Chapter 7

1K 78 17
                                    

"In pakistan"

Dupehar ke 2 baje the Danial nashta kar ke apne room main soone chala gya, baki sab living room main bethe the. Sare batoo main masruf the ke phone ki bell bji.

- Dua dekho zraa , kon hai?- Dadi ne kaha.

- J- Dua phone recive karne uthi.

Phone sunne ke baat apni jagha par a kar beth ghai.

- Kon tha ?- Dadi ne poocha.

- Wo koi Danial ke bare main pooch rha tha khud ko us ka friend keh rha tha or..keh rha tha ke wo airpot phe hai- Dua ne une btaya.

- Ohh acha yeh Danial ka wohi friend ho gha , - Dadi ko kuch yaad aya.

- Kon?- Emaan ne poocha jo abhi abhi room se bahir ai.

- Are wo Danial ka dost Bilal ho gha jis ki ticket cancell ho ghai thi - Dadi ne use samjaya.

- Achaa - Dua ne or Ayesha ne kaha.

- Chalo Dua hum khana bnane ki tyari karti hai- Mehak or Dua kitchen main chali ghai.

- Larkiyu koi Dani ko bta to doo- Dadi ne awaaz di.

- Jao Emaan tum bta ao Dani ko - Ayesha ne Emaan se kaha jo eek dam se heraan si reh ghai .

- Main? .... Nhi plz- wo us ki shakal bhi nhi dekhna chahti thi.

- Jao , jaldi karo- Dadi ne use kaha to wo thaal na phai.

- ji Dadi - wo uth ke upar jane laghi.

Jab wo us ke room ke darwaze phar pohanchi to usne doo , teen baar darwazaa katktaya ( knock kiya) magar koi respons na mila. Darwaza lock nhi tha to wo andar chali ghai , jab wo andar ghai to Room sara pikra huwa tha, kapre idar ke udar pikre hue the , wo bed phe soya huwa tha .

- Hey utho , hey- Emaan ne awaaz di . Lekhin wo phir bhi na utha.

- Hey , Dan...hey - Emaan ne phir se awaaz di , phir bhi koi jawab na tha. Emaan bahir se eek chari le kar a ghai or use chari ke sath uthane laghi.

- Hey mister , utho warna..- Emaan ne phir se kaha.

- Kyaa hain , kon hain- Danial uth kar beth gya.

- Wo... Shit - Emaan ne jaldi se apna muh dosri taraf kar lia kyu ke jab Danial uth ke betha na hi koi shirt na hi koi half shirt pehni thi .

- Tum , tum yahan kya kar rhi ho - Danial jaldi se koi bhi shirt pehanli.

-Wo ..Dadi ....phone ...airpot .. Dost... - Wo itni nervous thi keh use kuch samaj main nhi a rhatha keh wo kya bool rhi hain.

- Kya keh rhi ho - wo us ke samne ja kar karah ho gya.

- Dadi niche bula rhi hain.. Jaldi se niche a jao.- wo yeh keh kar jane laghi keh piche se Danial ne us ka hath pakar lia.

- Sachi ,ab tum mere bina eek mint bhi nhi reh sakti- Danial ne mazaak se kaha.

- Shut up tum .. - Emaan ne apna hath churana jaha or kuch bolne laghi keh us se pehle Danial ne us ke muh par hath rak use diwar ki taraf ghasita.

- Kya jaan bas bhi karo- Danial ne mazak se kaha leekhin Emaan se yeh mazak pardhash na ho paya or wo rona shuru ho ghai .

- Sorry , main to..- Danial ne use choor dia or Emaan bgher kuch sune waha se roote hue chali ghai.

Yeh pehli baar thi ke koi esa mazak kar rha tha us ke sath.

Thori deer baad Danial nha ke niche chala gya. Dadi ke paas ja kar beth ghaya .

- Dadi aap ne mujhe bulaya- Danial ne poocha.

- Ji betha, wo tumare dost Bilal ka phone aya tha......- Danial ne Dadi ko baat puri na karne di.

- Bilalllll -Danial ko kuch yaad aya.

- kya huwa betha- Ayesha bhi kitchen se a ghai.

- Kuch nhi, main to bool hi gya tha Bilal ko, wo kab ka Airpot betha ho gha- Danial pareshaan ho gya.

- Main abhi driver ko beej thi hu- Ayesha uth ke jane laghi leekhin Danial ne use rook lia.

- Nhi Ami , main khud jau gha, main abhi change karke atha hu aap driver ko bole ghari nikhale- Wo yeh keh kar upar chala gya.

- Acha betha , tum tyaar ho jao- Dadi ne use peeche se awaaz di.

IshqWhere stories live. Discover now