MEMORIES

1K 83 19
                                    

Vaishno devi, Narayan and Mahadev all were together discussing whether it would be good idea to erase the memory of Srinav from Amarsri’s mind.

"Virah ki vedna mai yeh smritiya hi toh Devi ka sahara banegi." Vaishno devi said.

"Kintu yahi smritya vedna ki aag mai aahuti dengi. Inn smritiya ko lekar Amarsri shayad apne karm aur dharm dono ko bhul jaye." Mahadev said.

"Shreeshaktishwar toh kahi aur janm leke hi Devi Harihareshwari ko bhul jayenge. Aur agar yeh bhi bhul gayi toh dono mai prem kaise hoga ?" Vaishno devi asked.

"Devi Vaishanvi woh prem hi kya jo smritiyo ke mitane se mit jaye." Narayan said.

Perhaps it wasn't righteous erasing the memory of her soul mate but it was for the best so the universe doesn't loose the one who balances it.

The three deities prayed to devi Yogmaya and soon she appeared in front of them.

"Mujhe kis karan vash aapne yaad kiya prabhu ?" Yogmaya asked.

"Devi Yogmaya aap swayam Maya hai, smritiya aapke vash mai hai. Hum chahte hai ki aap Srinav ki saari smritiya Amarsri ke man se lupt kardijiye." Mahadev said.

"Kya !?" Yogmaya asked in disbelief.

"Yeh satya hai yogmaya, Shreeshaktishwar ne swayam hume yeh upaye bataya hai. Agar hum yeh nahi karenge toh mujhe bhaye hai ki Amarsri dukh mai apna Ishwaratwa bhula degi aur Sansaar ko santulit karne wala koi nahi hoga." Narayan said.

"Kintu Harihareshwari ke man se Shreeshaktishwar ki smritiya mita du !? Kya sansaar ka santulan isse nahi bigdega ?" Yogmaya asked.

"Hum humesha ke liye smritya mitane ke liye nahi keh rahe hai, jab Shreeshaktishwar aur Harihareshwari ka milan hoga tab Amarsri ki saari smritiya wapas aajayengi. Aur waise bhi devi, isse Amarsri ko dukh se mukti milegi." Mahadev said.

"Agar isse Amarsri ko dukh se mukti milegi toh mai awashya sahayata karungi. Kintu yaha ek vidambana hai." Yogmaya said.

"Kaisi vidambana ?" Narayan asked.

"Amarsri trikal-darshi hai, isse inki smritiya mitane ke baad bhi inhe sab yaad aajayega kyuki samaye ke har kaal bhut ya bhavishya dono se yeh parichit hai." Yogmaya said.

"Iska hal hai mere paas, jab tak Harihareshwari aur Shreeshaktishwar ek nahi hote tab tak mai Amarsri ki trikal-darshi shaktiya lelunga." Mahadev said.

"Kintu Amarsri ko smritiya kab aur kaise milni chahiye ?" Yogmaya asked.

"Agar Harihareshwari aur Shreeshaktishwar prem ke 7 pag saath chal le tab." Narayan said.

"Uchit hai." Yogmaya agreed.

♡♡♡♡

Amarsri was sobbing in front of Srinav's body suddenly she realized she wasn't in prithvi lok but in her own abode Harihar lok.

"Amarsri ?" Yogmaya said appearing in front of her. Amarsri stood up and wiped her tears.

"Yeh sab ? Aur aap yaha ?" Amarsri asked confused.

"Mujhe abhas huya ki tumhe yog-nidra ki awashyakta hai." Yogmaya said.

"Abhi nahi, woh Srinav...." Amarsri choked on her words.

"Kaun Srinav ?" Yogmaya asked.

"Lagta hai yog-nidra ki awashyakta aapko hai. Mai uss Srinav ki baat kar rahi hu jo mere hridaye mai vaas karta hai, woh jiska janm mujhe purn karne ke liye huya tha. Woh Shreeshaktishwar jo sansaar ko sthir kiye huye hai." Amarsri said sadly.

"Kaun ? Mujhe toh smaran nahi." Yogmaya said.

"Yeh uphaas ka samaye nahi hai yogmaya. Srinav toh.." Amarsri trailed off looking a bit unsure.

"Tum swayam mai hi purn ho Amarsri, sansaar toh tumhare karan hi sthir hai." Yogmaya said playing with her mind.

"Kintu yeh kaise sambhav ho sakta hai ? Mera vishwas kijiye Srinav se toh mera vivah huya tha.....shayad..." Amarsri said unsure. Yogmaya kept a hand on her forehead making her feel dizzy.

"Tumhe nidra ki awashyakta hai, kadachit tum bahut thak gayi ho." Yogmaya said making her forget all the memories of Srinav.

¤¤¤¤¤
A/N

ARZ KIYA HAI !

MEERA KRISHNA KE DARSHAN HETU ROYE...
MEERA KRISHNA KE DARSHAN HETU ROYE !

MERI KITAB HI KYA JISME EK BAAR YADDASH NA KHOYE !!
(WAH WAH WAH WAH)

SACH MAI YAAR BOOK 1 MAI AMARSRI KI YADDASH KHOYI, BOOK 2 NARAYAN KI, OCEAN OF LOVE MAI SAGARIKA KI (PICHLA JANM THA BUT STILL). SOCHTU HU YADDASH KHONE PAR APNA TRADEMARK LAGA DU...

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now