Chapter 43

605 57 6
                                    

" In Pakistan"

- Emaan kidar hain?- Dadi ne poocha.
- Apne room main hain - Mehak ne btaya.
- Jabse uski manghni hui hain room se hi nhi nikhalti- Dadi ne kaha.
- Itni jaldi uski shadi ho rhi hain tora nervous hoghi- Ayesha bhi room se aghai.
- Ha shayad- Mehak ne kaha.
- Jao jaldi se Emaan ko bulao usse parlour bhi le kar jana hain or phir raat ko mehndi hain- Ayesha ne Mehak se kaha.
- J Ammi- Mehak ne Ayaan ko sofa phar bithaya or upar chali ghai.

Mehak ne room ka darwaza karhktaya jawaab na ane phar sidhee hi andar chali ghai.
- Tum abhi tyaar nhi hui- Mehak ne Emaan ko kaha jo Novel book phar rhi thi.
- Appi abhi uthti hu - Emaan ne baat thalni chahi.
- Utho chalo change karke niche ao- Mehak ne use zabardasti washroom main dhala.
- Appi athi hu aap niche jae- Emaan ne darwaza lock kardia.
- Jaldi ana- Mehak niche chali ghai.
- J - Emaan ne kaha.

Emaan jaldi se tyaar ho kar niche jane laghi, use patah tha ke aghar wo leeth hui to Ayesha dhante ghi.
Usne apna hand baig pakhra or niche jane laghi ke uska phone bajh parah.
- J ?- Emaan ne phone uthaya.
- Salam main Ejaaz baat kar rha hu- Ejaaz ne kaha.
- Wsalam- Emaan ne kaha.
- Kya haal hain?- Ejaaz ne poocha.
- Theek hu, aap kese hain?- Emaan ne poocha.
- Bas intezaar kar rha hu tumara- Ejaaz ne muskura kar kaha.
- J?- Emaan ne khabi bhi nhi Ejaaz ko itna romantic dekha tha.
- Mazaak kar rha hu- Ejaaz ne baat change kardi use lagha ke Emaan ko achi nhi laghi yeh baat.
- Ghar main sab kese hain?- Emaan ne poocha.
- Sab theek hain, shadi ki tyaryu main masroof hain- Ejaaz ne kaha.
- Acha- Emaan ne kaha.
- Emaan tum is shadi se kush ho na?- Ejaaz ne poocha.
- Ha, kyu? - Emaan ne kaha.
- Nhi wese hi pooch lia- Ejaaz ne kaha.
- Hmm- Emaan koi baat nhi a rhi thi. Aaj use bht hi ajeeb sa lagh rha tha , jisse wo pura pura din baat karti rehti aaj baat hi nhi kar pah rhi thi.
- Shopping karli?- Ejaaz ne poocha.
- Ohh , main tume baad main call karunghi Ammi niche bula rhe hain- Emaan ko yaad aya.
- Suno to....- Ejaaz ne kehna chaha , Emaan ne pehle hi phone band kar dia.

Emaan jaldi se niche ghai.
- Itni deer kaha thi?- Mehak ne poocha.
- Wo Appi main change kar rhi thi- Emaan ne kaha.
- Emaan , Mehak chalo jaldi karo- Ayesha ne kaha jo abhi abhi room se nikhal kar sidhe hi living room main ai.
- J Ammi chalye- Mehak ne kaha.
- Jaldi se nikhalte hain aghar Ayaan ne dekha to roe gha- Ayesha ne kaha.
- Ha , Armaan ne ghari nikhali hui hain - Wo teno bahir chali ghai.

