Chapter 50

741 56 18
                                    

Bilal ka phone band karte hi Sufyaan sahib ne Danial ko phone kiya.
Zoyah ne Sufyaan sahib ke haath se phone cheen lia.

"- Betha main tumari Mom baat kar rhi hu- Zoyah khi ankhu main ansu a ghae.
- Mom- Danial itne din baad apni Maa ki awaaz sun kar kush ho gya.
- kese ho mere bethe?- Zoyah ne poocha.
- I am fine , you dont worry- Danial ne kaha.
- Hmm- Zoyah ne apne ansu saaf kie or mobile Sufyaan sahib ko pakhra dia usse or baat nhi ho paa rhi thi Danial se. Zoyah Sufyaan sahib ko phone pakhra kar room main chali ghai.
- Mom Ghar main kese hain, or Sarah Sherry , i know aap mujhe miss nhi karte honghee leekhin i miss you a lot, or Emaan kesi hain, plz Baba ko kahe ke uski ache se larke ke sath shadi karwade....- Danial baate karta ja rha tha.
- Danial kal ghar a jana, tumse zroori  baat karni hain- Sufyaan sahib ne kaha.
- Dad i.......- Is se pehle ke Danial kuch keh sakta Sufyaan sahib ne phone band kar dia."

                      ***********

Danial restaurant ka kaam khatam kar ke nikhlne wala ke piche se kisi ne use awaaz di.
- Danial- Kisi ne use awaaz di.
- Usman Bhai , koi kaam tha?- Danial ne poocha. Usmaan is restaurant ka owner tha,  Usmaan the to  Danial se barah leekhin in dinu main khafi friendship ho ghai thi un dono ki.
- Kaha ja rhe hain janaab?- Usmaan ne poocha.
- Wo Bhai , Dad ne phone kiya hain, ghar ja rha tha- Danial ne btaya.
- Yeh to bht kushi ki baat hain- Usmaan ne kaha.
- Ok khuda hafiz, main chalta hu- Danial ne kaha.
- Khuda hafiz  phone karte rehna- Usmaan ne awaaz di.
- J theek hai- Danial ne jathe hue kaha.

                  *************

Danial Chodry house pohanch gya, jaldi se andar gya, wo andar gya to samne sab bethe hue the.
- Salam  - Danial ne andar athe kaha.
- Wsalam , ao betho- Zoyah ne kaha.
Sab khamosh bethe the.
- Danial kaha reh rhe the ?- Zoyah ne poocha.
- Rent phe eek room lia hain-  Danial ne kaha.
- Acha, or suna hain ke eek restaurant main tume kaam mila hain?- Zoyah ne poocha.
- J wo Usmaan bhai jinka ghar hain uno ne apne restaurant main kaam bhi de dia- Danial ne btaya.
- Acha - Zoyah ne kaha.
- Danial aaj sham ko tumara or Emaan ka nikah hain- Shahraz sahib ne kaha.
-   J Baba?- Danial ko yakeen na huwa.
- Ha , Emaan tumse shadi karna chahti hain- Zoyah ne kaha.
- Tume koi itraaz hain?- Shahraz sahib ne poocha.
- Nhi - Danial ne kaha.
- Theek hain , shaam tak tyaar rehna- Sufyaan sahib ne kaha or uth ke chale ghae.
Eek eek kar ke living room khali ho gya , bas Danial or Dadi reh ghae.
- Dadi - Danial Dadi ke paas beth gya.
Dadi uth ke jane laghi Danial ne une rook lia.
- Dadi plz meri baat sune- Danial ne kaha.
- Bolo mere paas time nhi , shaam ko meri pooti ka nikah hai , mujhe bht kaam hain- Dadi ne ghuse se kaha.
- Dadi main sach main Emaan se muhabbat karta hu- Danial ne kaha.- Or wo bhi shayad mujh se muhabbat karti hain- Danial ki baat Dadi ko samaj na ai.
- Emaan tumse muhabbat ?- Dadi ne poocha.
- Ha Dadi- Danial ne kaha.
- To phir pehle tumse shadi ke lie maani kyu nhi?- Dadi ne poocha.
- Wo eek misunderstanding ho ghai thi , leekhin ab main Emaan ka dil phirse jeetungha or use apni muhabbat ka ehsas dilaungha, or Ghar main sab se maafi manghlungha- Danial ne kaha.
- Acha hogha ke tum sab se maafi maanghlo- Dadi ne kaha.
- Plz Dadi meri help kare , main apni ghaltiyu ki talafi karungha- Danial ki ankhu main ansu a ghae, uske ansu dekh kar Dadi ka dil pigal gya.
- Danial betha plz tum mujhe puri baat btao- Dadi ne kaha.
Danial ne Dadi ko sari baat btai.
- Inshallah betha tum zroor kamyaab honghe, main tumare sath hu- Dadi ko sachai patah chalne phar Danial ki help karne ke lie tyaar honghai.
- Thank you- Danial ne Dadi ko hug kiya.
- Are bas karo, mujhe patah tha ke mera Dani khabi ghalat nhi ho sakta- Dadi ne muskura kar kaha.

