Chapter 49

592 54 8
                                    

- Emaan itni jaldi a ghai- Dua ne poocha.
- J wese hi- Emaan ne kaha.
- Tumari tabiyat theek hain na- Dua ne poocha.
- Ha main theek hu - Emaan ne kaha.
- Acha - Dua apne kaam main lagh ghai.
- Wese ghar wale sab kaha hain?- Emaan ne poocha.
- Wo Ammi or Dadi bahir ghae hain or Baba jaan office- Dua ne btaya.
- Acha , or Chachu Chachi?- Emaan ne Zoyah or Sufyaan sahib ke bare main poocha.
- Wo patah nhi kahi bahir ghae hain- Dua ne btaya.
- Hmm- Emaan soch rhi thi ke Dua ko Restaurant wali baat btae ya nhi.
- Achanak se sab ka kyu pooch rhi ho?- Dua ne poocha.
- Wese hi- Emaan ne kaha.
- Pakha na- Dua ne phir Se poocha.
- Ha- Emaan ne kaha.
- Acha main yeh sabzi kitchen main rakh au- Dua kitchen main jane laghi.
- Dua - Emaan ne awaaz di or uske piiche chali ghai.
- Kya baat hain?- Dua ne poocha.
- Wo maine Danial ko aaj dekha tha restaurant main- Emaan ne btaya.
- Danial ko?- Dua ne poocha.
- Ha - Emaan ne kaha.
- Wo wapis nhi gya?- Dua ne poocha.
- Nhi, wo waiter ka kaam kar rha hain eek restaurant main- Emaan ne btaya.
- Waiter ka! - Dua sun kar heraan reh ghai.
- Ha - Emaan ne kaha.
Wo dono kitchen main baate kar rhi thi, itne main bahir Sufyaan sahib or baki sab ghar wale bhi a ghae. Emaan or Dua paani le kar bahir chali ghai.
- Bhai jaan aap mera yakeen kare Zulain bht hi acha larka hain- Sufyaan sahib ne kaha.
Emaan or Dua ko unki baato ki samaj na ai, Dua ne Ayesha se poocha.
- Ammi yeh kis ki baat kar rhe hain?- Dua ne poocha.
- Tumare Chaachu eek rishta le kar ae hain Emaan ke lie- Ayesha ne btaya.
Dua ne Emaan ko sari baat btai, Emaan yeh baat sun kar kamosh rhi.
- Sufyaan pehle Emaan se pooch lethe hain- Shahraz sahib ne Emaan ki taraf ishara kiya.
- J - Sufyaan sahib ne kaha.
- Emaan betha eek ristha aya hain tumare lie- Shahraz sahib ne kaha.
- Ha betha, larke ka naam Zulain hain usne Bussines study ki hain or yahan Pakistan main hi hota hain- Sufyaan sahib ne btaya, wo yeh ristha le kar ae the kyu ke apne bethe Danial ki ghalti sudarna chahte the or Emaan ko or sab ghar walu ko paresha nhi dekh sakte the.
- Emaan tumara kya fesla hain?- Shahraz sahib ne poocha.
- Baba jaan main yeh shadi nhi kar sakti- Emaan ne kaha.
- Leekhin kyu betha?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Main Danial se shadi karna chahti hu- Emaan ko patah tha ke Danial uski shadi kisi or se nhi hone degha , is lie Emaan ne pehle hi Shadi se manah kar dia or Danial se shadi ka kaha.
- Danial se !- Sab sun kar heraan reh ghae.
- Leekhin betha tumne pehle to manah kardiaa tha or ab..- Sufyaan sahib ne poocha.
- Pehle main usse shadi nhi karna chahti thi - Emaan ne kaha.
- Betha tum kisi dabao main a kar to nhi keh rhi- Shahraz sahib ne poocha.
- Nhi Baba - Emaan ne kaha.
- To phir theek hain, hum khal tum dono ka nikah kar denghe- Shahraz sahib ne kaha.
Emaan apne room main chali ghai.
- Danial ka patah karwae na?- Zoyah apne bethe se milne ke lie betaab thi.
- Kaha se uska patah laghwau- Sufyaan sahib ne ghuse se poocha.
- Aap Bilal se pooche- Zoyah ne kaha.
- Acha- Sufyaan sahib ne Bilal ko phone laghaya.
- Spekar on kare- Zoyah ne kaha.

" - Salam Bilal- Sufyasn sahib ne kaha.
- Wsalam Uncle- Bilal ne kaha.
- Kese ho?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Main theek hu, aap ne heryat se phone kiya?- Bilal ne poocha.
- Wo betha hum ne Danial ka poochna tha, wo Pakistan hi hain ya phir kahi chala gya hain- Sufyaan sahib ne poocha.
- Uncle Danial Choudry eek bare Bussinesman ka betha aaj kal eek restaurant main waiter ka kaam kar rha hain- Bilal ki baat phe Sab heraan reh ghae or Zoyah ki ankhu main ansu a ghae.
- Kaha?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Pakistan hi , koi CHAND RESTAUTANT hain- Bilal ne btaya.
- Thank you betha- Sufyaan sahib ne kaha.
- Or uska mobile number main apko send kar detha hu- Bilal ne kaha .
- Ok bye- Sufyaan sahib ne phone band kar dia."

IshqWhere stories live. Discover now