Chapter 51

641 55 11
                                    

- Danial Emaan darwaza kholo- Dadi ne darwaza khatktaya.
- Kon hain?- Emaan ne poocha.
-Tumari Dadi- Dadi ne kaha.
- Oh shit Dadi - Emaan ne Danial ko jaldi se uthaya.
- Danial jaldi utho Dadi ai hain-Emaan ne use hilaaya.
- Kya hain?- Danial uth ke beeth gya.
- Dadi ai hain bahir, tum upar so jao plz- Emaan ne kaha.
- Oh to yeh baat hain- Danial zidi bachu ki tarah waha hi betha rha.
- Emaan Danial- Dadi ne phirse awaaz di.
- Danial plz utho na- Emaan ne masuum sa chehra bnaya.
- Eek shart hain- Danial ne kaha.
- J manzzor hain- Emaan ne shart suni bhi na.
- Thank you - Danial bed phe leeth gya.
Emaan ne jaldi se niche se bistar uthaya or darwaza khola.
- Itni deer kyu lagha di?- Dadi ne poocha.
- Wo Dadi main soo rhi thi - Emaan ne kaha.
- Yeh kya pehna hain?- Dadi ne use Danial ke trouser main dekha.
- Wo.....w....- Emaan ko samaj na ai ke wo kya bole.
- Dadi aap?- Danial bhi bed se uth kar Darwaze tak chala gya.
- Danial tum dono jaldi se nashte ke lie a jao- Dadi ne kaha.
- J hum abhi athe hain- Emaan ne kaha.
- Acha Jaldi ana, main chalti hu- Dadi chali ghai.
Emaan ne room ka daarwaza band kar dia.
- Danial tum kitne ache ho- Emaan ne Danial ko towel lethe washroom ki taraf jathe dekha, wo pehle washroom main jaana chahti thi is lie Danial ko makan lagha rhi thi.
- Jaan thora butter bcha ke rakho breakfast main kaam ae gha- Danial ko uske irade patah the, wo muskura kar washroom main chala gya.
Emaan bethi washroom farigh hone ka intezaar karne laghi.
Washroom ke darwaze khulne ki awaaz phe Emaan jaldi se uth ghai.
- Jaan mera kapre pakhrana wo main bed phe hi bool aya hu- Danial ne kaha.
- Pehli baat yeh ke mujhe Jaan na bulao or dusri baat yeh ke main tumari nokar nhi hu apna kaam khud karo- Emaan ne ghuse se kaha.
- To theek hain main towel ke sath bahir a jata hu Jaan- Danial ne kaha.
- Nhi rukho main pakrati hu- Emaan ne use kapre bakhrae to Danial ne uska hath pakhar lia.
- Danial choro mera hath - Emaan ne apna hath churane ki koshish ki.
- Are yaar tum kab se nahane ke lie bethi hui ho ao na dono nahate hain- Danial ne shararat se kaha.
- Shut up , or mera hath choro- Emaan ne kaha.
- Kya huwa nhana nhi?- Danial ne mazaak se poocha.
- Nhi filhaal to mood change ho gya hain- Emaan ne apni jaan churane ke lie joot bola.
- Acha to hame company de do- Danial ne kaha.
- Aap mera hath chore - Emaan ne kaha.
Wo apna hath chura rhi thi, Emaan ko darwaza lock karne ka yaad hi na rha.
- Emaan - Ayesha or Shahraz sahib upar a rhe the.
- Oh no Baba or Ammi ne aghar mujhe in kapru main dekh lia............-Emaan ghbra ghai.
Room ka darwaza khulne se pehle Danial ne Emaan ko washroom main kinch lia.
- Emaan ?- Ayesha ne room ka darwaza khola or andar dahil ho ghai.
- Yahan to koi bhi nhi hain- Shahraz sahib ne kaha.
- Shayad washroom main hoghi- Ayesha ne kaha.
- Ha- Shahraz sahib ne kaha.
- Main dekhti hu- Ayesha washroom ke darwaze ki taraf ghai.
- Mom a rhi hain ab kya kare- Emaan ne ahista awaaz se Danial ko kaha.
- Dont worry Darwaza lock hain- Danial ne muskura kar kaha.
- Emaan ?- Ayesha ne awaaz di.
- Bolo na Emaan - Danial ne use kaha.
- Emaan betha tum yahan hi ho?- Ayesha ne phirse poocha or darwaza kholne ki koshish ki- Yeh lock hain- Ayesha ne kaha.
- J Ammi ? - Gabrahat ki wajah se uski awaaz hi nhi nikal rhi thi.
- Betha maine or tumare Baba ne tumse or Danial se kuch zroori baat karni hain- Ayesha ne kaha.
- J Ammi main abhi niche athi hu aap jaiye- Emaan ne kaha.
- Danial kidar hain?- Ayesha ne poocha.
- Danial? Wo to....- Emaan ke sharati dimaag main eek shararat ai.- Wo to subah subah hi kahi chala gya tha or keh rha tha ke shaam ko ae gha- Emaan ne Danial ko shararti ankhu se dekha.
- Acha , to tum jaldi se niche a jao hum wait karte hain- Ayesha ne kaha.
- J Ammi- Emaan ne kaha.
- Jaldi ana - Ayesha or Shahraz sahib room ka darwaza band kar ke niche chale ghae.
Emaan ne Danial se apna hath churaya or bahir a ghai, Danial bhi jaldi se change kar ke bahir a gya.
- Yeh tumne kya kiya ab main bahir kese jaungha- Danial ne kaha.
- So my Jaan ab aap pura din room main hi rho- Emaan ne hanste hue kaha or Washroom main chali ghai.
- Dekhlena, main bhi Danial hum , tum bahir to ao main tume nazar nhi aungha- Danial ne kaha or balcony main chala gya.
"- Yaar ab kya karu?, kese niche jau?- Danial sochne lagha. Wo kuch sochte sochte muskura parah."

Emaan washroom se bahir ai to Danial room main nhi tha.
- Yeh kaha gya?- Emaan use idar udar dekhne laghi.
Wo balcony main jane laghi ke kisi ne uske room ka darwaza khatktaya.
Emaan ne darwaza khola.
-Khala chalo aap ko sab niche bula rhe hain- Ayaan ne kaha.
- Ha chalo- Emaan room ka darwaza band kar ke uske sath chali ghai.

IshqWhere stories live. Discover now