Chapter 14

856 72 24
                                    

Aghle din sare jaldi uth ghae ,

Danial bhi  jaldi uth gya kyu ke Bilal ko airpot chorne jana tha, Shahraz sahib office chale ghae , Baki sab mehmanu ke ane ki  tyaari karne lagh pareh. Danial or Bilal tyaar ho rhe the apne room main .

- Yaar aunty ka kya haal hain?- Danial ne poocha.

- Pehle se khafi theek hain, yaar main tume choor ke nhi jana chahta tha - Bilal ne Danial ko ghale lagha lia.

- Its okey bro, main samajhta hu - Danial ne use kaha.

- Chalo chale flight ka time hone lagha hain- Bilal ne bags uthae or niche jane lagha.

- Hey meri taraf se Girls ko Hello bolna- Danial ne mazak se kaha.

- Kis kis ko bolu- Bilal ne mazak se poocha.

- Wo Riya , Tina or jo bhi mili tume- Danial ne hanste hue kaha.

- Hahaha- wo dono hansne laghe, or niche chale ghae Sab se milne ke baad airpot ke lie nikhal ghae.

                       ******

Dupehar ka time tha Sari gar ki orte khana bnane main masruuf thi. Emaan apne room main change karne chali ghai. Itne main mehmaan a ghae.

- Salam - andar athe hue bole.

- Wsalam bhai jaan - Ayesha une dekh kar khush ho ghai.

- Aie  mammu jaan , bethe na.- Dua ne un sab ko bithaya living room main.

Itne main Emaan bhi bagh kar upar se aghai.

- Mammu jaan , Mummani jaan- Emaan khushi se a kar milne laghi.

- Kya haal hain betha?- Muzamil sahib ne poocha.

- Main theek hu, Ibrar bhai or bhabi kaha hain? - Emaan ne poocha.

- Wo karachi ghae hain, is lie hum ne socha hum idar a jate hain- Naseem begum ne btaya.

- Or Ejaaz kidar hain- Emaan ne poocha , tab hi kisi ne piche se us ka kaan kicha.

- Main yahan hu Chuhya ( mouse)- Emaan ne piche mur ke dekha to Ejaaz khara tha.

- Aahhh choro na , bandar ( monkey)- Emaan ne apna kaan churaya.

- Bandar , tum mujhe bandar kaha- Ejaaz ne mazak se kaha.

- Or tum ne mujhe chuhya kaha - wo dono bacho ki tarah larne laghe.

- Bas karo  Emaan, koi ese lartha hain mehman ke sath -Dadi ne Emaan ko dhantha.

- Leekhin Dadi pehle isne shuru kiya hain  - Emaan root ghai.

- Ha , ghalti to Ejaaz ki hain meri bethi ko kyu danth rhe hain- Muzamil sahib ne Emaan ki side li.

- Ha - Emaan ne mamu ko hug kiya.Wo sare batoo main masruuf ho ghae.

Thori deer baad Danial bhi ghar a gya.

- Salam- Danial ne andar athe bola.

- Wsalam- sab ne jawab dia.

- Yeh nojawan kon hain- Muzamil sahib ne poocha

- Yeh Danial hain , Sufyaan ka baraa betha.- Ayesha ne btaya.

- Ohh acha, mashaallah kitna bara ho gya hain, ghar main sab kese hain?- uno ne poocha.

- J sab theek hai - Danial ne jawab dia.

- Acha, ao betho na - Muzamil sahib ne kaha.

- Nhi ,thanks main room main ja rha hu- Danial yeh keh kar upar chala gya . Upar pohancha to samne Emaan or eek larka beth kar baate kar rhe the or zoor zoor se hans rhe the , wo dono Danial ko dekh kar chup ho ghae.

- Salam , main Ejaaz hu Emaan ke mammu ka betha - Ejaaz ne apna taruuf krwaya.

- Wsalam main Danial hu Dua ke chachu ka betha.- Danial ne Emaan ka naam na lena chaha.

- Acha , ae na bethe hmare sath- Ejaaz ne kaha.

- Nhi main room main jatha hu.- Danial yeh keh kar room main chala gya, or bed phe leth gya use patah nhi chala kab us ki ankh lagh ghai.

Jab wo utha to raat ke 12 bjh rhe the , wo kitchen se coffe le kar upar chat phar chala gya , waha Dua ,  Emaan or Ejaaz bethe hue the.

- Are Danial , kya huwa hain?- Dua ne poocha.

- Kuch nhi , Sar main dard tha is lie so gya tha- Danial Dua ke sath wali chair phe beth gya.

- Or bhai sahib, kya karte hain aap?- Ejaaz ne poocha.

- Ishqo mashuki karte the, ishq ne hame hi pakhar  lia - Danial ne Emaan ki taraf dekha.

- J ? - Ejaaz ko kuch samaj na ayaa.

- Mazaak kar rha tha, bussines study kar rha hu - Danial ne baat ko change kar dia.

- Ohh nice - Ejaaz be kaha.

- Or aao kya karte hain? - Danial ne poocha.

- Main, bas abhi farigh , apna bussines hai Abu ka, khabi chakar lagha atha hu- Ejaaz ne jawab dia.

- Ab Ejaaz ki shadi karenghe tab hi khi busy ho gha- Dua ne mazak se kaha.

- Acha agar aap kehte hain to kar letha hu- Ejaaz ne mazaak se kaha.

- Kesi larki pasand hain tume?- Dua ne poocha.

- Achi si ho, khubsurat na bhi ho to chale gha- Ejaaz ne apni rahee di.

- Or Danial tume?- Dua ne Danial se poocha.

- Ziddi ho, mujhe beintahaa ishq kare or meri wife se ziada meri best friend ho - Danial ne Emaan ki taraf dekha.

- Waoo nice, kya tume wo mil ghai hain.?- Ejaaz ne poocha.

- Nhi, leekhin jaldi hi mil jae ghi.

Wo khafi deer batee karte rhe or phir apne apne room main chale ghae.

Do you like Ejaaz?

IshqWhere stories live. Discover now