Chapter 60

677 49 25
                                    

Aaj Danial subah subah uth gya tha or tyaar ho kar niche chala gya.
Sarah or Sherry college chale ghae the, Ghar main bas Sufyaan sahib the.
- Good morning Dad- Danial living room main agya jahan wo bethe hue the.
- Good morning- Sufyaan sahib ne kaha.
- Mom kidar hain?- Danial ne poocha.
- Supermarket khane ka samaan lene ghai hain, tumari khala logh Lunch  phe a rhe hain or Sarah ka rishta le kar-  Sufyaan sahib ne kaha.
- Leekhin Dad Sarah abhi choti hain- Danial ne kaha.
- 20 saal ki hain choti to nhi hain, or yeh fesla tumari Mom ka hain- Sufyaan sahib ne kaha.
- Muzamil 27 saal ka hain or Sarah abhi 20 ki hain- Danial ne kaha.
- Ages main itna chalta hain- Sufyaan sahib ne kaha.
- Aap ne Sarah se poocha?- Danial ne poocha.
- Tumari Mom pooch lenghe- Sufyaan sahib ne kaha.
- Office nhi jana aap ne?- Danial ne poocha.
- Nhi, tum bhi na jao- Sufyaan sahib ne kaha.
- Really i dont understand, main to office ja rha hu- Danial ghuse main office ke lie nikhal gya.

                          ********

" Office main"

- Danial lunch nhi karna?- Bilal uske cabin main aya.
- Ha abhi chalte hain- Danial ne kaha.
- Uncle aaj nhi ae office?-Bilal ne poocha.
- Ghar main khala logh lunch phe a rhe hain- Danial ne kaha.
- Wo to athe jate rehte hain, aaj kuch special hain?- Bilal ne poocha.
- Sarah ka proposal le kar a rhe hain- Danial ne kaha.
- Wao yeh to achi baat hain, Leekhin Sarah or Qasim ki abhi age hi kya hain- Bilal ne kaha.
- Qasim ka nhi Muzamil ka proposal le kar a rhe hain- Danial ne btaya.
- Kya! Muzamil ka- Bilal sun kar heraan reh gya.
- Ha main tak gya hu samja samja kar, Mom apni behan ke pyar main andhi ho ghai hain- Danial ne kaha.
- Muzamil itna batmeez or ayash admi hain, abhi kal maine raat ko eek larki ke saath dekha tha- Bilal ne kaha.
- Mujhe kuch samaj nhi a rha ke main kya karu- Danial bht pareshan tha.
-  Dont worry kuch soochte hain- Bilal ne kaha.
- Mom keh rhe the ke main Sanna se dusri shadi karlu to phir  Sarah ki nhi karenghe Muzamil se- Danial ne kaha.
- What!, yeh ho kya gya hain aunty ko, esa kese sooch sakte hain wo- Bilal ne kaha.
- Yeh sab khala ka kaam hain- Danial ne kaha.
- Tu fikar na kar, chal khana khale- Bilal ne kaha.
- Ha chalo- Danial ne kaha.
Wo dono kisi restaurant phe lunch larne chale ghae.

                        *********

" Shaam ko ghar phe"

