9. Plan (part 2)

567 28 9
                                    

Hey ! Welcome to 9th part of story...

(A/N :- All these chats are going on in present , i will mention wherever the flashback will start)

Sumedh : Toh uske bad maine tumse kitni baar baat karne ki koshish ki par tum meri baat sunne ke liye tyar hi nahi thi !

Phir jab hamari next class thi tab maine dheere se monika ko class ke baad bahar garden me milne ko kaha...

Monika : or tujhe yaad hai class ke baad maine file submit karne ka bahana banaya tha , tab mein sumedh se hi milne gyi thi....

Flashback :- 

In garden ;

Monika : ha sumedh kyun bulaya mujhe yaha pe ? 

Sumedh : Monika ! thank you tum yaha aa gyi meri help karne...

Monika : thanks ki koi jarurat nahi hai mai ye sab jo kuch bhi kar rahi hun mallika ki khushi ke liye kar rahi hun.... Tum pehle batao plan kya hai ?

Sumedh : toh suno , mai kal mallika ko poore college ke samne propose karne wala hun... Lekin uske pehle mujhe tumhari help chahiye tumhe mallika se aaj baat karni hogi uske man mein jo dar hai use nikalna hoga... Actually main mallika se baat karleta par woh meri baat hi sunne ke liye tyar nhi hai... Or sabse badi baat agar mai usse kuch bhi kehta hoon toh use lagega mai yeh sab usse haa bolne ke leye keh raha hun....Or baat wahi khatam ho jaegi.. Lekin tum uski best friend ho agar tum baat karogi toh woh jarur samjhegi mujhe poora yakeen hai ki tum karlogi...Karogi na ?

Monika : ha vo sab tum mujh par chhod do mujhe pata hai ki mallika se kya bat karni hai or kaise karni hai ? Lekin sumedh tum use poore college ke samne  propose karoge toh akhil bhi wahi hoga or use dekh ke toh mallika waise hi dar jaane wali h toh phir woh tumhe accept kaise karegi?

Sumedh : yahi toh mera plan hai , main mallika ko sabke samne isliye hi propose kar raha hun taki akhil or uski gang hi nahi poora college dekhe... Ki mallika apne dar ko hara kar apne dil ki baat sunti hai... Or sach kahun toh mujhe yeh farak nahi padta ki mallika mujhe ha bolegi ya na , mujhe farak is baat ka padta hai ki woh apne dil ki sunti hai ya nahi... ab dekna yeh hai ki kya mallika apne dar ko hara kar apne dil ki baat sabke samne rakh pati hai ya nahi...

Monika : toh kya tumhe dukh nahi hoga agar mallika tumhe na bolegi toh ?

Sumedh : hoga , kyun nahi hoga lekin usse kayi zayada khushi hogi jab woh apne dar se nikal kar apne dil mein jo hai woh kahegi...

Agar mai use pyar karta hun aisa zaruri toh nahi hai na ki woh bhi mujhse payar kare... Isliye agar mai use propose kar raha hun toh aisa zaruri toh nahi hai na ki mujhe haan kare...

Main use paane ke liye ye sab nahi kar raha Main toh bas use apne dil ki baat bata rahoon aur badle mein yahi chahta hun ki woh apne man mein jo dar hai use hatakar apne dil ki baat woh mujhe batade... Main use bilkul bhi force nahi karna chahta , agar aisa kiya toh mujhme or nikhil mein antar kya rahega...

Monika eyes were filled with tears to see so much love of sumedh for mallika...(even my too😢)

Monika : tum tension mat lo sumedh mallika apne dil ki baat jaroor kahegi main use baat karoongi aaj , or dekhna mujhe poora wishwas hai woh ha hi kahegi... Kyunki tum jaisa pyar karne wala saathi bahot kismat walon ko milta hai... Or jinka pyar sachcha aur niswarth hota hai na unhe safalta jaroor milti hai....

Sumedh just smiled and nodded his head....

Back in present :- 

Mallika's eyes were also filled with tears to see so much love and care...

Ek Duje Ke VaasteWhere stories live. Discover now