Chapter 34

650 54 6
                                    

Aaj Danial ko enghland ghae hue eek week ho gya tha. Aaj Emaan Islamabad se wapis a rhi thi.
Dupehar ke time Ejaaz or Emaan ghar pohanch ghae. Ghar main bas Dadi Sarah or Sherry the.
- Salam Dadi - Emaan Dadi ke paas a kar beth ghai.
- Wsalam betha , kesi ho?- Dadi ne poocha.
- Main theek hu - Emaan ne muskura kar kaha.
- Or Ejaaz mian kese ho?- Dadi Ejaaz se poocha.
- Bas theek hu Dadi - Ejaaz ne jawab dia.
- Mashaallah , Sarah jao kitchen se Sakina ko kaho ke koi Chae Paani le kar ae - Dadi ne Sarah se kaha.
- J Dadi - Sarah uth ke jane laghi , Ejaaz ne use rook lia.
- Nhi , Sarah tum beth jao , main abhi chalta hu , mujhe zroori kaam haim.- Ejaaz ne kaha.
- Are betha , ese kese , tum ne kuch lia hi nhi- Dadi ne Ejaaz se kaha.
- Phir kabhi aungha abhi main chalta hu - Ejaaz uth ke karah ho gya.
- Acha betha jese aap ki marzi- Dadi ne kaha.
- Acha main chalta hu , khuda hafiz- Ejaaz jane lagha.
- Khuda hafiz - Sab ne kaha.
Ejaaz chala gya , Emaan or Sarah upar Emaan ke room main chali ghai.
- Sarah ?- Emaan ne Sara ko mutawaje kiya jo uski ki Novel books dekh rhi thi.
- J?- Sara ne poocha.
-Danial kab gya hain?- Emaan ne poocha.
- Bhai to Walime wale din raat ko hi chale ghae the - Sarah ne jawaab dia.
- Acha , us ne kuch kaha Ami se ya Chachii se- Emaan ne poocha , use lagha ke shayad Danial ne Zoyah ya Ayesha se unki Shadi ki baat ki ho.
- Mujhe nhi patah , ha Ami se keh rhe the...- Sarah ne Emaan ki baat bari hi dilchasbi se suni.
- Kya kaha Ammi se?- Emaan ne poocha.
- Wo keh rhe the ke aghle mahine phir se Pakistan aenghe.- Sarah ne btaya.
- Or kuch nhi kaha?- Emaan ne poocha.
- Nhi or to kuch nhi kaha- Sarah ko samajh nhi a rhi thi ke Emaan kya poochna chahti thi.
- Acha.- Emaan ne kaha.
- Kyu kya huwa?- Sarah ne poocha .
- Kuch nhi wese hi- Emaan ne muskurate hue kaha.
- Acha, tum sunao mazaa aya Islamabad main ?- Sarah ne poocha.
- Ha theek hi tha- Emaan ne kaha.
- Acha , kaha kaha ghumi?- Sarah ne poocha.
- Khi nhi purah week ghar main hi bethi rhi- Emaan ne jawab diya.
- Kyu?- Sarah ne poocha.
- Ejaaz Mammu or Ibraar bhai office chale jathe the, main or babhi ghar phar TV dekh lethe the ya phir baate kar lethi thi- Emaan ne btaya.
- Acha - Sarah ne kaha.
Wo donoo batoo main masruuf thi, Dadi ne niche se awaaz di un dono ko.
- Emaan Sarah ?- Dadi ne niche se awaaz di.
- J Dadi?- Un dono ne poocha.
- Main dekh kar athi hu - Sarah ne kaha or siriu ki taraf chali ghai.
- J Dadii? Kya huwa?- Sarah ne poocha.
- Niche a kar khana ka lo phir bathe karna - Dadi ne kaha.
- Acha Dadi hum athi hain- Sarah ne kaha. Or phir se Emaan ki taraf chali ghai.
- Emaan chalo niche chale- Sarah ne Emaan se kaha.
- Ha tum jao main fresh ho kar or kapre change kar ke athi hu- Emaan ne kaha.
- Acha theek hain, jaldi ana Dadi ghusa ho jaenghi- Sarah darwaza band kar ke niche chali ghai.
Emaan bathroom se hath muh do kar lambari ki taraf kapre lene ke lie barih. Lambari ka Darwaza khola to kuch niche ghir parah.
