Chapter 24

435 27 37
                                    

~15.05.2020

AK'S HOUSE,

AK and Karan reach the house drenched completely in rain water.

Revati: Di, Karan!! Aap donon aise bheeg kaise gaye?

Karan: Madam, bahar shower on hai, naha ke aa rahe hai.

Revati: Seedhe seedhe bata nahi sakte baarish ho rahi hai.

Karan: Jab tum jaanti ho to pooch kyun rahi thi.

Revati: Tum se na....

AK sneezes due to the cold effect.

Revati: Ek minute, mai abhi towel lekar aati hun.

She gives towel to both of them.

Karan: Hey mera champ kaisa hai??(he was going to pick him up)

AK: Hey ruko!!

Karan: Ab kya hua?

AK: Bheeg jayega wo, sardi ho jayegi. Door hato usse.

Karan: Protective Mother!!

AK: Ha hun mai, to?

Karan notices Ahaan's dull face.

Karan: Kya hua Ahaan?

Ahaan: Kuchh nahi, mai thik hun.

Everyone realise the reason for his behaviour. So, AK goes near him.

AK: Ahaan!!

Ahaan doesn't looks at her.

AK: Ahaan idhar dekhiye.

Ahaan looks at her.

AK: Kya hua?

Ahaan: Kuchh nahi. Aap mujhse baat kar rahi hai?

AK: Aur kisse baat karungi mai?

Ahaan: Nahi, mujhe laga ki aap mujhse naraaz hai isiliye aap mujhse baat nahi karengi.

AK: Ahaan!! Mai na hi aapse gussa hun, na hi naraaz hun.

Ahaan: Kyun? Maine to galti ki hai na.

AK: Wahi to!! Aapne galti ki hai aur aap ko apni galti ka ehsaas bhi hai. Aur mai aapse baat kyun nahi karungi? Maine pehle aise kiya hai kya?

Ahaan nods in no.

AK: To phir? Aapne galti ki hai to mai aapko samjhaungi ki aapne galat kiya hai. Ye gussa hona, naraazgi dikhana sahi nahi hai. To ab bataiye ki aap ne kya galti ki hai?

Ahaan: Mai aapke permission ke bina, Arya ke saath restaurant chala gaya.

AK: To aapko kya karna chahiye tha?

Ahaan: Aap se permission leni thi. Ya phir aap ko call karke bata dena tha.

AK: Aur aapne aisa kiya?

Ahaan: Nahi.

AK: Next time se aap aisa karenge??

Ahaan: No.

AK: Pakka??

Ahaan: Promise Mumma!!

AK: Good boy!!(and kisses him on his cheeks)

AK: Ahaan! Ham sab aapse bohot pyaar karte hai, aapke liye kuchh bhi karenge, bas aap hamse baat kariye aur hame bataiye ki aapko kya chahiye. Ham aap ke liye sab kuchh karne ke liye taiyar hai. Aise bina bataye kuchh bhi nahi karna. Aap pehle bhi unke restaurant gaye, unke ghar bhi gaye lekin aapne mujhse permission li. Kya maine mana kiya tha aapko(he nods in no). To is baar bhi nahi karti aur na hi kabhi karungi. Bas aap mujhe bata dijiye. Agar mai busy hun to Maasi ko bata dijiye lekin please phir se kabhi aisa mat kariye. Aap ne Mumma ko dara diya tha. Agar aap wahaan nahi hote to.....(she was having tears in her eyes)

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.Where stories live. Discover now