The Smile

2.1K 206 93
                                    

{Sorry for the late update}

Continued from the previous part

Dhvani-Aabhas.....(she calls him)

Aabhas-kya hua......

Dhvani-main bore ho rahi hoon.....

Aabhas-toh jakar apna work kar lo....(he said while yawning).

Dhvani-woh baad mein chal na khelne chalte hai.....

Aabhas-bahar dhoop ho rahi aur dhoop mein khelne gye toh dadi aur Nani dantegi....

Dhvani-toh chal cartoon dekhte hai.....

Asbhas-mera man nhi hai.....

Dhvani-toh tu bata kya kare.....

Aabhas-chal Chess khelte hai dono.....

Dhvani-theek hai par chess board hai kahan......

Aabhas-last time ammi aur Baba khel rahe the toh unke paas hoga.....

Dhvani-idea tumhara hai toh jakar lekar aao.....

Aabhas-ja raha hoon....(sadly)

Police Headquarter, Lucknow

Haseena was busy with file when her mobile phone rings, she smiles seeing the name of the person on her phone's  screen. She picks up the call.

HM-Hello.....(sweetly).

AS-kya baat hai aaj bade pyar se hello bol rahi hai......(he said surprisingly).

HM-aaj is waqt hum free hai aur akele bhi hai isliye......

AS-aap se ek aagya chahiye hume.....(he said hesitantly).

HM-kis cheej ki permission?

AS(nervous)-woh hamara mitr hai na Mayank.....

HM-sochiyega bhi mat uske sath kahin jane ke bare mein aur kisi party mein toh bilkul nhi......(she said angrily).

AS-puri baat toh suniye......(interrupted by her).

HM-kuch nhi sunana hume aur pichali baar jo hua woh hum bhule nhi hai isliye door rahiye us aadmi se......

AS-aap pehle puri baat sunne ka kasht karengi.......(irritated).

HM-kahiye......

AS-hum kah rahe the ki Mayank ne hum dono ko unke ghar ratri bhoj ke liye nimantran diya hai ab aapki aagya ho toh hum use haan kar de.....

HM-hum us aadmi ka chehra bhi nhi dekhna samjhe aap aur aapse kitni baar kaha hai door raha kariye usse phir bhi aap samjhte hi nhi hai....(annoyed).

AS-Mitr hai woh hamara aur jo hua usme uski koi galati nhi thi.....

HM-huh mitr (taunted), char saal pehle kahan tha aapka yeh mitr.....(angrily).

AS-haan ya na yeh bataiye baki jo baat karna hai woh ghar par aamne samne kar lenge......(he said coldly).

HM-hume nhi jana aapko jana hai toh jaiye aur sirf dinner kyu breakfast lunch sab par uske sath jaiye bas is baar agar phir kuch hua toh yaad rakhiyega hum is baar aapko maaf nhi karenge......(she warned him in angry tone).

AS-theek hai nhi jayenge......

HM-aur aaj ghar jaldi aa jaiyega.....(she said calmly).

AS-kaam khatm ho jayega toh aa jayenge......(he said sternly).

HM-waise lunch kar liya ya abhi bhi bhookhe baithe hai?

AS-baad mein baat karte hai.....(he said and disconnected the call).

Arranged Marriage (Anuseena)✔Where stories live. Discover now