Chapter 9

2.2K 183 62
                                    

They all sat on dining table... Haseena served them and started eating... She noticed anushka and riyaz a bit nervous..

HM: kya hua hai tum dono ko.. Tabse dekh rahe hai nervous lag rahe ho... (Doubtful)

An: woh... (Looked at him) hume aapko.. Aap sab ko kuch batana tha..(tensed)

AS: aisi kya baat hai.. (Doudtfully eating a bite)

Ri: (took a deep breath) mai aur ani dost nahi hai relationship mai hai.. (Closed eyes)

All looked at them in shock who had closed their eyes... Darsh was clueless and asked bringing them out of shock..

DM: aap sab ko kisne sechu(statue) kiya.. Humebhi sechu khelna hai.. (Cutely)

HM: bacche aap khana kho.. Khate waqt baat nahi karte.. (Then looked at ri and ani)

AS: kya yeh sach hai ani..

An: haan bhaiya..(timidly)

KS: ab tak kahe nahi bataya.. (Rudely)

Ri and An: woh dar lag raha tha...

HM: kuch aisa waisa to nahi kiya na.. (Strictly)

An: nahi sisi.... We swear bilkul bhi nahi.. (Baffled and scared)

Ri: haan.. Aisa kuch nahi hua hai ab tak.. (Same scared tone)

They three looked at each other and smiled..

All: phir theek hai....

An and Ri: haan.. (Shocked) matlab sach..

AS: haan.. Sach bata diya tumne woh bahut hai...

HM: hmm... Aur haan.. Yeh time paas type toh nahi hai na.. (Sternly)

KS: haan.. Aisa hai toh bata do..

Ri: nahi.. Aisa nahi hai.. Hum dono serious hai..

An: haan.. Bilkul time paas nahi hai..

All laughed and chuckled together and happiness.. Darsh frowned at this and started crying...

HM: are.. (Panicked) kya hua hai baccha.. Ky.. Kyun ro rahe ho.. Koi chot lagi... Teekha lag gaya.. Hmm..??

AS: ek minute haseenaji.. (To darsh) kya hua Mr. Handsome 2..

DM: aap sab akele hanse.. Kya joke hai hume bhi sunao... Hume bhi sunna hai.. (Cried loudly)

AS: achha...(stretching) woh kya hai na aapke maamu se mil rahe the hum.. Woh buddhu hai na isiliye.. (Like kids)

DM: yes... Maamu buddhu hai.. Yayy!!! (Laughing)

Haseena just gazed at how effortlessly anubhav handled darsh.. All others were also happy..

HM: (in mind) hume pyaar hoga jab hoga par inke saath hamara baccha khush hai toh hum bhi khush.. Hum anubhav sir ko puri tarah se khush rakhne ki koshish karenge.. Shayad physically hum taiyaar na hon par emotionally har tarah se support karenge... Ab hume yakin hai ki yeh shaadi ke liye haan karke humne koi galati nahi ki...

All completed dinner and retired for their homes...

Anubhav's house,
He entered and found maa awake... He went near her and asked 

AS: maa aap itni late tak kyun jag rahi hai.. (Politely)

M: tera intezaar kar rahi thi.. Tu us haseena ke ghar gaya tha na.. (Disgustingly)

AS: maa... Hum haseena se shaadi karna chahte hai... (Calmly)

M: kya... (Shocked) woh ladki bina byahi maa hai aur abhi pata nahi kis kis ke saath..

AS: (cuts her) maaa.. (Shouted) sach jaane bina aise kaise bol sakti hai aap.. (Pleading)

M: toh tu bata kya sach hai... (Frustrated)

AS: maa darsh unki dost ka beta hai.. Use aur uske pati ko uske sasur ne maar diya.. Isiliye haseena ne use paala aur koi us bacche ko bura na bole isiliye sabki nazron mai khud ko gira diya.. Aisi ladki jo kisi aur ke bacche ke liye apni zindagi dede woh ladki kitni nekdil hogi.. (Praising her)

M: kyaa... Matlab woh ladka uski dost ka beta hai.. Toh usne ek najaaiz bacche ko kyun apnaya... (Confused)

AS: maa... (Disappointed) darsh ke maa baba ki shadi ho gayi thi par unke parivaar ne unhe apnaya nahi tha... Aur haseena ke bahut kareeb this woh dost isiliye apnaya..

M: achha.. Par shaadi ke baad woh baccha... (Raised eyebrows)

AS: woh yahin rahega hum dono ke saath.. Hum usse bahut pyaar karte hai aur haseena se bhi.. Haseena darsh ke bina nhi rahengi isiliye darsh to yahin rahega na...

M: thik hai...(halfheartedly) Hum jald se jald shaadi ki tareekh nikalwate hai... (Happily)

AS: maa.. Abhi hume sirf sagaai karni hai.. Hum dono shaadi ke liye kuch waqt chahte hai.. (Calmly and politely)

M: thik hai.. Hum nikalwate hai sagaai ka muhurat.. (Patted his cheek)

Haseena's home..
Haseena had put darsh on bed and called ammi and mahipal on video call..

A: hello... Kaisi hai meri bacchi.. (Lovingly)

MS: bahut dino baad yaad aayi hamari.. Aur hamara naati kaisa hai..

HM: bilkul Thik hai... So raha hai.. Aur abhi hume baat karni hai.. (Nervous)

MS: bol bacche.. (Concerned)..

HM: ammi.. Chachaji hum woh..

A: kya baat hai haseena.. (Tensed) sab thik hai na..

HM: ammi woh hume shaadi karni hai.. (Took a deep breath)

Mahipal and ammi looked at each other and smiled..

A: par tune toh kaha tha ki... (Confused) aur kon hoga jo tujhe darsh ke saath apnaega.(scared)

MS: haan beta aur darsh ke saath kuch.. (Tensed)

HM: ammi woh hamare DSP sir hai na unse.. Woh darsh ko apnana chahte hai.. Aur humse bhi pyaar karte hai.. Woh chahte hai ki hum shadi kar len darsh ke liye kyunki hum unse pyaar nahi karte.. (Calmly)

A: tu pyaar nahi karti toh khush kaise rahegi beta.. (Creased forehead)

HM: humne sagaai aur shadi ke liye kuch waqt maanga hai unhe janne ki liye aur bharosa toh hume unpe hai.. (Smiled) hum bas aapki izazat aur khushi chahte hai.. Aap aake unse mil lijiye aur agar aapko thik lage toh hum is shaadi ke liye taiyaar hai.. (Sighed happily)

MS: thik hai beta... Hum aate hai kal milne.. (Smiled)

A: haan beta.. Hum unse milke batate hai ki woh hamare bacche aur naati ke liye thik hai ya nahi.. (Strictly)

HM: ji ammi... Good night chachaaji.. Ammi..

A and MS: good night..

Haseena hang up the call and slept thinking of her new life..

UPCOMING
Family meets.. What will they decide..
Stay tuned....
Bye.... 👋👋

I know, aaj ka part thoda boring tha but next parts ko connect karne ke liye jaroori tha.. Aur agle parts mai romance nahi par anuseena cute moment and talks hongi... Wait for it..

Tell me how you found chapter... Is it good or bad... Suggest is you didn't liked something or want something specific.. But, like and comment your honest reviews...🙂

Abuse and bashing is not allowed... Healthy criticism and suggestions are welcomed.... 🙂

They Are Mine.... Where stories live. Discover now