Chapter 46

626 57 1
                                    

" Pakistan"

- Emaan tumhare lie yeh kapre le kar aya hu- Danial Emaan ke room main ghaya, waha Emaan ko na dekh kar pareshan ho gya.
- Emaan?- Danial use dhoonde lagha. Saara ghar dekh lia leekhin wo kahi nhi thi, wo kitcten main gya waha wo kuch bna rhi thi.
- Tum yahan ho or main kab se tume awaaz de rha hun, tume patah hain main kitna pareshan ho gya tha- Danial ghusa ho gya.
- Mujhe kuch nhi jaanna , mujhe baat hi nhi karni tumse- Emaan apne kaam main laghi hui thi usne eek baar sar utha kar bhi na dekha.
- Main jaan sakta hu ke tum yeh kya kar rhi ho?- Danial ne poocha.
- Main bahir ke khane se tang aghai hu , is lie khud khana bna rhi hu- Emaan ne kaha.
- Acha , main bhi khaungha- Danial eek piece tomato ka pakar lia jo Emaan salad ke lie khaat rhi thi.
- Hey , yeh bas main khaunghi- Emaan ne uske haath se cheen lia.
- Ok jese tumari marzi, wese main bhi apni marzi karungha- Danial ne muskura kar kaha.
- Kya matlab?- Emaan ne poocha.
- Pehle to main tume aaj hi ghar le kar jane wala tha, leekhin....- Danial ne baat adhuri hi choor di.
- Leekhin?- Emaan ne poocha.
- Abhi sochungha- Danial bahir chala gya.
- Danial!- Emaan ne awaaz di leekhin wo na rukha.

                   ***********

" Choudry House"

- Sufyaan Zoyah tum dono?- Dadi or sab ghar un dono ko andar athe dekh kar pareshan ho ghae.
- Salam- Sufyaan sahib ne kaha.
- Wsalam- Sab ne Salam ka jawaab dia.
- Kya baat hain, sab theek to hain?- Shahraz sahib ne poocha.
Sab anjaan the unki amad se.
- J - Zoyah ne jawab dia.
- Ao tum dono betho- Dadi ne une bithaya.
- Main paani le kar athi hu- Ayesha jaldi hi paani ke do glass le ai.
- Emaan kidar hain?- Zoyah ne poocha.
- Abhi tak uska patah nhi chala, police bhi doondh rhi hain- Ayesha ki ankhu main ansu aghae.
- Hume patah hain Emaan ka- Sufyaan sahib ne kaha jo khafi deer se kamosh bethe hue the, aaj Danial ne unka sar juka dia tha.
- Kya! Btao betha Emaan kaha hain- Dadi khush ho ghai.
- Hame maaf kardijie bhai jaan- Sufyaan sahib ne kaha.
- Baat kya hain?- Sab pareshan ho ghae.
- Emaan Danial ke paas hain- Zoyah ne kaha.
- Danial!- Sab Danial ka naam sun kar heraan reh ghae.
- J wo usse muhabbat karta hain- Zoyah ne kaha.
- Yeh kesi muhabbat hain, hamari bethi ki zindagi khraab kardi hain usne - Ayesha ne roote hue kaha.
- Bhabi main Danial ko chorungha nhi, use bht hi pachtana pareh gha is harkat phar- Sufyaan sahib ne kaha.
- Kaha hain Danial ?- Shahraz sahib ne poocha.
- Abhi patah nhi chala , jaldi hi main patah laghwalungha- Sufyaan sahib ne kaha.
- Hame yeh umeed nhi thi Danial se , usne acha nhi kiya- Shahraz sahib room main chale ghae, Ayesha bhi unke phiche chali ghai.

************

- Danial kya huwa?- Emaan ne Danial se poocha jo living room main betha kuch sooch rha tha.
- Kuch nhi- Danial ne kaha.
- Khana khalo maine table lagha dia hain- Emaan ne kaha. Use patah tha ke subah ki baat phe Danial usse naraz hain or use ghar nhi le kar jaengha is lie use khane ke lie kaha.
- J? Phirse bolo - Danial ne mazaak se kaha.
- Maine kaha khana khalo- Emaan ne phirse kaha.
- Yeh pathar dil itni jaldi moom kese ho gya- Danial ne mazak se kaha.
- Yeh main tumare lie nhi kar rhi.......- Emaan ke muh se sachi baat nikhal ghai.
- Acha to yeh baat hain- Danial ne kaha.
- Wo..w....- Emaan apni hi baato main ghum ho ghai. Use samaj na a rhi thi ke wo ab kya bole.
- Dont worry main tume khal hi ghar le jaungha- Danial ne muskura kar kaha.
- Thank you - Emaan uth ke jane laghi.
- Hey suno- Danial awaaz di.
- J ?- Emaan ne poocha.
- Khana milengha- Danial ne masoom sa chehra bna kar kaha.
- Ha zroor- Emaan ne muskura kar kaha.

Khane ke baad Danial living room main beth kar TV dekh rha tha.
- Danial tumara phone bajh rha hain- Emaan ne use kitchen se awaaz di .
- Plzz pakhra do- Danial ne kaha.
- J Mr Lazzy - Emaan ne mazaak se kaha, or use mobile pakhraya.
- Thank you- Danial ne muskura kar kaha.
- Wellcome - Emaan ne kaha or room main chali ghai.

Danial ne phone pick up kiya.

"- Salam Bilal, kese ho?- Danial ne kaha.
- Wsalam, main theek hu, tum sunao?- Bilal ne poocha.
- Main theek hu- Danial ne kaha.
- Or Emaan kesi hain?- Bilal ne poocha.
- Theek hain- Danial ne kaha.
- Abhi tak ghar nhi ghae- Bilal ne poocha.
- Nhi abhi nhi ghae, but kal chale jaenghe- Danial ne kaha.
- Acha , yaar eek baat karni hain tum se- Bilal ko samaj nhi a rha tha ke wo use Sufyaan sahib or Zoyah ke pakistan jane ka btae ya nhi.
- Ha bolo- Danial ne kaha.
- Ww..tumare..- Bilal ki baat puri na hui ke Emaan ke room se chilane ki awaaz ai.
- Main baad main phone karta hu- Danial ne phone band kar dia or Emaan ke room ki taraf chala gya."

- Kya huwa?- Danial ne room ka darwaza khola to Emaan bed phe khari thi.
- Danial, help- Emaan ne kaha.
- Huwa kya hain, or tum bed phe ese kyu khari ho?- Danial ko samaj na aya.
- Waha wo dekho- Emaan ne eek cockroach ki taraf ishara kiya.
- Kya hain, kaha hain- Danial ko nazar na aya.
- Waha hain, cockroach- Emaan ne kaha.
- Kya cockroach- Danial zoor zoor se hansne lagh parah.
- Is main hanse ki kya baat hain , tume bhi to kisi cheez se dhar laghta hongha- Emaan ne kaha.
- Ha dhar laghta hain na is baat se ke tum kahi mujhe choor kar na chali jao- Danial bhi bed phe khara ho gya or uske kharib jane lagha leekhin usne apne aap control kar lia.
- Plz Danial tum use ...wo cockroche- Emaan ne Danial ki feeling phar dihaan na dia.
- Ooh ha - Danial Emaan ki yaadu se nikhal aya.
- Jaldi karo - Emaan ne kaha.
- Mera hyaal hain hum 3no aaj yahan hi soo jathe hain- Danial ne cockroach ko uthaya or Emaan ki taraf chala gya.
- Kya kar rhe ho !- Emaan chilane laghi or aghe aghe baghne laghi.
- Rukho na kaha ja rhi ho- Danial uske piche bagha.
- Nhi plz Danial- Emaan phirse chilai.
- Rukhye to sahi mohatrma- Danial ne kaha.
- Aaaaahhh- Emaan ghirne laghi.
- Dihaan se - Danial ne jaldi se use pakhar lia.
- Cockroach kaha hain?- Emaan jaldi se piche hath ghai.
- Are use to maine kab se pheenk dia hain, dekho- Danial ne use apne hath dikhae.
- Toh phir yahan kya kar rhe ho jao-Emaan ne use room se nikhal dia.
- Are suno- Danial ne darwaza khatktaya.
- Thank you, good night- Emaan ne kaha.
- Good night- Danial ne muskura kar kaha or apne room main chala gya.

IshqWhere stories live. Discover now