Chapter 59

752 56 12
                                    

" In England"

- Mom bhai kab aenghe- Sarah becheni se Danial ka intezaar kar rhi thi.
- A jaenghe sabar karo- Zoyah khana bnane ki tyarya kar rhi thi.
- Sherry bhi chala gya or main akheli boor ho rhi hu- Sarah ne kaha.
- Boor kyu hona, meri help karo- Zoyah ne advice di.
- Main abhi athi hu- Sarah kaam se bachne ke lie bahana bnaa kar upar jane laghi.
- Kaam kab siko ghi jaldi hi tumari shadi kardenghe, kaam siikh lo warna tumari saas kahe ghi ke Maa ne kuch nhi sikhaya- Zoyah ne awaaz di.
- Abhi bht time hain, itni jaldi nhi jaunghi, apni bhabhi ko tang kar ke hi jaunghi- Sarah ne mazak se haste hue kaha.
Bahir ke door ki bell bajhi.
- Sarah dekho kon hain- Zoyah ne kitchen se awaaz di, wo upar jate jate rukh ghai or niche darwaza kolne chali ghai.
- Khala j  kese ho?- Sarah apni Mom ki behan ko dekh kar kush ho ghai.
- Main theek hu ,tum kesi ho?- Rabia ne poocha.
- Main bhi theek hu, Sanna kidar hain?- Sarah ne poocha.
- Sanna or Muzamil( Sanna ka bhai) car park karne ghae hain- Rabia ne kaha.
Wo dono baate karti karti kitchen main a ghai.
- Salam ,kesi ho Zoyah?- Rabia ne poocha or dono milne laghi.
- Main theek hu, bethye na- Zoyah ne kaha.
- Danial nhi aya abhi tak?- Rabia ne poocha.
- Abhi athe hi honghe- Sarah ne kaha.
- Hi everyone- Sanna or Muzamil bhi a ghae.
- Hi, betha kese ho?- Zoyah ne poocha.
- Bilkul theek- Muzamil ne kaha.
- Chalo bahir bethte hain- Zoyah ne kaha.
- J Aunty chalye- Sanna ne kaha.
Wo sab bahir living room main chale ghae.
- Itni jaldi kyu a rha hain  Danial, abhi maine use kuch din pehle spain main dekha tha- Sanna ne poocha.
- Office ka kuch kaam tha is lie- Zoyah ne kaha.
- Kab tak aenghe wo logh?- Muzamil ne poocha.
- Abhi a rhe honghe- Sarah ne kaha.
- Sarah tum teno upar chale jao- Zoyah ne kaha.
- Ha in dono ko upar le jao- Rabia ne kaha.
- J khala j- Sarah ne kaha.
- Chalo Sarah- Sanna ne kaha.
Wo teno upar chale ghae.
- Zoyah maine eek baat karni hain tum se- Rabia ne kaha.
- Btaena Baji kya baat hain- Zoyah ne poocha.
- Dekho main to tum se naraz thi, Danial ka rishta Sanna se  nhi kiya na tumne- Rabia ne naraz lehjhe main kaha.
- Baji yeh mere bas ki baat nhi thi or Danial ne kisi se poocha bhi nhi- Zoyah ne kaha.
- Pehle to poocha tha tab hi manah kar dethi or baat yahan tak na pohanchti- Rabia ne kaha.
- Usne zid ki thi or uske Dad ki batiji thi is lie main bhi maan ghai- Zoyah ne kaha.
- Sab tumari ghalti hain Zoyah- Rabia ne kaha.
- Maine kya kiya baji?- Zoyah ne poocha.
- Tume to patah hain na yeh pakistan ki larkia kesi hoti hain, bola bala sa london ka handsome sa larka dekha or apne chakar main dhaal dia, esi larkiu se bachae allah- Rabia ne kaha.
- Baji esi koi baat nhi, Emaan bht hi achi larki hain- Zoyah ne kaha.
- Tum rehne do, uske piche Danial ne apni zindagi barbaad karli thi, Sufyaan ne use ghar se nikaal dia tha, ab or kya chahti ho- Rabia ne kaha.
- Wo baat main kese bool sakti hu- Zoyah ne kaha.
- Ab dekhna tumare bethe ko kese apni unghlyu phe nchati or dekhna Danial tume bool jaengha or Pakistan chala jaengha- Rabia Zoyah ke kaan bar rhi thi Emaan ke hilaaf.
- Baji ab main kar sakti hu- Zoyah ne poocha.
- Danial ki dusri shadi Sanna se karde- Rabia ne eek dam se  keh dia.
- J - Zoyah heraan reh ghai.
- Ha aaj kal to larke 3 3  shadia karte hain, Eek waha rahe ghi or eek yahan- Rabia ne kaha.
- Baji aap ye kesi baate kar rhi hain, esa nhi ho sakta- Zoyah ne kaha.
- Acha to Danial nhi to Sarah hi de do mere Muzamil ke lie- Rabia ne kaha.
- Abhi Danial or uske Dad athe hain unse poochti hu- Zoyah ne kaha.
- Poochna kya hain, Danial ka to mujhe patah hain uski to dushmni hain hmare ghar se, Yeh to saaf saaf na hui na-  Rabia ne kaha.
- Esi koi baat bht poochta hain aap ka , jab bhi uska phone atha tha to  wo aap loghu ka zroor pochta tha-  Zoyah ne kaha.
- Mujhe patah hain kitna poochta hain, ab jaldi se tum sab baat kar lo wo mere hi ghar ki bahu bne ghi- Rabia ne kaha.
- J Baji main jaldi se jaldi baat karne ki koshish karti hu- Zoyah ne kaha.
- Ha - Rabia ne kaha.
Bahir ke door ki bell bajhi.
- Shayad wo logh a ghae, main dekhti hu-Zoyah door kolne chali ghai.
- Mashallah , aghae aap logh- Zoyah Danial ko itne din baad dekh kar kush ho ghai.
- J, Andar a jae?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Sorry, andar aiye- Sab living room main chale ghae.
- Salam baji, kesi hain?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Main theek hu- Rabia ne kaha. Danial se wo naraz thi is lie uska haal  na poocha.
- Bhai- Sarah or Sanna Muzamil bhi upar se aghae.
- Hey kesi ho?- Danial ne poocha.
- Main theek hu, aap kese hain or Emaan ...sorry  sorry  Emaan bhabhi kesi hain?- Sarah ne poocha.
- Wo bhi theek hain- Danial ne muskura kar kaha.
- Mom khana de na book laghi hain- Sherry ne kaha.
- Maine bhi kaha ke aaj Sherry itna kamosh kyu hain wo kamosh rehne walu main se nhi hain- Sanna ne mazaak se kaha.
- Bichare ko book laghi hain is lie- Muzamil ne hanste hue kaha.
- Muzamil bhai- Sherry ne naraz lehjhe main kaha.
- Ok yaar sorry- Muzamil ne kaha.
- Main khana laghwati hu , Sarah ao mere saath- Zoyah ne kaha.
- J Mom- Sarah or Zoyah kitchen main chali ghai.
- Sanna betha tum bhi Sarah or Aunty ki help karo- Rabia ne kaha.
- Acha Mama- Sanna bhi Kitchen main chali ghai.
- Main fresh ho kar atha hu- Danial room main chala gya.

