CONVINCING AMARSRI

1.5K 95 23
                                    

All the Tridev and Tirdevi along with Kartik and Ganesh were currently at Harihar lok, convincing Amarsri to meet Srinav but she was in denial.

"Amarsri jeevan mai sabko prem chahiye jisse woh purn ho." Mahadev said.

"Hume hi dekho, mai sansaar ka paalanhaar hu, paalan karne hetu dhan chahiye iss liye mera vivah Devi Laxmi se huya. Brahmadev rachaita hai aur rachna ke liye gyan chahiye, iss liye unka vivah Devi Saraswati se hua. Aur Mahadev sansaar ka vinash karte hai jiske liye unhe Shakti chahiye, iss liye unka vivah Devi Parvati se hua." Narayan said.

"Kintu mujhe kiski awashyakta ? Sansaar ka santulan sthapit karne hetu kaun awashyak hai ? Jo asantulan kare ?" Amarsri asked.

"Nahi, jo tumhari buddhi ko shaant rakhe. Kyuki santulan tab hi sthapit hota hai jab man shaant ho." Brahmadev said.

"Tumhare Bhrata Kartik aur Anuj Ganesh ke do-do vivah ho chuke hai. Tum hi akeli ho ab." Mata Parvati said.

"Usse yaad aaya Ganesh, Shubh aur Labh kaise hai ?" Amarsri asked.

"Dono kushal hai Jiji." Ganesh said.

"Amarsri baate mat badlo." Kartik said, Amarsri sighed.

"Aap sabhi ko pata ki mai yeh Vivah kyu nahi karna chahti hu. Srinav abhi taiyaar nahi hai, aur shayad iss jeevan mai kabhi na ho. Usme woh gun nahi hai jo usko manushyata se Ishwaratwa ki oor le jayenge." Amarsri said.

"Prem ke liye toh sab taiyaar hi rehte hai, uske liye koi alag se samay nahi chahiye." Mata Laxmi said.

"Aur rahi baat Ishwaratwa ki toh tum uska maarg Darshan kardena. Manushyata se Ishwaratwa ka maarg tumse adhik kaun janta hai ? Tum dono ek dusre ke liye hi ho." Mata Saraswati said.

"Kshama karna, kintu mai Srinav ke saath ek nahi ho sakti. Abhi ke liye toh nahi, isme usi ka labh hai." Amarsri said leaving.

The gods sighed at this, it was hard to convince her. But they had to as it was necessary for the universe as well as her. She needs someone to complete her.

"Uchit toh keh rahi hai." Mahadev said.

"Kaise swami ?" Mata Parvati asked.

"Srinav ko pata bhi nahi hai ki Harihareshwari kaun hai. Fir woh kaise Ishwaratwa ki yatra karega ?" Mahadev pointed out.

"Yeh sab uski maa, Dakshyani ke karan huya hai." Brahmadev said.

"Toh kyu na iss vishaye mai hum unki sahayata kare ?" Mata Saraswati suggested.

"Kaise Devi Saraswati ?" Mata Laxmi asked.

"Hume Srinav ko Amarsri ke hone ka bodh karana hai aur dono ka parichaye karana hai." Mata Saraswati said.

"Uttam Sujhav hai Devi Saraswati, agar dono kaise bhi mil jaye toh unki prem kahani awashya shuru ho jayegi." Narayan said.

"Kintu yeh sab hoga kaise ?" Mata Parvati asked. Everyone looked at Ganesh.

"Sab mujhe kyu dekh rahe hai ?" Ganesh asked.

"Kyuki Anuj tum buddhi ke devta ho, koi upaye do." Kartik said.

"Buddhi ka devta hu iska matlab har baar mere hi paas kuch upaye hoga ?" Ganesh asked.

"Arthat nahi hai ?" Kartik asked.

"Awashya hai, kintu fir bhi." Ganesh said, everyone chuckled.

"Toh putra jaldi se batao." Mata Parvati asked.

"Kal dopahar ko aap unhe kailash par bhojan hetu amantrit kijiye, bas." Ganesh said smiling.

¤¤¤¤¤
A/N
SPOILER ALERT : AMARSRI IS RIGHT HERE

GANESH JI KYA UPAYE LAGAYE HO ?

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now