Telling the families

188 24 8
                                    

Aryan returned home to a worried Rathod Family, they knew of Imlie being in the hospital and visited her daily, Raghav had texted them that Imlie was awake and exhibited no physical damage but did not share anything beyond that. He asked Arpita to speak to Aryan if she wanted more details.

Arp- Ruk ja aaru..Imlie kaisi hai abhi? aur tu raat bhar kaha tha? pata hai ma kitni tension mein hain, unhe sleeping pills deke sulana pada mujhe

Su- Saale sahab Imlie kaisi hai? Aur kaha hai? Mein gaadi nikalta hun Arpitaji hum usse lene chalte hai

Ar- Ruk jaao Sundar, Imlie abhi yaha vapas nahi aayegi, aap log uska aur Chinika saaman bandh lijiye..woh ab Hindujas ke saath hi rahegi, abse wohi uska ghar hai

Arp- Par vaha toh weekend mein jaane ka plan tha na? Toh ab woh tik hain toh yahi aayegi na? Yeh kya bol raha hai tu?

Arpita screamed at Aryan, she and Sundar received the update on Imlie's partial memory loss from Raghav and could imagine what had happened. Just then the kids came running out asking for some food and Arpita stood their confused and almost in tears. Chini had been told that Imlie was out of the town for a few days for a work commitment with her dadda and was staying at the Rathods, waiting eagerly for her Imaliya to return.

Su- Arpitaji aap bacchon ko dekhiye mukje saale sahab se kuchh baat karni hai

Arpita left with the kids after Sundar promised her he would tell her everything later.

Su- Toh yeh sab kya ho raha hai? Sachh bol payenge aap humse?

Ar- Maine kabhi aapse jhooth bola hai Sundar

Su-Har baar jhooth bola hai saale sahab...inn paach saalo mein har baar jhooth bola hai jab aapne hum sabko yeh yakeen dilaya hai ki aap apne aapko sambhalenge! Imlie kaha hai? Uska ghar unn logo ke saath nahi yaha hai!! Hum sab ke saath!

Aryan explained everything to Sundar who felt hopeless after hearing what Aryan had done.

Su-Yeh kya kar diye aap? Aap hote kaun hai Imlie ke zindagi ka itna bada faisla lene wale?

Ar-Kamal hai Sundar kabhi aap log kehte hain mujhe Imlie ke life mein phirse khushiyan lani chahiye, aap log woh pehli waali Imlie wapas chahte  hain na...woh jaldhi wapas aayi hui dekhenge aap sab

Su-Par iss tarah? Aap ne iss bar ek nahi char zindagiyon ka faisla akele le liya; Imlie, Chini, Imlie ka dost aur aap khud! Aur humare parivaron ka kya?

Ar-Mein yeh sab nahi janta Sundar, meine sirf Imlie ko dukhh diye hain...mein uske liye thik nahi hu itna hi main janta hun...

Su-Hanh aapne usse bahut dukhh diye hai! sacch hai... par kya unn dukho ke beech koi acche pal nahi the? Kya unn ladaiyon mein ek dusre ke liye pyar nahi tha? Kya aap dono ki narajgi main ek dusre ka khayal nahi tha? Ek rishta apni pehchaan bass burre palon se nahi acche palon se pata hai!!  Aur Imlie aapke saath khush thi!

Ar-Thi...kabhi kuch vakt ke liye woh khush thi!

Su-Abbhi bhi ho sakti thi , agar aap usse woh 5 saal yaad dilaye bina yeh kehte ki woh aapki patni hai!!  Arpitaji aur ma ko apna parivaar mil jata!! Arre aap dono ki shaadi bhul jaate hai do minit...woh yaha kirayedaar bankar hi vapas aajati !! Aur aap dekhte aap dono wapas ek ho jaate kyuki chahe jo hojaye pyar itni aasani se nahi marta saale sahab!!

Ar-Wohi toh mein nahi chahta! Mein nahi chahta woh vapas mere kareeb aaye, she deserves better...mein uski yaadon ke sahare jee sakta hun par usse mere karan phir mushkilo mein nahi dekh sakta...mere saath ghut ghut kar jeete hue nahi dekh sakta....aur phir wahi sab hota, aaj nahi toh kal, mein phirse uska dil tod deta...

Su-Toh yeh sab aap Imlie ke liye nahi apne liye kiye hai toh?

Ar-Aap jo samhajna chahte hain aap samhaj sakte hain!

Arylie- Aryan Imlie aur WohWhere stories live. Discover now