DAKSHYANI'S PUNISHMENT

1.1K 80 10
                                    

Dakshyani was given the shock of the day when she saw Srinav worshipping the idol of Harihareshwari. She ran towards him, grabbed his hand and made him abruptly stand up.

"Yeh kya kar rahe the tum ?!" Dakshyani exclaimed.

"Puja kar raha tha Mata." Srinav said innocently.

"Bhole banne ki cheshta mat karo Srinav ! Maine tumhe inka naam lene se bhi mana kiya tha aur tumne unki puja shuru kar di !?" Dakshyani scolded. Srinav got confused.

"Kisi bhi devi ya devta ki puja karna paap toh nahi hai." Srinav said.

"Toh ab tum apne Mata ko sahi aur galat sikhaoge !?" Dakshyani asked pulling a classic mother trick. Srinav fell silent.

"Tumne mere adesh ka ulanghan karke mera apman kiya hai." Dakshyani said.

"Kshama kare Mata." Srinav said lowering his gaze.

"Tumhe kshama tab hi milegi jab tum Devi Harihareshwari ka naam bhul jaoge." Dakshyani said.

"Yeh sambhav nahi ho sakta Mata. Kisi ko itne jaldi bhulana mere vash mai nahi." Srinav said.

"Toh yeh naam tumhare man se mai mitayungi ! Tumhe 1000 safed kamal ke pushpo ke har pankhudi par Vaishno Devi ka naam likhna hoga !!" Dakshyani said.

"KYA !?" Srinav exclaimed.

"Sahi suna tumne. Vaishno devi ka naam 8000 baar likhne se tum Harihareshwari ka naam bhul jaoge." Dakshyani said.

"Yeh karya kal pratah kaal se pehle ho jana chahiye Srinav." Dakshyani ordered and left. Srinav sighed.

Dakshyani stomped in her room and Maharaj Adarsh noticed that she was angry and frustrated.

"Itni vyakul kyu ho priye ?" Adarsh asked.

Dakshyani took a deep breath and told everything to Adarsh whose eyes widened listening to the harsh punishment.

"Tumne itna kathor dand Srinav ko diya !?" Adarsh exclaimed.

"Maine jo bhi kiya uski bhalayi ke liye hi kiya hai." Dakshyani said.

"Dakshyani tum niyati ko nahi badal sakti." Adarsh said.

"Mai ek Mata hu, shaashtro mai Mata ko Ishwar ke upar sthan diya hai. Mai chahu toh awashya niyati badal sakti hu." Dakshyani said.

"Yeh tumhari mamta nahi bol rahi, yeh tumhara ahankar bol raha hai. Tumhe apne Mata hone par ahankar hai." Adarsh said.

"Aapko jo kehna hai kahiye kintu mujhse behtar uski bhalayi koi nahi janta." Dakshyani said.

"Aisi kaunsi bhalayi jo tumne usse aisa kathor dand diya !?" Adarsh asked.

"Dekhiye Maharaj, isme samaj ka hi labh hai. Aapke baad Srinav ko hi rajpath chalana hai. Agar woh tap mai leen hoga toh samaj ka uddhar kaun karega ?" Dakshyani asked.

"Woh toh chala jayega Devi Harihareshwari ke paas aur hum dono vridhawasta mai akele pad jayenge. Kshama kare kintu mai usse swayam se dur nahi kar sakti." Dakshyani said.

"Itna moh uchit nahi Dakshyani." Adarsh said stomping away.

"Sansaar mai moh karne yogya keval apni santaan hi hoti hai Maharaj !" Dakshyani said from behind.

¤¤¤¤¤
A/N
MOH TOH NARAYAN NE BHI KIYA THA AMARSRI SE....BAAD MAI HUM SABKO PATA HAI PATAL LOK KA KYA HAAL HUYA THA.

MOH IS NEVER GOOD. CHAHE MANUSHYA KARE YA PARAMATMA.

HARIHARESHWARI 3 : PREM-LEELAWhere stories live. Discover now