Hum Tum

2.4K 201 85
                                    

Continued from previous part

Maa-waise bahut mazza aaya aaj pura din sapariwar ghumne mein....(maa said smilingly).

Ammi-haan bahut accha laga aur khana toh kya lajwaab tha....

AS(in mind)-yeh baat toh aaj siddh ho gyi ki kabhi man mein socha hua pura nhi hota tabhi toh sirf dopahar tak ghumne ki yojana banai thi par sandhya ke saat baj rahe hai aur hum ab ghar pahuchne wale hai aur aaj pata nhi maa aur ammi ko kya ho gya hai jab bhi ghar jane ki baat kar rahe the tab kahin aur hi chalne ki baat kar de rahi hai....dophar ke khane ke baad pehle shopping phir chacha chachi ke ghar uske baad mandir sab jagah ghuma diya hai hume......

HM-Anubhav.......(she called him in loud voice).

AS-kya hua itne jor se kyu chilla rahi hai....(he asked while coming from his thoughts).

HM-aap ghar ka address bhul gye hai kya....(she asked angrily).

AS-nhi toh....

HM-toh ghar ke aage gadi kyu nhi roki....(angrily).

AS-hamara ghar piche rah gya....(he asked in confusion).

Maa-haan nalayak....(angrily).

AS-sorry....

Ammi-jaldi se gadi back lo...

AS-ji ammi....

Mother and Ammi take Aabhas and Dhvani in their arms and Anubhav and Haseena reach the door of the house with shopping bags, Anubhav opens the door.

Maa-Anu jaldi se light on kar...

HM-hum karte hai...

As soon as Anubhav and Haseena step into the house, the lights of the house turn on and rose petals start falling on them.

Anubhav aur Haseena both are shocked and sees the whole house, the house is decorated with balloons, fairy lights and flowers.

HM-yeh sab aapne kiya hamare liye....(she asked happily)

AS-nhi humne nhi kiya hai....

HM-toh phir kisne kiya hai....

"Surprise" said everyone and came out of their hiding places.

Anuseena-aap sab...(surprised)

KS-haan hum sab....

Ammi-kaisa laga surprise....(smilingly).

AS-arthat aap dono ko bhi pata tha is vishay mein?

SS-sirf pata nhi tha balki sara plan hi maa aur anmi ka hai....(she said smilingly).

HM-kya?

Maa-haan....

AS-par aap dono ne yeh sab kiya kab?

Maa-plan toh bahut din pehle hi banaya tha par tum dono ko raat tak ghar se bahar kaise rakhe ye samjh nhi aa rha tha par jab tune kal hume kaha ki tu hume apne anniversary par movie dikhane le jayega toh hamara kaam aasan ho gya aur phir maine kal Karishma ko phone karke sab kuch samjha diya..

AS-tabhi hume aaj pura lucknow ghuma diya taki hum ghar deri se pahuche....

Ammi-haan....

KS-dekhiye Pushpa ji dekhiye aisi hoti hai saas....(she said tauntingly).

PS-banane ko hum bhi aisi saas ban jaye par bahu bhi toh Haseena jaisi honi chahiye....(tauntingly).

CC-KM, Pushpa ji! kaa aap dono sirf jaban se ladte ho kabhi lathi dande ko bhi mauka dijiye.....

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now