Chapter 17

1K 69 9
                                    

2 ka time tha Ayesha or Mehak ne khana tyaar kar dia tha , Dua or Emaan Mehak ke room main bethi hui thi ,Dadi bhi un ke sath beth kar baate kar rhi thi , Shahraz sahib abhi abhi office se ae the apne room main fresh hone ke lie chale ghae.
Danial niche ayaa , living room maiin koi bhi nahi use nazar ayaa.
- Sukina , sare kidar hain?- Danial ne Sukina se poocha jo living room ki sfaai kar rhi thi.
- Wo Mehak bibi ke room main hai - Sukina ne btaya.
- Acha , theek se saaf karna- Danial keh kar Mehak ke room main chala gya.
- Kya main andar a skta hu- Danial ne darwaze phar dastak dethe hue poocha.
- Ao na- Mehak ne kaha.
- Maammu ,- Ayaan bhaag kar Danial ki taraf chala gya.
- Hey ,kese ho? - Danial ne Ayaan ko utha lia.
- Main theek hu- Ayaan ne uske kande phar sar rakh lia.
- Wao Danial bht hi handsome lagh rhe ho- Mehak ne Danial ki taariif khi.
- Thank you , wese aap bhi bht kubhsurat lagh rhi hain , koi khaas baat hain?- Danial ne poocha.
-khaas baat to hain- Dua ne Mehak ko tang karte hue kaha.
-Seriously , mujhe bhi btao na kya baat hain? - Danial ne becheeni se poocha.
- Aaj Armaan Bhai( Mehak husband) Paris se a rhe hain- Emaan ne kaha.
- Kya! Waoo , kab a rhe hain? Main une lene jau- Danial yeh sun kar khush ho gya.
- Wo shaam ko aenghe .- Mehak ne Ayaan ko Danial ki ghood se uthaya jo soo gya tha.
- Wah Appi , aap ki khushi ki to intahaa hi nhi- Danial ne Mehak ko tang karne ke li kaha.
- Tum bhi Danial- Mehak sharmate hue boli.
- Dekho kese sharma rhi hain appi - Danial hansne laga.
- Hey Dadi idar hi namaaz phar rhi hain- Mehak ne Danial ke kande phe maraa.
- Ohh sorry- Danial muskurane lagha.
- Chalo bahir bethte hain - Mehak ne kaha.
Sare bahir ja kat beth ghae, or baate karne laghe.
Thori deer baad bahir se kisi ghari ki awaaz ai.
- I think wo aghae hain -Emaan ne kaha.
- Emaan tum or Dua andar chali jao- Ayesha ne kaha. To wo dono andar chali ghai.
- Main dekhta hu- Danial keh kar bahir dekhne chala gya.

