, I am sorry. Please... Aapko gussa karna hai to mujh par kariye na aise khane par nahi karte na. Ye dekhiye ye samose kab se wait kar rahe hai ki aap ise khaye aur aap hai ki kha hi nahi rahe hai. (He made the samosas in the restaurant and got it for her).

Arya gets up takes it from his hand and starts eating.

AJ: Ab to aap gussa nahi hai na.

Arya: Bohot gussa hun lekin aap par. Mere favourite samose ki kya galti hai isme isiliye mai kha rahi hun. Ab aap mujhse baat mat kariye. Waise bhi khana khate samay baat nahi karte.

And she again continues eating.

AJ: Mai ab samajh gaya hun ki aap mujhse isliye naraaz ho na kyunki mai aapke Angel se nahi mila aur un ko upset kar diya. To agar wo mujhe maaf karde to kya aap bhi mujhe maaf kar doge.

Arya: Bohot jaldi samajh gaye aap. Aap unko sorry boliye, agar wo maan gayi to mai bhi aap ko maaf kar dungi.

AJ: Lekin mujhe unse sorry bolne ke liye aap ki help chahiye.

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.Where stories live. Discover now