Chapter 44

617 54 8
                                    

- Danial Choro mujhe- Emaan phir se chilai.
- Emaan tum kitni ziidi ho, yeh lo choor dia - Danial ne use bed phe ghiraya or darwaza band kar ke chala gya.
- Darwaza kholo Danial- Emaan darwaza khatktati rhi.

                        *******

- Emaan kaha chali ghai hain?- Mehak or Ayesha kafhi deer se use dundh rhi thi.
- Maine andar bhi poocha hain, wo keh rhe the ke kab ki nikhal ghai hain- Mehak or Ayesha pareshan ho ghai.
- Shayad ghar chali ghai ho- Ayesha ne kaha.
- Ha shayad, main ghar phone kar ke poochti hi- Mehak ne kaha.
- Nhi ,Chalo ghar chalte hain , aghar une pehle phone kiya to pareshan ho jaenghe-Ayesha ne kaha.
- J Ammi- Mehak or Ayesha ghari main beeth ghai or ghar ke lie nikhal ghai

Thori deer main wo dono ghar pohanch ghai.
- Emaan kaha hain?- Dadi ne unse poocha.
- Emaan ghar nhi ai! - Mehak or Ayesha pareshan ho ghai.
- Kya matlab?- Dadi or Dua ko samaj na ai.
- Humne use beauty parlour chora or jab wapis ae to waha nhi thi- Mehak ne btaya.
- Hae allah , meri bachi ki hefazat karna- Dadi pareshan ho ghai.
- Ammi ab main kya karunghi- Ayesha bhi pareshan ho ghai.
- Jaldi se apne Baba ko phone karo - Dadi ne Dua se kaha.
- J Dadi abhi karti hu- Dua uth kar phone ki taraf ghai.

                        ******

- Emaan?- Danial room ki taraf chala gya or darwaza kola, Emaan abhi bhi bed phe beethi roo rhi thi.
- Are Emaan tum abhi bhi roo rhi ho, chalo jaldi se khanaa ka lo- Danial uske paas a kar beth gya.
- Mujhe kuch nhi khana- Emaan ne khane ka bartan uthaa kar niche peenk dia.
- Are itna ghusa- Danial hansne lagha.
- Mujhe ghar jane do - Emaan ne kaha.
- Dont worry jaldi jaenghe ghar- Danial ne kaha.
- I hate you, main tumari shakal bhi nhi dekhna chahti - Emaan ne roote hue kaha.
- Bas kuch din ki baat hain, tum beetho Main tumare lie khana le kar atha hu- Danial bahir chala gya.

                      *******

" England"

- Bilal mujhe btao Danial kaha hain- Zoyah ne poocha.
- Aunty mujhe nhi ptah- Bilal ne jooth bola.
- Bilal bhai aap hi une le kar ghae the- Sarah ne kaha.
- Sachi , mujhe nhi patah hain- Bilal Danial ke lie kuch bhi kar sakta tha.
- Bilal mujhe patah hain ke tum jhoot bool rhe ho- Zoyah ne kaha.
- Nhi aunty- Bilal ne kaha.
- Tume meri kasam Bilal, btao mujhe- Zoyah ki ankhu main ansu aghae.
- Wo Pakistan chala gya hain- Bilal ne ahar kaar btaa hi dia.
- Kya!- Zoyah yeh sun kar pareshan ho ghai.
- Ha aunty usne mujhse waada lia tha ke main kisi ko na btau - Bilal apne jooth ki wajah btai.
- Yeh larka kuch ghalat na kar beethe- Zoyah bht ziada pareshan ho ghai.
- Aap pareshan na ho, wo kuch nhi karengha- Bilal ne une tasali di.
Bahir se Sufyaan sahib bhi aghae , wo bht hi pareshan lagh rhe the.
- Kya baat hai?,aap pareshan lagh rhe hain- Zoyah ne poocha.
- Danial kaha hain?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Wo..wo apne friend ki shadi phe gya hain - Zoyah ne jooth bola wo une sach btana nhi chahti thi.
- Konse friend ki?- Sufyaan sahib ne poocha, une shak ho gya tha ke wo sab unse jooth bool rhe hain.
- Patah nhi - Zoyah ne kaha.
- Shahraz bhai ka phone aya tha- Sufyaan sahib ne btaya.
- Emaan kesi hain?- Zoyah ne Emaan ka sab se pehle poocha.
- wo subah se laa patah hain- Sufyaan ki baat phe Zoyah ki sansee ruk si ghai or ghirte ghirte sambli.
- Mom- Sarah ne Zoyah ko sofa phar bithaya.
- Eh Khuda yeh kya ho gya- Zoyah pareshan ho ghai.
- Aghar iske peeche Danial ka haath huwa to main use choorugha nhi- Sufyaan sahib bht hi ghuse main the.

                             ******

" Pakistan"

- Ab Ejaaz ke ghar walu ko kya jawaab denghe- Dadi ne kaha.
- Emaan kaha ja sakti hain- Mehak ko samajh nhi a rhi thi.
- Ha, wo is rishtey se bht hi kush thi- Dua ne kaha.
Ghar main sab hi bht pareshan the , Ayesha or Shahraz sahib to andar se thoot chuke the,unki jawan bethi laa patah thi wo eek mint bhi sakuun se beeth paa rhe the.
Armaan or Shahraz sahib bhi aghae.
- Patah chala kuch?- Dadi ne poocha.
- Nhi Nanni- Armaan ne kaha.
- Main kya karun Ammi , mere parwarish main kya kuch kami reh ghai thi- Shahraz sahib ki ankhu main ansuu aghae.
- Nhi betha isme hmari Emaan ki koi ghalti nhi hoghi - Dadi ne kaha.
- Leekhin main yeh baat Ejaaz ko kese btaungha- Shahrab sahib ne kaha.
- Emaan is shadi se kush nhi thi- Ejaaz or uski family bhi aghai.
- Aap logh?- Sab une dekh kar pareshan ho ghae.
- Mujhe to pehle din se lagh rha tha ke wo kisi dbau main a kar yeh shadi kar rhi hain- Ejaaz ne kaha.
- Nhi betha uski marzi se hi yeh shadi teh hui thi- Dadi ne use samjana chaha.
- Ab rehne dijie , hum apne bethe ki shadi kar rhe hain wo bhi kal hi - Ejaaz ki Ammi ne kaha.
- Aap esa nhi kar sakte , apni behan ka to hyaal karle- Shahraz sahib ne kaha.
- Chalo Ejaaz - Wo bgher kuch sune chale ghae.
- Ejaaz betha - Sab ne une rokhne ki bht kooshish ki leekhin wo na rukhe.

IshqWhere stories live. Discover now