Emaan ki shopping ho chuki thi , ab rasam ke mutabik Ejaaz or uski family ke lie bhi gift lene the.
Mehak une kurte ki dukhaan main le ghai.
- Yahan phe bht hi ache kurte milte hain -Mehak ne btaya.
- Acha dekh lethe hain - Ayesha ne kaha.
- Danial ne bhi yahan se lia tha Dua ki shadi phe- Mehak ne kaha ,Emaan ko Danial ki baat yaad aghai.
- Emaan main konsa kurta lu?- Danial ne poocha.
- Yeh green wala?- Emaan ne kaha.
- Aap ki pasand hmari pasand , maine to apni zindagi tumare naam kardi hain - Danial ne muskura kar kaha.
Emaan Danial ke hyaalu main koi hui thi, Mehak use awaaz di.
- Emaan ?- Mehaak ne kaha.
- Ha Appi?- Emaan ne poocha.
- Kaha kohi hui ho , kab se awaaz de rhi hu?- Mehak ne poocha.
- Idar hi hu- Emaan ne kaha.
- Chalo apne Ejaaz ke lie kurta lelo - Mehak ne mazaak se kaha.
- Aap ko jo acha laghta hain wo lenle- Emaan waha chair phe Ayesha ke sath beeth ghai.
- Tum bhi na -Mehak ne kaha.
- Utho na Emaan - Ayesha ne bhi kaha.
- J Ammi - Emaan ne bgheer dekhe eek kurta utha lia.

Shopping karne ke baad Emaan ne parlour jana tha , Mehak or Ayesha use parlour choor kar mehndi ka samaan lene chali ghai.
- Madam aap apni shadi se kush hain?- Beauty parlour wali ne poocha.
- J ,kyu?- Emaan ne poocha.
- Aap ka chehra itna kilaah huwa nhi lagh rha jese larkiu ka hota hain - Uss larki ne kaha.
- Esi koi baat nhi- Emaan ne kaha.

Jaldi hi Emaan parlour se faarigh ho ghai or bahir ja kar khari ho ghai.
- Ammi kaha reh ghae- Emaan ko lagha ke wo dono bahir majuud honghi.
Wo khafi deer waha kharii rhi koi bhi nhi a rha tha use lene.
Door se usne eek ghari athe dekhi , wo ghari uske nazdeek a kar rukh ghai.
- Danial?- Emaan Danial ko ghari main dekh kar heraan reh ghai.
- Emaan ghari main beetho- Danial ne window niche ki.
- Nhi - Emaan ne manah kar dia.
- Emaan i said ghari main beetho- Danial ne unchi awaaz main kaha to Emaan ki ankhu main ansu aghae.
- Danial plz - Emaan ne kaha.
- Emaan yaar tum bhi na choti choti baat phe roone lagh parti ho- Danial ghari se nikhal kar uske samne khara ho gya or uske ansu saaf kie.
- Kal meri shadi hain ,tum jao yahan se- Emaan ne use dhaka dia.
- Main tumare lie hi to aya hu- Danial hansne lagha.
- Plz- Emaan roone laghi.
- Emaan ghari main betho- Danial ne use zabardasti ghari main bithaya.
- Choro mujhe- Emaan ne kaha.
- Shh - Danial ne ghari start kardi.
- Plzz Danial - Emaan roone lagh parih.
- Emaan chup - Danial ne ghuse se kaha.
Wo Emaan phe ghusa nhi hona chahta tha leekhin wo majbuur tha.
Danial ghari ko eek jungle ki taraf le gya or eek purane se ghar ke samne ghari rook di, bht hi sunsaan di jagah thi bas eek hi ghar tha waha.
- Ao Emaan- Danial ghari se uthra.
- nhi- Emaan ne kaha.
- Yaar tum bhi na- Danial ne use ghari uthara or utha kar andar le gya.
- Choro mujhe- Emaan chilane laghi.
- Main tume hurt nhi karna chahta main bht hi majbuur hu - Danial ne kaha.
- Choro mujhe- Emaan phir se chilai.
- Emaan tum kitni ziidi ho, yeh lo choor dia - Danial ne use bed phe ghiraya or darwaza band kar ke chala gya.
- Darwaza kholo Danial- Emaan darwaza khatktati rhi.

IshqOn viuen les histories. Descobreix ara