Bahir driver ne gate kola , eek ghari andar a ghai, us ghari se eek shaks , eek nojawan or un ke sath 2 orte ghari se utri.
- Shayad , Roomil ke ghar wale hain- Danial ne Dil hi Dil main kaha or unki taraf chala gya.
- Salam uncle- Danial ne kaha.
- Wsalam betha , tum?- Abid (Roomil Father) ne pehchana nhi , wo pehle bhi un ke ghar ae the leekhin uno ne Danial ko khabi nhi dekha tha.
- Main Danial hu , Sufyaan Choudry ka betha- Danial ne btaya.
- Ohh acha , Dad kese hain? - Uno ne poocha.
- Theek hain, aap ae na andar plzz- Danial ne une andar le aya .- bethye- Danial ne une living room main bithaya.
Itne main Shahraz sahib , Ayeaha or Dadi bhi aghae.
-Salam Choudry sahib kya haal hain? - Wo sare eek dosre se milne laghe.
- Hmari hone wali Babhi kidar hain?- Roomil ki behan ne poocha.
- Main abhi le kar athi hu - Mehak ne kaha, or andar Dua ko lene chali ghai.
Roomil acha larka tha abroad main parah tha , us ki family bhi bht hi achi thi , Roomil ke father bht hi bare bussinesman the , us ki 3 behne thi wo sari hi Shadi shuda thi .
Mehak or Emaan Dua ko living room main le ai.
- Idar betho betha mere paas- Dua ki saas ne kaha. Dua apni saas or nanand ke darmiyaan beth ghai.
Danial Emaan ke paas ja kar karah ho gya.
- Achaa larka hain?, Dua ko pasand hain? - Danial ne choti si awaaz se Emaan se poocha.
- J bht hi acha hain or Dua ko bhi bht pasand hain- Emaan ne use btaya or use chup rehne ka ishara kiya.
Wo khafi deer baate karte rhe Dua se phir khana ka ke barhe niche beth ghae or chote sare upar chat phar chale ghae.
- Or Roomil jiju , kya karte hain? - Danial ne poocha
- Abhi to Canada se ayaa hu , ab shadi ke baad Abu ke bussines main seattle ho jaungha- Roomil ne btaya.
- Acha , hmari bhn ko khush rkhenghe na- Danial ne Dua ki taraf dekha.
- Zaroor , ham to un ke kadmu main apni jaan rakh denghe- Roomil ne muskurate hue Dua ki taraf dekha, Dua ne sharmate hue apni ankhe niche karli.
- Wah jiju , kya baat hain- Emaan chae le kar a ghai.
- Emaan , kesi ho, college kesa ja rha hain?- Roomil ne Emaan se poocha. Wo pehle bhi phone karta rehta tha or khafi baar un ke ghar ayaa tha.
- Sab theek hain, abhi results ane hain- Emaan ne jawab dia.
- Wo function kesa rha, Alina ne btaya ke bht mazaa aya tha aap loghu ko- Roomil ne kaha , Alina Emaan ki friend Roomil ki cousin thi. Emaan is baat se thora mayuus ho ghai or Danial se nazre churane laghi.
- Ha bht mazaa ayaa tha- Emaan ne joota muskuraya.
- Or Sale sahib aap kya karte hain- Roomil ne Danial se poocha.
- Main bussines study kar rha hu- Danial ne jawab dia.
- Ohh acha , nice - Roomil ne kaha.
- Ha- Daniaal ne muskrate hue kaha , Emaan ki taraf dekha leekhin wo sayad college wali baat phe sooch rhi thi. Danial ko bht bura lagha Emaan ko ese dekh kar.
Thori deer baad Roomil or uski Family shadi ki or mangni ki Date fix karke chali ghai.
Emaan or Dua change karne chali ghai Baaki ghar wale sab niche living room main beth ghae.
Thori deer baad bahir ke darwaze ki bell bajhi.
Danial darwaza kolne chala gya, darwaza khola to Armaan  tha , wo une dekh kar bht kush ho gya .
- Bhai aap, aye na andar - Danial ne kaha , wo pehle bhi Armaan se mil chuka tha jab wo pichle saal bussinea ke silsle main England gya tha to unke hi Danial ke ghar hi ruka tha.
- Danial ,what a suprise tum yahan , pakistan main? - Armaan ne heraani se poocha or use ghale mila.
- Bas kismat le ai hain- Danial ne muskurate hue kaha.
- Acha, btaa wo teri wali Tina ka kya haal hain- Armaan ne mazaak se poocha.
- Konsi? - Danial ne poocha. Or wo dono baate karte hue andar chale ghae.
- Baba-Ayaan bagh kar Armaan ke paas aaya.
- Ayaan meri jaan kese ho-.Armaan ne Ayaan ko ghood main utha lia.
- Bhai sahib Jaan lafz sambal ke rakhe kisi or ke lie istamaal karna- Danial ne Mazaak se Armaan ke kaan main kaha.
- Us ke lie mere paas lafz hain tum apni nisihat apne paas hi rakho.- Armaan ne choti si awaaz se Danial ko kaha.
- Armaan betha- Shahraz sahib use ghale mile.
- Salam Maamu jaan - Armaan ne salam kiya. Armaan Shahraz sahib or Sufyaan sahib ki eklothi behan ka betha tha, un ki behan Rabia or us ka shohar eek acident main foot ho ghae , tab Armaan Ayaan jitna tha , Shahraz sahib use apne ghar le ae or uski taalim o tarbiyat khi, jab wo jawaan ho gya to uski shadi apni bethi Mehak se krwaa di or use apne office main kaam karne ki offer bhi dhi leekhin wo independent hona chahta is lie us ne yeh offer qabool na khi or achi si eek job or ghar dhoondh lia. Wo khabi bhi ghar jmai bnna nhi chahta tha wo pehle hi apne mammuo ke ehsan main dubha huwa thabab wo Mehak ko khush rakh kar yeh asaan utarna chahta tha.
- Wsalam betha- Shahraz sahib ne kaha.
- Chalo bhai bethte hain.- Danial or Armaan sofa phar beth ghae.
- Kesa rha safar - Dadi ne poocha.
- Bht hi acha tha - Aramaan ne kaha.
- Abhi thori deer pehle, Dua ke sasuraal wale ae the- Shahraz sahib ne Armaan ko btaya.
- Acha, keryat mammu jaan?- Armaan ne poocha.
- J betha , wo Shadi ki or manghni ki date fix karke ghae hain- Shahraz sahib ne btaya.
- Oohh acha, kab tak ki hain?- Armaan ne poocha.
- Do hafte baad manghni or phir eek mahine baad shadi ki- Shahraz sahib ne btaya.
- Tum dono shadi ke baad hi jana- Dadi ne Armaan se kaha leekhin une patah tha ke Armaan har ghiz nhi ruuke gha .
- Nhi Nani , hum khal ja rhe hain- Armaan apni nani ko naraaz nhi karna chahta tha phir bhi wo mazeed idar rukhna bhi nhi chahta tha.
- Kyu betha- Dadi mayuus ho ghai.
- Mehak or Ayaan 1 mahine se yahan hain , ghar band parah huwa hain janaa pareh gha- Armaan ne Dadi ko muskurte hue kaha.
- Dadi eek shart phe hi jane dena- Danial ne mazaak se kaha .
- Konsi shart- Armaan ne heraani se poocha.
- Jab manghni phe ao ghe to shadi tak idar hi rukhna hain- Danial se kaha.
- Leekhin itne ziada din yahan- Armaan confuse ho gya.
- Plz ab yeh to kar sakte hain na - Emaan, Dua or Mehak bhi upar se a ghai.
- Acha  jese aap ki marzi , Emaan - Armaan ne hanste hue kaha.
- Salam jiju- Dua or Emaan ne kaha .
- Wsalam- wo dono boli, or unke paas a kar beth ghai.

IshqWhere stories live. Discover now