- Mom bhai kaha hain or Sarah?-Sherry ne poocha.
- Patah nhi , tum dinner karo- Zoyah ne kaha.
Danial bhi office se a gya.
Dinning table phe Sab dinner kar rhe the.
Danial athe hi kisi se baat kie bgheer upar Sarah ke room main chala gya.
Danial ne room ka darwaza khatkhtaya.
Sarah ne darwaza khola, uski ankhe red hui thi, esa mehsus ho rha tha ke wo kab se roe ja rhi thi.
- Bhai aap?- Sarah ne poocha.
- Main andar a sakta hu?- Danial ne poocha.
- Ha plz aiye na- Sarah ne kaha.
- Kya huwa roo rhi thi- Danial ne poocha.
-  Bhai mujhe usse shadi nhi karni- Sarah phirse rone laghi.
- Hey main hu na , dont worry - Danial ne use chup karwaya.
- Bhai Mom esa kyu kar rhi hain, maine kya kiya hain- Sarah bht hi sad thi.
- Esa nhi kehte, main Mom Dad se baat karungha- Danial ne use tasali di.
- Plz Bhai kuch kare- Sarah ne kaha.
- Chalo mere saath- Danial ne kaha or uska bazu pakhar kar use niche le gya.
- Mom Dad dekho iski halat, aap zabardasti nhi kar sakte iske saath- Danial ne kaha.
- Danial tum itne bhi bare nhi ho ke is ghar ke fesle karo- Zoyah ne kaha.
- Mujhe manzoor hain, main Sanna se shadi karungha- Danial ne kaha.
- Yeh kya keh rhe ho Danial- Sufyaan sahib anjaan the is sab se.
- Dad yeh apni wife se  poochye- Danial ne kaha.
- Aap ke Bussines loss ki jo barpai karne ke paise die the Haider bhai ne uspe Baji ne eek shart rakhi thi  ke Sarah ka ya Danial ka rishta lenghe- Zoyah ne btaya.
- Tumne mujhe pehle kyu nhi btaya- Sufyaan sahib ne kaha.
- Tab time nhi tha- Zoyah ne kaha.
- Main Sarah ki zindagi barbaad nhi hone dungha-Danial ne kaha.
- Leekhin Danial Emaan ka kya hogha, sachi mujhe is shart ka patah nhi tha or na hi mujhe yeh patah tha ke Sarah ko yeh rishta manzuur nhi, warna main khabi bhi wo paise na letha or is rishte ke lie razi na hota -Sufyaan sahib ne kaha.
- Dad plz mujhe na rokhe,  main Sanna se shadi karungha, muhabbat to Emaan se karta hu or kamesha usi se karungha- Danial ne kaha.
- Danial main tum dono ki Maa hu, main majbur thi warna main esa kyu karti- Zoyah ki ankhu main ansu a ghae.
- Mom main Sarah ki shadi Muzamil se nhi hone dungha- Danial ghuse main upar chala gya.

                      **********

Aaj Danial Zoyah or Sufyaan sahib Sanna ke ghar ja rhe the.
Subah jaldi hi wo teno unke ghar jane ke lie nikhal ghae.
- Are aap logh- Wo sab une subah subah waha dekh kar suprise reh ghae.
- J aap loghu se kuch zroori baat karni hain- Zoyah ne kaha.
- Aiye na andar-Rabia ne une living room main bithaya.
- Heryat se ae hain?- Haider sahib ne poocha.
- J wo hum Sarah ka rishta Muzamil se nhi kar sakte- Zoyah ne kaha.
- Kya matlab nhi kar sakte, aap kisi bhi halat main inkaar nhi kar sakte-  Rabia ne kaha.
- Aap zabardasti bhi nhi kar sakte- Danial ne ghuse se kaha.
- Hum zabardasti kar sakte hain, tumari Mom ne humse paise lie hain is shart  phar - Rabia ne kaha.
- Danial tum hamosh rho- Zoyah ne kaha.
- Leekhin Mom ....- Danial ne mushkil se apna ghusa rokha.
- Baji aap Qasim ki shadi bhi to karwa sakti hain Sarah se-Zoyah ne kaha.
- Hame Qasim ki nhi Muzamil ki shadi karwani hain- Rabia ne kaha.
- Baji plz ,Bhai aap samjae ine- Zoyah ne kaha.
-  Main Sanna se nikah karungha- Danial ne kaha.
- Yeh kya keh rhe ho - Haider sahib ne herani se poocha.
- Theek hain hame manzuur hain- Rabia ne kaha.
- Rabia yeh kya keh rhi ho- Haider sahib ne ghuse main poocha.
- Aap plz chup rhe, mujhe patah hain main kya keh rhi hu- Rabia ne une kamosh karwa dia.
- Eek shart hain meri- Danial ne kaha.
- Shart konsi shart- Rabia ne poocha.
- Nikah sada sa hogha or  1 saal baad hogha or ke jab tak nikah na ho tab tak ye baat kisi bhi na btai jae, or Emaan ko is baat ki bilkul khabar na laghe- Danial ne kaha.
- Theek hain hame manzuur hain- Rabia ne kaha.
- Dad main ja rha hu- Danial ghuse main nikhal gya.

                     

IshqOnde histórias criam vida. Descubra agora