Chapter 33

651 51 6
                                    

Aaj Dua or Roomil ka walima tha. Ghar wale sare hotel ke lie nikhal ghae. Waha pohanche to Roomil or uski family pehle se hi waha majood the. Danial Emaan ko dhundh rha tha, wo Ejaaz ke sath beethi baate kar rhi thi. Aaj bhi Emaan or Danial ne matching white kapre pehne the. Emaan Danial ko dekh kar uth ke jane laghi maghar Ejaaz ne use jane na dia majbooran usse waha rukhna parah. Danial bhi unki taraf chala gya or udar chair phe beeth gya.
- Kya ho rha hain?- Danial ne poocha.
- Kuch nhi - Ejaaz ne muskurate hue jawaad dia.
- Acha - Danial ne Emaan ki taraf dekha , Emaan niche dekhne laghi.
Danial ko samajh nhi a rhi thi ke use kya huwa tha.
Mehak or Farwa bhi unke table phar a kar  beth ghai.
- Kya baate ho rhi hain?  - Farwa ne poocha.
- Kuch nhi babhi- Ejaaz bola.
- Acha to wapis kab ja rhe ho Danial?- Farwa ne poocha.
- Aaj raat ko hi- Danial ki baat phe Emaan dukhi ho ghai lekhiin use samaj nhi a rha tha ke Danial ke jane se kyu dukhi ho rhi hain , yeh wohi Danial jis ne uske sath itna bara dokha kiya tha ,Emaan in socho main masruuf thi , Ejaaz ne use awaaz di.
- Emaan.- Ejaaz ne awaz di.
- Ha - Emaan ne kaha.
- Kaha ghum ho- Ejaaz ne poocha.
- Khi nhi , idar hi hu- Emaan ne jotaa muskuraya.
- Or sunao?- Farwa ne poocha.
- Kab ja rhe ho wapis  ?- Emaan ne Ejaaz se poocha.
- Aaj hi , Walime ki takreeb ke baad sidhe hum Islamabad ke lie rwana ho jaenghe- Ejaaz ne btaya.
- Kya! Itni jaldi , main nhi jane dhunghi- Emaan ne mazaak se kaha.
- Acha  j hudh to athi nhi- Farwa ne kaha.
- Ha , bhabi theek keh rhi hain- Ejaaz ne Farwa ka sath dia .
- Main .....- Emaam kuch kehne laghi Ejaaz ne uski baat khaat di.
- Aaj tume le kar jau gha apne sath- Ejaaz ki baat phe Danial Emaan ko dekhne lagha jo batuu main masruuf thi.
- Ghar mehmaan ae hue hain- Emaan kaha.
- To kya huwa ,kuch din ke baad wapis a jana, or tumari Ami se pooch lenghe- Ejaaz ne kaha or Farwa ne uska saath dia.
- Leekhiin? , acha theek hain- Emaan  Danial  ko deekhna bhi nhi chahti thi is lie wo na chahte hue bhi maan ghai.
- Yeh hui na baat- Ejaaz  kush ho gya .
Waleeme ke baad Emaan Ejaaz loghu ke sath chali ghai ,Dua apne sasural chali ghai  , Mehak Armaan bhi apne ghar chale ghae, baki sare ghar chale ghae. Aaj  ghar bht hi suna suna lagh rha tha . Danial bhi nikhalne ki tyaari kar rha tha.
- Danial apna important samaan rakh lia- Zoyah ne poocha.
- Ammi rakh rha hu- Danial ne kaha.
Zoyah Danial ki help kar rhi thi.
- Bhai mere friends ko milna -Sherry ne kaha.
- Acha  , jese aap ka hukam- Danial sad tha aaj wo ja rha tha or Emaan ko akhri baar dekh bhi nhi paaya tha.
- Kya huwa sad ho ?- Zoyah ne muskurate hue poocha.
- Yeh to hain , yahan se wapis koi jana chahe gha - Ayesha bhi andar a ghai.
- Ha , Ammi main aap sab ko bht miss karungha- Danial ne kaha.
- Itni roonak laghi hui thi , ab sab eek eek karke chale jaenghe - Ayesha mayuus ho ghai.
- Main promise aghle mahine ya phir 2 3 mahinu baad zroor aungha- Danial ne muskura kar kaha.
- Main Dua or Mehak ko bhi milna chahta tha  - Danial ne kaha.
- Koi baat nhi betha , aghle mahine a rhe ho na- Ayesha ne muskurate hue kaha.
- J Ammi- Danial nee kaha.
- Ab jaldi se niche a jao - Zoyah  or Ayesha niche chali ghai.
Danial tyaar ho kar niche jane lagha, Usne Emaan ke room ka darwaza khula dekha to uske room ki taraf chala gya.
Sarrah room Emaan ki tasweeru se bara huwa tha. Danial ne apna blue kurta or usme eek letter Emaan ki lambari main rakh di, or darwaza band kar ke niche chala gya.
Sab se mil jul ke wo airpot ke lie nikhal gya.
Jathe waqt wo bht hi udaas tha.
                   *********

IshqDär berättelser lever. Upptäck nu