Chapter 57

678 59 20
                                    

- Danial utho na- Emaan kab se Danial ko utha rhi thi.
- Acha na- Danial phirse so gya.
- Theek hain soe raho- Emaan ne haar maan li.
- Kya time huwa hain?- Danial ne poocha.
- 12 bajh ghae hain- Emaan ne btaya.
- Breakfast kar lia?- Danial ne poocha.
- Nhi- Emaan ne kaha.
- Kar lena tha na- Danial ko majhburan Emaan ke lie uthna parah.
- Tum abhi soe ho or main akheli breakfast karu- Emaan ne kaha.
- Tum order karo main abhi shower le kar atha hu- Danial ne kaha.
- J- Emaan ne kaha.
Danial washroom main nhane chala gya. Emaan ne breakfast order kiya or laptop le kar beth ghai.
Emaan ka phone bajha or usne call receive ki.

" - J? - Emaan ne poocha.
- Salam Emaan- Phone ki dusri side se koi bola.
- Wsalam, kon baat kar rha hain?- Emaan ne poocha.
- Nhi pehchana?- Usne poocha.
- Nhi - Emaan confuese ho ghai.
- Main Bilal hu- Bilal ki call thi.
- Ohh Bilal mubarak ho- Emaan ne kaha.
- Kher mubarak- Bilal ne kaha.
- Baby or Malaika kese hain?- Emaan ne poocha.
- Dono bilkul theek hain - Bilal ne kaha.
- Naam kya rakha hain baby ka- Emaan ne poocha.
- Anaya kesa rhe gha?- Bilal ne poocha.
- Mashallah bht pyara naam hain- Emaan ne kaha.
- Danial kesa hain or kaha hain- Bilal ne poocha.
- Wo bhi theek hain , abhi abhi utha hain- Emaan ne btaya.
- Ha is ki late uthne ki adat nhi badle ghi- Bilal ne muskurate hue kaha.
- Ha - Emaan bhi muskurai.
- Acha Emaan eek baat phochu- Bilal ne poocha.
- J- Emaan ne kaha.
- Kya tumare beech abhi bhi wo shart wali misunderstanding hain?- Bilal ne poocha.
- Wo misunderstanding nhi thi Bilal wo dhoka tha- Emaan ke purane zakm taza ho ghae.
- Nhi EmaanBilal ne kaha.
- Maine khud apne khanu se suna tha us din Danial ko kehte hue - Emaan ne kaha.
- Leekhin wo purii baat nhi thi- Bilal ne kaha.
- Leekhin esa eek baar to nhi huwa na , aghar wo mujhse muhabbat karta tha to phir usne mujhe kidnap kyu kiya tha?- Emaan ne poocha.
- Wo pagal ho gya tha tumare ishq main, use sahi or ghalat main kuch samaj nhi thi us waqt, us din bhi tumne adhuri baat suni thi, Ha yeh sach hain ke maine or Danial shart laghaii thi leekhin Danial tumse muhabbat karne lagh gya tha, Emaan wo tumse behad or beintahaa ishq karta hain, plz use eek mokha do- Bilal ne use sari baat btaa di."

Emaan ne phone band kar dia.
Uski ankhu main ansu aghae yeh sooch kar ke wo us shaks ko ghalat samajhti rhi jisne usse itni muhabbat ki. Danial uski har kushi ka hyaal rakhta tha or wo use ignor or bura bala kehti ai thi.
Danial bhi washroom se bahir a gya, usne Emaan ko roote dekha to uske paas beth gya.
- Kya huwa? - Danial use roota dekh pareshan ho gya.
- Kuch nhi- Emaan ne apne ansu saaf kie.
- Tum larkiu ki yehi problem hoti hain, eek to baat nhi btati or akheli ro lethi hain, mujhe bhi to btao kya baat hain main bhi thora sa ro lu- Danial ne mazaak se kaha.
Emaan phirse rone laghi.
- Kya huwa Emaan?- Danial ne phirse poocha.
- Tum mujhse kitni muhabbat karte ho?- Emaan ne poocha.
- Beintehaa, tumare lie jaan .......- Emaan ne uske muh phe haath rakh dia.
- Zindagi mere naam karonghe- Emaan ne poocha.
- Ye zindagi to kabse tumare naam kardi hain bas tumare signatures rehte hain- Danial ne muskurate hue kaha.
- Bilal ka phone aya tha, usne sab kuch btaa dia hain- Emaan ne kaha.
- Ab to koi shikwa nhi hamse?- Danial ne poocha.
- Nhi- Emaan ne kaha.
- Acha to ye rona band karo or thora muskurao- Danial ne uske ansu saaf kie.
- J- Emaan ne muskura kar kaha.
- Hume phirse shadi karni hoghi- Danial ne kaha.
- Kyu?- Emaan ko samaj na ai.
- Aaj na pehle hum dinner karenghe or phir shadi ke baad ki rasme nibaenghe tum dulhan ki tarah tyaar hona- Danial ne Emaan shararti ankhu se dekha.
- Danial- Emaan sharma kar jane laghi, Danial ne uska bazu pakhra or apni taraf kinch lia.
- Kaha ja rhi ho abhi to....- Danial kuch kehne lagha ke kisi ne darwaza katktaya.
- Ab yeh kon a gya- Danial darwaza kholne gya.
- Sir breakfast- Room service wale  larke ne kaha.
- Waha rakh do- Danial ne kaha.
- J - Wo breakfat rakh kar chala gya.
- Aiye madam breakfast kare- Danial ne muskura kar kaha.
- J chalye- Emaan ne kaha.

Breakfast ke baad wo dono shopping karne or ghumne chale ghae.
Or raat ko kisi ache se indian restaurant phe chale ghae.
- Yes sir?- Waiter ne poocha.
- What is the special dish  today?- Danial ne poocha.
- Sir Biryani and kebab- Waiter ne btaya.
- Ohh nice plz biryani and kebab - Danial ne kaha.
- Ok sir- Waiter chala gya.
- Biryani pasand hain?- Danial ne poocha.
- Yes my favourite- Emaan ne kaha.
- Oh nice meri bhi- Danial ne kaha.
- Ha acha hain na- Emaan ne muskura kar kaha.
- Tume patah hain us guide se maine kya sikha- Danial ne kaha.
- Kya? -  Emaan ne poocha.
- Te quiero- Danial ne kaha.
- Te what?- Emaan ne poocha.
- Te quiero mean I love you in spanish- Danial ne btaya.
- Ohh acha, tume konsi guide ne kaha- Emaan ne poocha.
- Wo jo sab se beautiful thi na usne- Danial ne Emaan ko tang karne ke lie kaha.
- Acha g- Emaan ne use ghuse se dekha.
- Main to mazaak kar rha tha, wo dinner agya - Danial ne waiter ko athe dekha.
- Here sir- Waiter khana rakh kar chala gya.

Raat ko dinner ke baad Emaan room main ai to usne sara room bht hi shandaar sajha dekha.
- Yeh kya hain Danial?- Emaan ne poocha .
- Yeh hmari shadi ki pehli raat- Danial ne kaha.
- Leekhin....- Danial ne uske honthu phe apna haat rakh dia.
- Shhh aaj bas yeh muhabbat  yeh ishq yeh phool yeh asmaan or yeh hwaee bolenghi- Danial Emaan ko utha kar bed ki taraf le gya.
Dono hi eek dusre main kho ghae, puri dunya se bekhabar ho ghae.

MERI   SANSU KO TERE  DIL MAIN PANAA   MIL  JAE
TERE   ISHQ   MAIN  MERI JAA FANNA  HO  JAE

IshqWhere stories live. Discover now