Chapter 22

817 67 12
                                    

Kal Dua ki manghni thi Danial abhi tak nhi ayaa tha. Dupehar ka time tha , Sharaz sahib or Sufyaan sahib office chale ghae, Ayesha Dadi or Zoyah kal ki shopping karne chali ghai, baki Emaan Dua Sarah or Sherry living room main bethe Tv dekh rhe the.
Bahir ghari ki awaaz ai , thori deer baad Danial andar a gya.
- Danial , kese ho?- Dua ne poocha.
- Bas theek hu- Danial ne apni jacket sofa ke upar wali side phe rakhi or Sherry ke sath beth gya.
- Kaha the bhai?- Shehriar ne poocha.
- Zroori kaam tha- Danial ne kaha. Emaan ne dekha to wo bht hi thaka huwa lagh rha tha or jab se ayaa tha us ne eek baar bhi uski taraf nhi dekha tha.
- Kal kya hain , yaad hain- Dua ne poocha.
- Ofcourse , main kese bool sakta hu- Danial ne muskurate hue kaha yeh wohi shetani muskurahat nhi thi Emaan ne noot kiya.
- Chalo mujhe Shopping phe bhi jana hain , main tumara hi wait kar rhi thi- Dua ne kaha.
- Acha chalo main change karke atha hu- Danial upar chala gya, Emaan bhi uske piche jane laghi thi leekhin usse ese kisi ke piche jana theek na samja or khud ko rook lia.
Itne main Dadi logh bhi a ghae.
- Kaha jane ki tyaari ho rhi hain- Zoyah ne poocha.
- Danial bhai a ghae hain, hum shopping karne ja rhe hain or phir lunch bahir karhenghe- Shehriar ne kaha.
- Acha , hum to aap ki pasandida dish bnane wale the- Ayesha ne mazaak se Shehriar se kaha.
- Wo raat ko kha lenghe.- Shehriar muskura kar bola.
- Acha betha jese aap ki marzi- Ayesha ne Shehriar ko kandhe phar halka sa tapar maraa.
- Wese Danial kidar hain?- Dadi ne poocha. Wese to chota pootah ( grandson) dadiu ko pyara hotha hain leekhin yahan Danial sab ka ladhla tha.
- Wo upar gya hain fresh hone- Dua ne kaha.
Danial bhi niche a gya.
- Danial betha , kese ho? - Ayesha ne poocha.
- Theek hu, aap kese hain?- Danial ne poocha.
- Main theek hu, hum sab tumara hi intezaar kar rhe the- Ayesha ne muskurate kaha.
- Dani , are you okay?- Zoyah ne poocha.
- Yeh , i am - Danial ne muskurate hue kaha.
- No you are not- Zoyah ko patah tha ke kuch to use tang kar rha hain.
- Mom , we will talk later, chalo Dua mujhe book laghi hai - Danial ne kaha.
Wo sare uth kar chale ghae.
Danial driving kar rha tha, Dua us ke sath aghe bethi thi or baki 3no piche bethe the.
Danial ne Emaan ko sheeshe( mirror) main dekha to wo gum si thi. Danial ne use mutawaje karne ke lie radio ki awaaz unchi kar di.
- Danial - Dua ne use dhanta.
- Sorry- Danial ne kaha.
Emaan ne upar dekha to Danial dekh rha tha , Danil ne use isharu main poocha ke use kya huwa, usne muskurate sar hilaya.
Sare raste Sherry baate karta gya , or kisi ko to boolne ka mokah hi nhi de rha tha.
- Sherry , wo teri friend Elena ka kya haal hain?- Danial ne Sherry ko tang karne ke lie poocha.
- Kon Elena? - Dua ne poocha.
- Ha Sherry kon Elena?- Emaan ne bhi poocha, Shehriar ab ese jese gungha ho gya tha.
- Main to mazaak kar rha tha- Danial hansne lagha.
- Bhai kyu tang kar rhe hain sherry ko- Sarah ne Sherry ka sath dia.
- Ok , yaar sorrry- Danial ne kaha.
- Danial tum ne kya pehanna hain kal? - Dua ne poocha.
- Main? Patah nhi- Danial ne kaha.
- Acha to new kurta lelo - Sarah ne kaha.
- Ha, kon sa colour tume pasand hain?- Dua ne poocha.
- Blue , leekhin blue kurta mujh phe acha nhi laghe gha- Danial ne kaha.
- Pink kurta bht hi....- Emaan kehti kehti rukh ghai.
- Nhi , maine pink kurta nhi lena - Danial ne Emaan ko tang karte hue kaha.
- As your wish- Emaan bazuu band kar beth ghai.
Wo dukaan pohanch ghae , sab ne apne zaroorat ki cheeze leli, bas Emaan or Danial hi bache the.
- Ab pehle konsi shop phe jae bhai ya Emaan appi - Shehriar ne poocha.
- Yeh konsi shops ka naam hain- Dua ne mazaak se kaha.
- Nhi ,mera matlab hain ke pehle kiske kapre lene hain- Sherry ne apni baat samjai.
- Pehle Danial ke kapre le lethe hain- Dua ne kaha , wo upar Man wale hise main chale ghae.
Itne ziada kurte dikhae leekhin un main se koi bhi use pasand na ayaa.
Ahar kaar eek pink kurta us ne pasand karlia.
- Waoo nice , pink kurta - Emaan ne mazaak se kaha.
- Wo koi mil hi nhi rhi thi, hena bhai- Sherry ne Danial ka sath dia.
- Ha , - Danial ne kaha.
Danial ka kurta lene ke baad wo Emaan ke kapre lene chale ghae .
Raste main eek cards wali dukaan aghai, Sara Emaan or Shehriar andar kuch Cards dekhne chale ghae.
- Wese wo kurta maine tumare kehne phar lia hain- Danial ne muskurate hue kaha.
- Acha J- Emaan ne kaha.
- Sachi- Danial ne kaha.
- Danial , tum lahore kyu ghae the?- Emaan ne poocha. Danial ke jawab se pehle hi Sherry logh a ghae.
- Chalo , kafhi deer ho ghai hain , abhi kuch khana bhi hain - Dua ne kaha .
Wo kapre le kar , nazdeek wale restaurant main chale ghae . Waha se khana kha kar ghar ki taraf chale ghae.

                         ********

Raat ko dinner ke baad Sufyaan sahib ke room se Danial or unke larhne ki awaaz a rhi thi , unka room living room ke samne ki tha sare living room main hi bethe the .
- Dont worry appi yeh rooz chalta hain - Sherry ne Emaan ko pareshan dekha.
Danial bht hi ghuse main Sufyaan sahib ke room se nikhla or apne room main chala gya , itni zoor se darwaaza band kiya ke niche takh awaaz ai. Emaan bht hi gabra ghai uska ghusa dekh kar.
Thori deer baad sare apne room main chale ghae. Emaan chat phe ghai to Danial bhi waha chair phar bhetha kuch sooch rha tha.
Emaan araam se ghai or uski ankhu phar hath rakha.
- Main kon hu?- Emaan ne mazak karte hue poocha.
- Emaan - Danial ne us ka hath htaya or wo saat wali chair phar beth ghai.
- Kya huwa Danial?- Emaan ne poocha.
- Kuch nhi - Danial kuch pareshan tha.
- Sachi ?,- Emaan ne phir se poocha.
- Yes, sachi- Danial ne muskurate hue kaha.
- Acha aaj mera coffe phine ka mood hain- Emaan ne coffe ki sifarish ki.
Danial khi gum tha us ne suna hi nhi.
- Danial?- Emaan ne awaaz di.
- Ha? Tum ne kuch kaha .- Danial ne uski baat nhi suni thi.
- Kuch nhi - Emaan ne muskura kar kaha.
- Acha- Danial ne kaha or khara ho gya.
- Danial koi to baat hain , plz btao na- Emaan us ke piche chali ghai.
- Koi baat nhi hain Emaan - Danial ne kaha.
- Acha to nhi btani, upar se dost kehte ho or baat bhi nhi btate - Emaan ne ghuse se kaha.
- Sach main yaar koi baat nhi- Danial ne phir se kaha.
- Maine nhi karni baat tum se- Emaan naraz ho ghai.
- Maine kaha na koi baat nhi to koi baat nhi , tum loghu ko dost bnae to sar phar hi char jate ho - Danial ghuse main tha uske muh se esi baate nikhal ghai, Emaan ki ankhu main ansuu a ghae. Or waha se rooti hui chali ghai.- ohh shit , Emaan yaar sorry - Danial us ke piche bagha is se pehle ke wo waha pohanchta us ne apne room ka darwaza lock kar dia. Danial ko aaj khud phe bht hi ghusa a rha tha wo Emaan ko sach bhi nhi bta sakta tha or joot bolna nhi chahta tha.

IshqWhere stories live. Discover now