CONFESSIONS

1.2K 88 16
                                    

Srinav has been restless ever since the lotus incident. Adarsh noticed it and decided he won't be silent now and will answer his every question. So he approached her and told him to ask away all his questions.

"Pitashree naam toh mai Vaishno devi ka likhna chahta tha kintu phir Devi Harihareshwari ka naam kaise likha gaya ?" Srinav asked.

"Kya tum unke baare mai soch rahe the likhte samay ?" Adarsh asked. Srinav nodded.

"Issi liye. Manushya wahi karya karta hai jo uska man usse karne ko kehta hai." Adarsh said.

"Kintu mai unke vicharo mai aise kyu kho gaya ?" Srinav asked.

"Isse prem kehte hai putra." Adarsh said smiling.

"Mujhe unse prem kyu hoga ?" Srinav asked.

"Kyuki tumhara janm unke liye hua hai." Adarsh said. Srinav's eyes widened.

"Kya !?" Srinav exclaimed.

"Yeh satya hai. Mata Parvati aur Mata Laxmi ke aashirwad se tumhara janm huya tha taki tum Devi Harihareshwari ko purn karo." Adarsh said.

"Agar aisa hai toh Mata ko isse kya aapatti hai ?" Srinav asked.

"Uska putra-moh bich mai aa raha hai kyuki Manushyata se Ishwaratwa ka maarg bahut kathin hai." Adarsh said.

Srinav fell silent, so he was born for the one and only Harihareshwari. Then why was she avoiding him all this time ? There must be a reason for it.

"Meri maano toh tum kuch der bahar ghum aao. Man ko Shanti milegi." Adarsh advised. Srinav agreed and left.

To clear his mind he made his way to the lush green forests of kailash, it was not so far from the palace. Why he chose kailash ? He didn't knew.

Suddenly he heard a faint sound of Veena. He followed the sound and entered deep inside the forest.

But where was the sound coming from ? Ganesh convinced Amarsri to play Veena as she was present in kailash. And as he realized that she is lost in music he disappeared from there.

When Srinav located the source of the music he was overjoyed seeing Amarsri, the one he was born for. He smiled listening to the blissful music she was playing.

Amarsri felt Srinav's presence and her fingers stopped as she realized that Ganesh had tricked her again, even after being Trikal-darshi, she still was the daughter of Bholenath.

She opened her eyes and saw Srinav smiling at her. He came closer to her and bowed, she raised her hand in Abhay Mudra blessing him.

"Kyu aaye ho yaha ?" Amarsri asked standing up and keeping the Veena aside.

"Apne prashno ka uttar dhundne aaya hu. Aapse milne ke baad mai, mai nahi raha. Man mai prashn hai ki din bhar keval aapki yaado mai kyu khoya rehta hu, aisa kyu lagta hai ki aapse koi sambandh hai mera." Srinav said.

"Man mai prashn uthta hai ki aisa kya hai jo mujhe aapki oor-" "KUCH NAHI." Srinav tried to say but Amarsri interjected.

"Keval bhram aur uske sivaye kuch bhi nahi. Iss saiyog ko koi paribhasha dena uchit nahi hai Srinav. Apne aap ko bhatkane se tumhe kuch prapt nahi hoga." Amarsri said.

"Aap jisse bhram kehti hai woh mera prem hai aapke prati. Kitna bhi prayas karu kintu yeh sansaar mujhe aapke nikat pahucha hi deta hai, aur aaj mujhe iska uttar mil gaya. Mera toh janm hi aapke liye huya hai." Srinav said.

"Accha laga ki tumhe swayam ke baare mai pata chal gaya hai. Kintu mai tumhara prem swikar nahi kar sakti." Amarsri said. Srinav frowned.

"Mera janm aapke liye huya hai yeh janne ke baad mere jeevan mai aur kuch raha hi nahi. Aur agar aap mujhe swikar nahi karengi toh mera kya hoga ?" Srinav asked.

"Humara milan nahi ho sakta Srinav." Amarsri said.

"Parantu kyu ?" Srinav asked.

"Tum Janna chahte ho ?" Amarsri asked. Srinav nodded. From her feet she drew a line between them.

"Toh suno. Humare bich mai ek rekha khichi huyi hai jisse tum par karke mere paas nahi aa sakte ho." Amarsri said.

"Yeh kaisi rekha hai ?" Srinav asked.

"Mrityu ki." Amarsri said. Srinav looked at her confused.

"Sabhi ki yatra iss ek rekha par khatam hoti hai aur iss rekha ke pare meri duniya hai. Tumhara sharir 5 tatvo se bana hai Srinav, jo yeh rekha paar nahi kar sakta." Amarsri said.

"Agar yeh 5 tatvo ka sharir mujhe aapse dur karta hai toh mujhe iska tyag karna swikarya hai." Srinav said.

"Hat mat karo Srinav ! Mujhe bhul jao, issi mai tumhara hit hai." Amarsri said.

"Agar aapko hit ki chinta hoti toh aap woh vyakti jiska janm aapke liye huya hai usse swayam ko bhulane ke liye nahi kehti. Satya toh yeh hai devi ki aap mujhe apne yogya hi nahi samajhti." Srinav said and went away from there upset by her refusal. Amarsri sadly looked at him.

"Mere prati tumhare iss akarshan ko toh mujhe hi khatam karna hoga, Srinav. Prem ki iss peeda se tumhe mukt hona hi hoga." Amarsri muttered.

¤¤¤¤¤
A/N
WHAT WILL SRINAV DO NOW ? BUT MOST IMPORTANTLY WHAT IS DAKSHYANI'S PLAN TO SEPARATE THEM ?

HAPPY MAKARSANKRANTI YOU ALL !!

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now