Chapter 40

582 52 3
                                    

" In Pakistan"

Raat ko dinner ke baad Shahraz sahib room main chale ghae , Ayesha bhi bartaan do kar room main chali ghai.
Shahraz sahib kisi se phone phe baat kar rhe the.
- Jj ha zroor btaenghe ok khuda hafiz- Shahraz sahib ne phone phe kisi se kaha or phir phone band kar dia.
- Kon tha?- Ayesha ne poocha.
- Sufyaan tha England se- Shahraz sahib ne btaya.
- Acha, mujhe aap se eek baat karni hain- Ayesha ne kaha.
- Mujhe bhi eek baat karni hain- Shahraz sahib ne kaha.
- J kahye na- Ayesha ne poocha.
- Emaan ka rishta aya hain, Danial ka- Shahraz sahib ne btaya.
- Danial, hmara Danial - Ayesha sun kar heraan reh ghai.
- J ha- Shahraz sahib ne kaha.
- Ejaaz ka bhi Emaan ke lie rishta pooch rhe the- Ayesha ne btaya.
- Acha to phir Emaan se pooch lo ke in dono main se wo kis se shadi karna chahti - Shahraz sahib ne kaha.
- J- Ayesha ne kaha or upar Emaan ke room main jane laghi. Ayesha or Shahraz sahib ko dono hi pasand the , apne the , well educated the or dikhne main bhi dono ache hi the, ab fesla Emaan ke haath main tha.
- Emaan betha , main andar a jau- Ayesha ne darwaza khatktaya.
- J Ammi plz- Emaan ne kaha.
Wo andar chali ghai, Emaan bed phe bethi books phar rhi thi.
- Kya ho rha hain?- Ayesha bhi uske saath bed phar beth ghai.
- Kuch nhi books phar rhi hu- Emaan ne muskura kar kaha.
- Mujhe betha aap se eek zroori baat karni hain- Ayesha ne kaha.
- J Ammi- Emaan ne poocha.
- Betha ab tum bari ho ghai ho, to hum tmari shadi ke bare main shooch rhe the- Ayesha ne kaha.
- Nhi Ammi , abhi to Dua ki shadi hui hain- Emaan baat thalni chahi.
- Betha , baat to suno Ejaaz or Danial ka rishta aya hain- Ayesha ne btaya.
- Ammi maine shadi nhi karni- Emaan ne kaha.
- Aghle mahine hi tumari shadi hain, btao nhi to hum choose kar lenghe- Ayesha ne use dhanta.
- Ammi maine Danial se shadi nhi karna chahti - Emaan ne apna feesla suna dia.
- Acha to phir main Ejaaz ke ghar walu ko keh dunghi ke parsu a jae - Ayesha ne muskura kar kaha, or niche chali ghai.
Emaan lambari ki taraf barih , Danial ka kurta dekh kar uski ankhu main ansuu a ghae.
" Ese kya dekh rhi ho , mujhe tumse Ishq ho jaengha" - Emaan ko Danial ki baat yaad ai.
*********
" In England"

Aaj sunday tha Danial or Sheri Criket match dekh rhe the. Sufyaan sahib ghar nhi the. Sarah or Zoyah kitchen main thi. Danial bhi kitchen main chala gya.
- Mom , baat hui ?- Danial ne poocha.
- Ha , tere Dad bht kush hue sun kar- Zoyah ne kaha.
- Mujhe patah tha, Baba se baat hui?- Danial se ab sabar na ho rha tha.
- Ha, abhi athe honghe tere Dad , hudh pooch lena.- Zoyah ne muskura kar kaha.
- J - Danial  living room main chala gya.
Thori deer baad Sufyaan sahib bhi a ghae.
- Hi Dad, kaha the aap , dekhye kab se match shuru hain- Sherry ne kaha.
- Danial mujhe tum se baat karni hain, mere room main ai- Sufyaan sahib ka mood theek nhi lagh rha tha.
- J Dad- Danial unke piiche room main chala gya.
- Darwaza band kardo- Sufyaan sahib ne kaha.
- J- Danial ne darwaza band kardia .
- Danial , Shahraz bhai ka phone aya tha- Sufyaan sahib ne kaha.
- Kya hain Emaan ka feesla- Zoyah bhi room main a ghai.
- Emaan ke lie Ejaaz ka rishta bhi aya tha- Sufyaan sahib ne btaya.
- Ejaaz ka !!- Danial or Zoyah sun kar heraan reh ghae.
- To kya kaha uno ne , Emaan ne kya feesla lia- Zoyah uska feslaa sunne ke lie bht hi betaab thi.
- Emaan Ejaaz ke rishtey ke lie maan ghai hain- Sufyaan sahib ki baat phe Danial ko yakeen na huwa , yeh sun kar uski halaat esi ho ghai jese uske sine main se jese dil hi nikhal gya ho , uske peroo thale zameen na rhi ho.
- Dad aap mazaak kar rhe hain na- Danial ko yakeen na huwa.
- Nhi betha- Sufyaan sahib ne kaha.
- Esa nhi ho sakta , main uske bgheer nhi reh sakta- Aaj pehli baar Sufyaan sahib ne use roote dekha.
- Mujhe usse baat karni hoghi- Danial ne kaha. Or ghuse main apne room main chala gya.

Ishqजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें