Chapter 55

699 59 5
                                    

Subah ke waqt Danial or Emaan ki flight land hui.
Wo dono spain ke eek shehar Barcelona me rukhne wale the. Waha Roomil ke rishtedaar bhi rehte the, leekhin yeh dono eek hotel main rukhe the.
Airpot se wo sidhe Hotel chale ghae.
Danial Emaan ko bgheer btae bahir  chala gya or Emaan room main hi thi.
Shaam ko Danial room main aya to Emaan washroom main thi.
- Kaha ho?- Danial ne poocha.
- J?- Emaan washroom se nikhal kar laptop le kar beth ghai.
- Khana kha lia?- Danial ne poocha.
Emaan khamosh rhi.
- Maine poocha khana kha lia?- Danial uske paas  a kar beth gya.
- Aap se matlab - Emaan ne nazar lehje se kaha.
- Chalo kisi restaurant phe chalte hain- Danial ne Emaan ka hath pakhra or use uthaya.
- Mujhe nhi jana- Emaan ne apna haath churaya.
- Yaar , kya huwa ?- Danial uske paas beth gya.
- Kuch nhi-Emaan ne nazre churate hue kaha.
- Ok yaar sorry- Danial ne kaha.
- Tum mujhe akhele yahan choor ke chale ghae.....or ab sorry keh rhe ho- Emaan usse hafaa thi.
- Wo mere kuch friends rehte hain yahan une milne gya tha- Danial ne kaha.
- Tum btaa ke bhi to ja sakte the, main subah se tumara intazaar kar rhi hu- Emaan ne kaha.
- Ok Sorry sorry- Danial ne khaan pakhar lie.
- Theek hain leekhin promise karo ainda se btaa ke jao ghe- Emaan ne kaha.
- J madam promise- Danial ne muskura kar kaha.
- Very good- Emaan bhi muskurai.
- Chalo ab mujhe book laghi hain- Danial ne kaha.
- J - Emaan ne kaha.

Emaan or Danial hotel ke hi eek restaurant phe chale ghae.
- Yes madame  and sir?- Waiter ne poocha.
- So Emaan kya kao ghi?- Danial ne poocha.
- Hmmm - Emaan menu dekhne laghi.
- Rice manghwalu?-Danial ne poocha.
- J theek hain- Emaan ne kaha.
- Ok, 2 plates of rice and water - Danial ne order dia.
- Ok sir- Waiter chala gya.

- Emaan mene eek car rent phe li hain, kal phir chalenghe Roomil ke rishtedaru ki taraf- Danial ne kaha.
- J - Emaan ne kaha.
- Parsu phir main tume kuch friends se milwaungha or barcelona dekhenghe- Danial ne kaha.
- Wese Spain ka capital konsa hain?- Emaan ne poocha.
- Madrid - Danial ne btaya.
- Acha - Emaan kuch sochne lagh parih.
- Kyu?- Danial ne poocha.
- Meri eek friend yahan rehti hain, kya hum use milne ja sakte hain?- Emaan ne poocha.
- Ha zroor- Danial ne kaha.
- Thank you - Emaan kush ho ghai.
- Yeh khana bhi a gya- Danial ne waiter ko athe dekha.
Dinner ke baad wo dono waha hi bethe hue the.
- Daniall!- Eek larkii ne use hug kiya.
- Sanna- Danial use dekh kar heraan reh gya.
- Kese ho yaar?- Sanna ne poocha.
- Good , or tum?- Danial apni friend ko dekh kar Emaan ko bool gya.
- Good , ye?- Sanna ne Emaan ko dekha.
- My Wife Emaan- Danial ne btaya.
- Wife?, tumne shadi karli - Sanna ne heraani se poocha.
- Tume nhi patah, i mean Bilal Sarah kisi ne  nhi  Btaya- Danial ne poocha.
- Wo Main kuch mahino se out of town thi na is lie- Sanna ne btaya.
- Ohh acha , wese akheli ai ho?- Danial ne poocha.
- Are bethne doghe ya ese hi sab poochlo ghe- Sanna ne mazaak se kaha.
- Oh sorry , plz betho- Danial ne kaha.
- Danial main room main ja rhi hu- Emaan uth kar jane laghi.
- Sorry aghar maine tum dono ko disturb kiya hain, main jati hu- Sanna ko lagha ke uski wajah se wo waha se jane laghi thi.
- Nhi wo main bht thak ghai hu is lie ja rhi hu- Emaan ne kaha.
- Ok to phir Danial ko main khi nhi jane dunghi- Sanna ne kaha.
- J - Emaan ne muskura kar jawab diya.
- Akheli chali jao ghi?- Danial ne poocha.
- J shukrya- Emaan ne Danial ko narazghi se dekha. Emaan samaj sakti thi ke wo apni friend ko khafi arsee baad mila tha, leekhin itni raat ko use Sanna ke sath nhi balke Emaan ke sath hona chahye.
Emaan ko Danial or Sanna ka sath main bethna acha na lagha, ye jante hue ke Sanna khabi Danial se muhabbat kiya karti thi or sayad karti ho.
Emaan room main chali ghai jabke Danial Sanna ke saath kafhi deer tak baate kartha  rha.
Leeth raat Danial room main gya  to Emaan so chuki thi, use patah tha ke zroor wo usse naraz hoghi, leekhin wo buri tarah pas gya tha Emaan or Sanna ke beech.
Danial Emaan ko bgheer uthae Sofa phe hi so gya.
    
    
                         ***********

- Room service Sir- Kisi ne room ka darwaza khatktaya.
Danial ki ankh khuli to Emaan ko room main na paya.
- Emaan kaha chali ghai?- Danial ne use pure room main dhundha.
- Sir?- Phirse kisi ne darwaza kathktaya.
Danial ne darwaza khola.
- Yes?- Danial ne poocha.
- Sir breakfast- Room service wale larke ne nashta table phar rakha or jane lagha.
- Wait- Danial ne use awaaz di.
- Yes?- Usne poocha.
- Have you see my wife?- Danial ne use Emaan ki photo dikhai.
- No sir- Usne kaha.
- Are you sure?- Danial ne poocha.
- Wait, i think she was with another lady outside the hotel- Us larke ne btaya.
- Ok thank you- Danial ne kaha.
- You are wellcome sir- Room service wala larka chala gya.

Danial ne jaldi se shower li or change kar ke Emaan ko dhondhne chala gya.
Hotel ke bilkul hi samne eek shopping mall tha, Danial waha dekhne gya.
Usne waha Emaan or Sanna ko eek coffee shop main dekha.
- Hi- Danial unke saath beth gya.
- Kaha the tum?- Sanna ne poocha.
- Khi nhi yahan hi tha room main- Danial ne Emaan ko dekha jo kamosh bethi hui thi.
- Acha - Sanna ne kaha.
- Kya ho rha hain?- Danial ne poocha.
- Baate- Sanna ne kaha.
- Tum dono kya baate kar rhi thi?- Danial ne poocha.
- Hum kyu btaae , larkiu ki baate hain, hena Emaan?- Sanna ne mazaak se kaha.
- Ha- Emaaan ne Fake smile ki.
- Ok ok koi baat nhi na btao- Danial ne kaha.
- Main mazaak kar rhi thi yaar , main Emaan ko  hmari friendship ke bare main btaa rhi thi- Sanna ne kaha.
- Acha- Danial ne Emaan ki taraf dekha, leekhin wo nazre jukae bethi thi.
- Danial i need  a favour- Sanna ne kaha.
- Ha btao- Danial ne poocha.
- Kya tum mere saath eek meeting phe ja sakte ho? - Sanna ne poocha.
- Ha leekhin.......- Danial ko samaj na ai ke wo kya kahe.
- Thank you, Emaan hum tume shaam ko milte hain- Sanna ne kaha.
- Ok - Emaan ne kaha.
- Abhi jana hain?- Danial ne poocha.
- Ha , chalo ab- Sanna ne uska bazu pakhra or use apne sath le ghai.

Emaan Ko bura nhi lagha  tha ke Danial uske sath gya tha, leekhin wo naraz thi is lie ke Danial ne use promise kiya tha bahir jane ka or ab wo Sanna ke sath chala gya tha.

Emaan coffee ke baad shopping karne chali ghai or baad main pura din room main bethi rhi.

                   ***********

Shaam ko Danial room mainm aya to usne Emaan ko novel pharte dekha. Danial Sofa phe beth gya or tv on kar lia.
- Kya ho rha hain?- Danial ne poocha.
Emaan ne use jawaab dena zroori na samja or kamosh rhi.
- Bahir chale?- Danial ne poocha.
Emaan ne jawaab na dia.
- Shopping phe ghai thi?- Danial ne poocha.
Emaan ki taraf se koi jawaab na ayaa.
Danial uth kar uske paas beth gya.
- Kya huwa?- Danial ne poocha.
- Kuch nhi- Emaan ne kaha.
- Chalo beach phe chale- Danial ne uska haath pakhar kar use uthana chaha.
- Mujhe nhi jana, Sanna ko le jao- Emaan ne kaha.
- Are yaar ye Sanna kaha se aghai hum dono ke beech?- Danial ne poocha.
- Wo hi to hain hmare beech - Emaan ne kaha.
- Ok yaar sorry, ab esa nhi hogha- Danial ne kaha
- Kis kis baat ki sorry ?- Emaan ne poocha.
- Acha theek hain hum kal chalenghe beach phar- Danial ne kaha.
- Mujhe khi nhi jana- Emaan ne kaha.
- Kal tumari friend ke haa bhi chalenghe- Abhi to Danial ka eek hi mission tha Emaan ko mnana.
- Danial tumne promise kiya hi kyu tha aghar pura nhi kar sakte the- Emaan ne kaha.
- Konsa promise?- Danial ne poocha.
- Meri friend ke ghar hum aaj jane wale the, tume patah hain usne kitni tyarya ki thi- Emaan ne use uska promise yaad dilaya.
- Oh sorry, main unse maafi maanghlu gha, kal chalenghe pakha wala promise- Danial ne kaha.
- Is ki koi zroorat nhi wo khud a rhe hain yahan- Emaan ne btaya.
- Oh nice, kis time?- Danial ne poocha.
- Dont worry aghar tume Sanna ke sath khi jana hain to chale jana wo tumara nhi puche ghi- Emaan ne kaha or waha se jane laghi.
Danial ne uska bazuu pakhra or use apni taraf kincha.
- Sanna kal se hmare beech nhi ae ghi, wo wapis ja rhi hain, so kal se main tum or hmari ashiqui- Danial ne kaha.
-  Mera bazuu choro- Emaan ne kaha.
- Wese tum jelous kyu ho rhi ho Sanna se, acha nhi laghta tume mera kisi or  ke sath hona?- Danial ne poocha.
- Choro mujhe-Emaan ne mushkil se khud ko churaya or washroom main chali ghai.

" Tum kitna bhi andeka karo Emaan muhabbat to tume bhi hain " Danial barbraya.


IshqWhere stories live. Discover now