Khana khane ke baad Sanna or uski family ghar chale ghae, or baki sab living room main baate karne laghe or coffee phine laghe. Itne main Bilal or uski wife Malaika bhi a ghae.
- Kese ho Danial?- Bilal ne poocha.
- Main theek hu-  Danial ne kaha.
- Or Emaan or baki sab kese hain?- Bilal ne poocha.
- Sab theek hain, tumari princess kidar hain?- Danial ne poocha.
- Ha Bilal Anaya kaha hain?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Sarah ne andar athe hi pakhar li hain, Sherry or  Sarah dono larai kar rhe hain- Malaika bhi living room main a ghai jahan baki sab bethe hue the.
- Anaya bht pyara naam hain- Danial ne kaha.
- Ha Emaan ko bhi bht pasand aya tha- Bilal ne kaha.
- Main abhi use le kar atha hu- Danial ne kaha.
- Rukh main bhi atha hu- Bilal bhi uske peeche chala gya.
Wo dono bahir garden main chale ghae jaha Sherry or Sarah Anaya ke saath bethe hue the.
- Mashaallah kitni cute hain- Danial ne kaha.
- Ha bilkul mere phe hain- Bilal ne mazaak se kaha.
- Laghta to nhi- Danial ne muskura kar kaha.
- Zra ghoor se dekho- Bilal ne kaha.
- Yeh tumse ziada cute hain- Danial ne kaha.
- Acha j- Bilal ne ghuse se kaha.
- Mazaak kar rha tha yaar- Danial ne kaha.
- Are yaar tumse eek baat karni hain- Bilal ne kaha.
- Ha bool na- Danial ne kaha.
- Ha eek mint , Sarah Sherry Anaya ko andar le jao- Bilal ne kaha.
- Ok Bhai- Sherry ne kaha.
Wo dono Anaya ko le kar andar chale ghae.
- Ao bethte hain- Danial or Bilal waha garden main hi chair phar beth ghae.
- Maine Emaan se baat ki thi, everything is okay na?- Bilal ne poocha.
- Thanks yaar teri wajah se sab kuch theek ho gya hain- Danial ne kaha.
- Thanks mera na kar thanks tu god ka kar- Bilal ne kaha.
- Nice , samajdaar ho gya hain- Danial ne mazaak se kaha.
- Ha bethi ka baap jo ban gya hu- Bilal ne hasste hue kaha.
Wo dono baate karte rhe.