- Yeh Danial ka kurta?- Emaan heraan reh ghai Danial ka kurta dekh kar.
Usne kurta ki teh kol kar dekhi to usme eek kaghaz tha. Emaan ne araam se wo kaghaz khola .
" Hey jaan Kesi ho , mujhe patah hain ke tum theek hi honghi , khafi din se hmari baat nhi ho phai is lie maine yeh letter likha . Khafi dino mujhe esa lagh rha hain ke tum mujhe ignor kar rhi ho kya mene kuch kiya hain?, i am very sorry . Plz mujh se baat karo main janna chahta hu ke meri ghalti kya hain, maim tumme zroor phone karungha . Mera to dil hi nhi kar rha jane ko maghar kya karu majhburi hain , but dont worry main jaldi hi a jaungha tumare paas apni jaan ke paas . Maine abhi mom se baat nhi ki leekhin jaldi hi karungha , mujhse ab intezaar nhi hota or ha maine apna kurta is lie rakha hain ke jab bhi tume meri yaad ae usse dekh lena . I will misss you and i love you . Sorry maine tumse pooche bgher tumare room se tumari kuch pics li hain.
Bye . Love you "
Danial ka letter tha , use phar kar Emaan ki ankhu main ansu a ghae or wo kurte ko sine se lagha kar bht hi roi . Danial ko wo jitna bulana chahti thi wo use ziada yaad atha tha . Emaan roi hi ja rhi thi .
Shehri ne uske room ka darwaza khatktaya.
- Api , kya main andar a sakta hu?- Sherry ne poocha.
- Eek mint - Emaan ne jaldi se apne ansu saaf kie kurta or letter lambari main rakh kar darwaza khola.
- Sherry tum ?- Emaan ne poocha.
- Wo maine socha ke aap se baatte karta hu ja kar- Sherry ne muskura kar kaha.
- Hmm- Emaan ne bhi jootha muskuraya.
- Aap busy hain to main chala jatha hu?- Sherry ne kaha.
- Nhi , chalo niche ja kar baate karte hain- Emaan ne kaha.
- Theek hain chalye- Sherry ne muskurate hue kaha. Sherry ko muskurate dekh kar Emaan ko Danial ki yaad a ghai .
- Api , kya huwa?-Sherry ne Emaan se poocha jo kisi soch main masruuf thi.
- Kuch nhi , chalo niche chalte hain- Emaan ne kaha. Wo dono niche living room main chale ghae. Waha Sarah bethi TV dekh rhi thi wo dono bhi uske sath beth ghae .
- Emaan khana khalo na- Sarah ne Emaan se kaha.
- Mujhe abhi bokh nhi main baad main khalunghi- Emaan ne kaha.
- Acha jese tumari marzi - Sarah ne kaha.
- Appi Danial bhai ne mujhe eek baat btai hain- Sherry ki baat phe Emaan pareshan ho ghai use lagha ke Danial ne Sherry ko btaya ke usse pyaar karta hain.
- Konsi baat?- Emaan ne poocha.
- Bhai jab shuru main yahan ae the to aap dono ke bht hi jaghre hote the or wo aap ko thikki mirch kehte the - Sherry ne kaha, Emaan ne bht hi mushkil se apne ansoo rokhe.
- Ha or aap ne une mirchi wala praata bhi kilaya tha- Sarah ne btaya.
Wo dono Danial ki baate karte jha rhe the.
- Kya huwa Emaan?- Sarah ne Emaan ko mayuus dekha.
- Kuch nhi- Emaan ne jootha muskuraya.
- Or appi?-Sherry ne poocha.
- Kuch nhi, main aap dono ke lie chips or pakhore bna kar lathi hu - Emaan ne uth ke jane ke lie chips or pakhoro ka bhana bnaya.
Emaan uth ke kitchen main chali ghai.

IshqWhere stories live. Discover now