Chapter 7

616 34 25
                                    

~25.01.2020

MUMBAI,

Ahaan was crying in his room when Revati comes to him.

Revati: Ahaan please ro mat, Dekho Mumma gussa me thi na isiliye unhone aap par gussa kar diya warna wo kabhi aisa nahi karti na.

Ahaan: ( crying) Wahi to kyun gussa kiya mujh par. Meri koi galti nahi thi, mai to bas wo photo dekhne ja raha tha wo bhi gir gaya kyunki Mumma ne zor se chilla diya. AK ne aaj tak saari duniya par gussa kiya hoga par mujh par nahi, lekin pata nahi aaj kya ho gaya mujh par itna saara gussa kar diya, Khadoos!

Revati: Ahaan aise nahi bolte, wo aapki Mumma hai na, dekho kal hame Indore bhi jana hai na to isiliye Mumma stress me hongi. Abhi Chalo ham sab milkar packing karte hai. Ok!

Ahaan: Not at all Ok.

Meanwhile Revati was consoling Ahaan, AK replaces the photo in her locker and goes to have bath. She gets ready and was ready to go to Ahaan's school to collect his certificates and Academic records. She comes to the living room and ordering the servants to complete their work, listening her voice Revati comes to the living room with Ahaan at back of her.

Revati: Di, kahaan jaa rahe hai aap?

AK: Mai Ahaan ke school jaa rahi hun aur us ke baad kuchh kaam bhi hai aane me late ho jayega. Tum sab apni packing kar lena.

Revati: Di! Nashta to kar ke jaaiye.

AK: Mujhe late ho raha hai and I don't want to be late.

AK goes to Ahaan's school and collects all the required documents and sits in her car. She sees his name and remembers morning's incident and thinks
"Faaltu me itna gussa kar diya Ahaan par, koi galti nahi thi uski. Aaj pehli baar uspe itna chillaya hai mai ne, kaisa feel kar raha hoga wo. Jaldi se ghar jaa kar uska favourite pasta banaungi aur khud bhi khaungi, mujhe bhi bohot bhook lagi hai, usse pehle mai Mall jaa kar uske liye new dresses aur new toys le leti hun, wo khush ho jayega."

AK reaches the mall and enters inside. Some of her fans were coming and clicking pictures and selfies with her. She goes to the kids section and does all the shopping and when she was about to step on to the escalator she feels giddy and was about to fall when someone holds her.

INDORE,

AJ was in his restaurant and thinking about morning's incident.

"Bekaar me Arya par itna gussa kar diya, uski koi galti nahi thi, itna chilla diya uspe kitna dar gayi thi wo subah. Mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Ghar jaa kar use mana loonga.

AJ goes to home and directly goes to the kitchen. Arya was already at home.

Durga: AJ! Aap aaj itni jaldi aa gaye aur wo bhi seedha kitchen me. Aap ko kuchh chahiye to boliye na mai kar deti hun.

AJ: Nahi Durga bahu! Aap se kuchh kaam nahi hai. Wo bas Arya ke liye samose bana raha hun. Aaj subah uspe gussa kar diya tha na aur ab wo mujh par gussa hogi to us ka gussa khatam karne ke liye us ke favourite samose bana raha hun.

Durga: Ye to aapne sach kaha ki Arya aap par gussa hai lekin aap ke paas use manane ka tariqa bhi hai, so best of luck, mai chalti hun.

AJ: Mai bhi dekhunga ki meri princess apne Dadda se kab tak naraaz rahegi.

And starts preparing samosas.

AJ enters Arya's room only to find her doing her homework alone.(Usually she used to take help with any of the family members but today she didn't as she was afraid that like AJ any other would scold her).

An AKSHAN Story- Journey From Him, To Him.Opowieści tętniące życiem. Odkryj je teraz