Shaam ko sare mehmaan chale ghae the. Dinner ke baad sab apne apne room main chale ghae, Danial bhi apne room main chala gya or Emaan ko call karne lagha.

"- Salam - Danial ne kaha.
- Wsalam - Emaan ne jawaab diya.
- Kesi ho?- Danial ne poocha.
- Theek hu- Emaan naraz lehjhe main kaha.
- Naraaz ho, ok yaar sorry, subah se itne mehmaan a rhe the time hi nhi mila , sachi yaar- Danial ne kaha.
- Ha theek hain- Emaan ne kaha.
- Ghar phe sab kese hain, or Dadi kese hain?- Danial ne poocha.
- Sab theek hain, tum theek se pohanch ghae na?- Emaan ne poocha.
- Ha main pohanch gya- Danial ne kaha.
- Wapis kab ana hain?- Emaan ne poocha.
- Jaldi se jaldi a jaungha- Danial ne kaha.
- Sarah Sherry bht kush honghe?- Emaan ne poocha.
- Ha bht kush the, Sherry mujhe lene bhi aya tha- Danial ne kaha.
- Acha- Emaan ne kaha.
Danial ke room ka darwaza Kisi ne khatktaya.
- Main tume phir call karta hu - Danial ne phone band kar dia."

- Danial betha main Mom hu- Zoyah ne phirse darwaza khatktaya.
Danial ne darwaza khola.
- Mom plz aiye na andar- Danial ne kaha.
- Ha- Zoyah ne kaha.
- Aiye bethye -  Danial ne use upar bed phe bithaya or khud niche beth gya.
- Danial mujhe eek zroori baat karni hain tumse- Zoyah ne kaha.
- J Mom bole- Danial ne kaha.
- Rabia Baji hmari Sarah ka rishta maang rhi thi- Zoyah ne btaaya.
- Leekhin Mom Sarah or Qasim( Rabia other son) abhi bht chote hain- Danial ne kaha.
- Qasim ke lie nhi Muzamil ke lie- Zoyah ne btaya.
-Muzamil , leekhin wo to mujhse bhi barah hain- Danial ne kaha.
- Kuch saal ka kya hota hain- Zoyah ne kaha.
- Mom Sarah abhi 20 ki hui hain, Sanna  mujh se eek do mahine choti hain or main 25 ka hu, to phir Muzamil 27 ka hogha- Danial ne kaha.
- Ha 27 ya 28 ka hogha- Zoyah ne kaha.
- Mom Qasim bhi 23 ka hone wala hain, phir Muzamil kyu or Qasim kyu nhi- Danial ne poocha.
- Betha wo abhi study kar hain- Zoyah ne kaha.
- Muzamil ki harkthe dekh use koi apni behan bethi na de, meri taraf se na hain- Danial ne kaha.
- To phir tum Sanna se dussri shadi karlo- Zoyah ne kaha.
- Mom aap yeh kese soch sakte hain- Danial ghusa ho gya.
- Danial main tume bas btane ai hu, tumare Dad bhi razi hain is rishtey se, plz tum interfere na karna is rishtey main- Zoyah ne kaha.
- Oh really Mom Dad maane hain ya aap ne zabardasti manwaya hain is rishtey ke lie- Danial ne kaha.
- Bas Danial, hudh to pasand ki shadi karli ab main koi or fesla nhi tume lene dunghi- Zoyah ne kaha.
- Main yeh Shadi nhi hone dungha, mera fesla pakha hain- Danial ne kaha.
- Har baar tumari nhi chale ghi, yeh dihaan main rakhna- Zoyah ne kaha.
- Mom aap ko kya ho gya hain, plz samje na- Danial ne kaha.
- Mujhe kuch nhi samajna- Zoyah uth kar chali ghai.

IshqWhere stories live. Discover now