ARGUMENT

931 86 18
                                    

"Mera aisa apman jeevan mai kabhi nahi hua !" Dakshyani said and stomped away.

"Dakshyani !" Adarsh went behind her.

Srinav looked at Amarsri who looked at him confused. He gave her a look of disbelief and went after Dakshyani.

"Srinav !" Amarsri called going after himp.

"Humne yeh yagya rakha tha taki dono saath rahe kintu Dakshyani ne sab bigad diya." Brahmadev said.

"Aaj ek baat sidh hogayi Brahmadev, niyati ko hum tridev bhi nahi badal sakte." Mahadev said.

"Viyogh ki chingari toh dono mai lag hi gayi hai." Narayan said.

♡♡HARIHAR LOK♡♡

Srinav was pacing back and forth in the forest of Harihar lok trying to calm his mind.

"Priye ?" Amarsri called, coming towards him. But Srinav gave no response.

"Mera Dakshyani ke charan na chhuna unke hit mai hi tha. Mai vivash thi." Amarsri said.

"Log Mata ko ahankari kehte hai, kintu aaj aapne sabke samne apne bhagwan hone ke ahankar ko pradarshit kar hi diya." Srinav said.

"Hum devi-devtao ke niyam thode bhinn hai Srinav." Amarsri said.

"Kintu aap prithvi ke paramparao aur ritiyo se abhigya nahi hai." Srinav argued.

"Ha parantu maine unn ritiyo ka varsho pehle hi tyaag kardiya hai. Jab tumhe swayam ke Shreeshaktishwar hone ka bodh hoga tab tumhe meri baat samajh aayegi." Amarsri said.

"Aap apni bhul ko bhagwan hone ke aawran mai dhak rahi hai ! Mai yeh kataye maanne ko taiyar nahi ki bhagwan se koi truti ho hi nahi sakti. Aaj aapne Mata ka apman kar mujhe ahat kiya hai." Srinav said.

Amarsri frowned as to why are they fighting all of a sudden. They were happy till they went to Brahmalok and this fight is because of a useless reason. And then suddenly her trikal-darshi powers hit her and she gets the ultimate damned realization.

"Priye mai kabhi swapn mai bhi tumhe ahat nahi pahucha sakti hu. Kintu agar fir bhi tumhe lagta hai ki mujhse koi bhul hui hai toh mujhe kshama karo." Amarsri said.

"Swamini, kshama maangni hai toh meri Mata se mangiye jinka apman huya hai." Srinav said.

"Agli baar mai unse bhi kshama maang lungi Priye." Amarsri said, internally pleading to destiny.

"Nahi swamini, parivaar ka dwesh jitni jaldi khatam ho utna hi accha hai. Hum abhi chalte hai." Srinav said.

"Aaj nahi Srinav, aaj nahi." Amarsri said.

"Nahi swamini hume aaj hi jana hoga. Dwesh ek chingari ki tarah hota hai agar shigreh na bujhe toh rishto ko jala deta hai." Srinav said.

"Samajhne ki koshish karo Srinav !! Aaj nahi jaa sakte hum !!" Amarsri exclaimed.

"Accha...ab samajh aaya. Aap kshama mangna hi nahi chahti !" Srinav said.

"Aisi baat nahi hai Srinav !" Amarsri said.

"Aisa hi hai, aap agar mujhse prem karti toh issi shan kshama maangne chalti." Srinav said.

"Srinav !" Amarsri scolded.

"Swamini, agar aap mujhse prem karti hai toh hum issi shan jayenge." Srinav said.

Amarsri fell silent, she didn't understand how to stop him. Seeing her silence Srinav gave an empty chuckle.

"Mata sahi kehti hai, aap mujhse prem nahi karti. Mujhe aapne apne yogya kabhi samjha hi nahi." Srinav said and walked away.

Amarsri ran towards her and held his hand stopping him.

"Srinav samajhne ka prayas karo maine tumse nishchal prem kiya hai. Kintu aaj waha jana tumhare hit mai nahi hai. Aur agar mai gayi toh waha kalesh hoga." Amarsri said.

"Bahana na banaye Devi Harihareshwari." Srinav said and left.

"SRINAV MAI TUMHE YEH AADESH DETI HU, ISSI SHAN RUK JAO !!" Amarsri called. But Srinav didn't listen and left.

"Aur aapki kahi har baat mujhe sadev swikarya hogi." Amarsri remembered his promise.

Amarsri fell on her knees as fear entagled her heart and mind. Tears streamed down her face not because Srinav broke one of the promises but because she was scared of the consequences for it.

"Aaj se inn teeno vachano ka palan karna mera dharm hoga. Aur jis bhi din mai kisi ek vachan ka palan na kar paya toh woh din mere jeevan ka antim din hoga." The words of Srinav ringed in her minds.

"SRINAV !!" Amarsri screamed.

¤¤¤¤¤
A/N

ARZ KIYA HAI !

AAJ MERE READERS DHUNDENGE PRITHVI KA KONA-KONA...
AAJ MERE READERS DHUNDENGE PRITHVI KA KONA-KONA !!

DAKSHYANI RAAT KO DARWAZA BAND KARKE SONA !!
(WAH WAH WAH WAH)

BHAI MERE READERS BAHUT KHATARNAK HAI...BAAT AMARSRI PAR AAYE TOH GALA MARODKE KE JEEBH BAHAR NIKAL DENGE...BAHUT KHATARNAK HAI BAHUT KHATARNAK......

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now