                     ***********

Shaam ho ghai thi, ghar main sab nikah ki tyaari kar rhe the. Bas Mehak ,Armaan  , Dua or uske sasural walu ko bulaya gya tha.
Molvi sahib bhi nikah parane ke lie a ghae.
- Armaan Roomil,tum dono Emaan ke bhai bhi laghte ho jao Emaan ko le kar ao- Dadi ne kaha.
- J Dadi hum abhi jath hain- Armaan ne kaha.
- Hum Emaan ke jiju nhi bhai hain  is lie bhai hone ki sari rasme hum puri karenghe- Roomil ne kaha.

Rasam ke mutabik nikah ke lie larki ke bhai hi use le kar athe hain , leekhin Emaan ka koi bhai na hone phar Yeh dono use lene chale ghae.
Emaan niche a ghai or Use Danial ke samne bithaya gya, samne eek parda lagha dia, jis ki eek side phe  mard(men) the or dusri side phe aurte( woman) thi.
Nikah ki takreeb bhi bht ache se guzar ghai, raat ko khana khane ke baad sab apne ghar chale ghae.
Dua bhi chali ghai, Mehak or Armaan yahan hi rukh ghai

Khafi raat ho chuki thi , Danial room main gya to Emaan abhi bhi bed phe dulhano ki tarah bethi hui thi.
- Are yaar tum abhi bhi yahan bethi hui ho , so jana tha na - Danial ne kaha.
- I am interested maine apne kapre lene the dosre room se is lie intezaar kar rhi thi sab ke sone ka- Emaan uth kar khari ho ghai bed phe.
- Oh acha , wese for your kind information apke room main Mehak Appi or Armaan soe hain-Danial ne btaya or apne kapre change karne ke lie cupboard ki taraf chala gya.
- Hey kya kar rhe ho , yahan change karonghe-Emaan ne kaha.
- To tume kya hain, mera room hain main jo bhi karun- Danial ne shararat se kaha.
- Nhi j ab yeh mera bhi room hain- Emaan bed se utar kar uske samne khari ho ghai.
- Acha g? - Danial ne pyaar se poocha.
- J ha , or yahan phe pari har cheez phe ab mera bhi haq hain- Emaan ne kaha.
- Hae kash hum bhi koi cheez hote
Ghuse ki bajae aap haq hi jatah lethe- Danial ne shayari ke andaz main kaha.
- Tum shayari karo hum change kar ke athe hain- Emaan ne Danial ke haat se uski shirt or trousser cheen lia or washroom main change karne chali ghai.
- Hey - Danial ne use awaaz di leekhin wo jaldi se washroom main ghus ghai.
Danial dosre kapre le kar bahir wale washroom main change karne chala gya.
Emaan washroom se nikhli to Danial bhi bahir se a gya.
- Hahahaha- Danial Emaan ko dekh kar hansne lagha.
- Kya huwa?- Emaan ne poocha.
-  Tum bht pyaari lagh rhi ho mere kapro main- Danial ne bht hi mushkil se apni hansi control ki.
- Majhburi thi is lie pehne, or ha kisi ghalat fehmi main na rehna ke maine tumse shadi apni kushi se ki hain wo bhi majboori thi- Emaan ne kaha. Danial ko bura lagha leekhin wo Emaan ki kushi main kush tha.
Danial ne Emaan ko niche chadar or takya rakhte dekha.
- Emaan yeh kya kar rhi ho tum ?- Danial ne poocha.
- Sone ke lie bistar lagha rhi hu- Emaan ne kaha.
- Leekhin tum niche kese so ghi?- Danial ne poocha.
- Kya!- Emaan ne kaha.
- Kya kya?- Danial ko uski baat samaj na ai.
- Niche main nhi tum soo ghe- Emaan  ne apna hukam suna dia.
- Leekhin main.....- Danial ne kuch kehna chaha leekhin Emaan ne uski baat puri na hone di.
- Good night- Emaan ne lights switch off kar di.
- Good night- Danial uske lie niche soo gya.

Ishqजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें