Chapter 11

892 74 15
                                    

2 ka time tha , Emaan function ke liye tyaar ho rhi thi, baki sab bahir bethee hue the , Telephone ki ghanti sun kar Danial andar a gya.
- Emaan yaar kaha hain - phone ki dosri side se koi bola.
- J , kon? - Danial ne poocha.
- Sorry , kya main Emaan se baat kar sakti hu?, main us ki friend hu- Emaan ki friend boli.
- Ohhh , main Danial hu , wese aap ka naam kya hain- Danial ne kafhi din baad kisi larki se baat ki thi, to is liye use pthane lagha.
- J? - Emaan ki friend heraan reh ghai, pehle khabi bhi kisi larke ne phone nhi uthaya tha un ke ghar.
- Its okay aghar aap nhi btana chahti, wese jesi aap ki awaaz bht pyaari hai aap bhi bht pyari honghi - Danial ne mazak se us ki taariif khi.
- Plzz , aap Emaan ko keh de ke jaldi se college a jae- Wo larki ne yeh keh kar phone band kar dia.
Phone rakh kar Danial Emaan ke room ki taraf chala gya. Danial ne darwaza katkhtaya.
- Dua plz jaldi andar ao .-Emaan ne kaha. Use lagha ke Darwaze phar Dua thi.
Danial bgher kuch kahe andar chala gya jab us ne darwazaa kola to Emaan ko dekh kar wo heraan reh gya. Wo black frock main bht hi khubsurat lagh rhi thi.
- Dua plz meri frock piche se band kardo - Emaan ne kaha. Wo itni busy thi keh usne piche mur khe dekha bhi nhi.
Danial confuse ho gya , use kuch samaj main nhi a rha tha ke wo kya kare.
- Plz , Dua ao na- Emaan ne phir se kaha.
Danial bgher kuch soche us ki taraf chala gya. Us ke hath kaamp rhe the or wo kuch bhi nhi soch pa rha tha. Jab Danial us ke piche pohancha to araam se us ki frock band ki. Frock band karte hue use piche kincha , Emaan ki to jese sans hi rukh ghai. Emaan ne piche mur ke dekha to Danial us ke piche karah tha.
- Tum ? - Emaan ki ankhe khuli ki khuli reh ghai Danial ko dekh kar.
- Wo ...wo tumari dost ka phone tha- Danial keh kar chala gya.
Thori deer baad Emaan tyaar ho kar niche a ghai. Danial , Bilal , Dua or Ayaan living room main bethe Movie dekh rhe the.
- Ammi , plz driver uncle ko bole na mujhe college choor ae - Emaan ne Ayesha ko awaaz di.
- Bethaa ,ghar main koi driver nhi hain- Ayesha ne room se nikhalte hue kaha.
- Kya!, Ammi main kis ke sath jaughi- Emaan pareshan ho ghai.
- Danial choor atha hain tume- Dua ne kaha.
- Ha betha, Danial plzz tum ise choor ao, Dua main upar ja rhi hu chat phar kapre sukane - Ayesha ke kar upar chali ghai.
- Chalo , madam- Danial ne Emaan se kaha.
- Nhi mujhe nhi jana - Emaan sofa pharr beth ghai.
- Emaan yeh kya bachpana hai , tume patah hai na , tumne kitni mushkil se ijazat li hai baba se. - Dua kaha.
- Lekhin Dua , is ke sath jane se acha hai main nahi jau- Emaan ne ghuse se Danial ki taraf dekha.
- Oe excuse me , main koi maraa nhi ja rha tume le kar jane ke lie- Danial ne kaha.
- Plz tum dono bas karo ab - Bilal uth kara huwa- mujhe movie dekhne do yaar - Bilal ne mazak se kaha.
- Chalo tum dono , Danial yeh lo ghari ki chabi- Dua ne kaha or dono ko bahir dareaze tak choor ai.
- Betho na- Danial ne Emaan se kaha. Wo piche bethne laghi , Danail bola- Main tumara driver nhi hu jo tum ese piche bethne laghi ho , agar janah hain to aghe betho.- Danial ki baat sun kat wo aghe beth ghai.
Sara rasta uno koi baat na ki .
Jab wo College ke gate phe pohnche to Emaan apni friends ko dekh kar kush ho ghai jo us ka gate phar intezaar kar rhu thi. Emaan ghari se uthar kar un ke paas chali ghai .
- Hey , kesi ho? - Wo sab se milne laghi.
Emaan friends se baato main itni masruuf ho ghai thi keh Danial ka use yaad hi na rha. Danial ne Ghari ( Car) ka horn bchaya , sari larkia udar mutawajhe ho ghai.
- Yeh kon hai Emaan - us ki friend ne pocha.
- Abhi athi hu - Emaan keh kat Danial ki taraf chali ghai.
- Tum jao , or 4 bjhe driver ko beej dena- Emaan ne kaha.
- Main tumara nokar lagha huwa hu- Danial ne kaha.
- Hey , excuse me, ab nikhlo yahan de , or zaroor kisi ko beej dena- Emaan keh kar chali ghai.
- Ab dekhte hain tum kese ghar athi hu - Danial ne muskurate hue kaha or waha se chala gya.

Danial ke dimaag main kya chal rha hain .

Ishqजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें