Chapter 48

618 52 2
                                    

Aaj Emaan ko ghar ae hue ko 2 weeks ho ghae the, Zoyah or Sufyaan sahib bhi abhi tak idar hi the. Dua bhi kuch dino ke lie a ghai.
Emaan room main akheli bethi hui thi, Dua uske paas a kar beth ghai.
- Kesi ho Emaan ?- Dua ne poocha.
- Dua, tum kab ai?- Emaan ne poocha jise uske ane ka patah bhi na chala.
- Abhi hi ai hu- Dua ne kaha.
- Acha , or ghar main sab kese hain?- Emaan ne poocha.
- Sab theek hain, tumara bukaar uthra?-Dua ne poocha.
- Ha ab theek hain- Emaan ne kaha.
- Emaan ,Danial phe mujhe esi umeed nhi thi- Dua ne kaha.
- Or mujhe Ejaaz phe ?- Emaan ki ankhu main ansu a ghae.
- Is main Ejaaz ki kya ghalti?- Dua ne poocha.
- Wo ese mujhe choor ke chala gya, ab Baba kitne pareshan hain- Emaan ne kaha.
- Or muhale wale bhi tarah tarah ki baate kar rhe hain- Dua ne kaha.
- Maine fesla kar lia hain , main Danial se shadi karunghi or use saaza dunghi- Emaan ne kaha.
- Leekhin Emaan....- Dua ne kuch kehna chaha.
- Nhi Dua , mera fesla pakha hain, main Baba or chachu se baat karunghi- Emaan ne kaha .
- Acha , plz kuch din rukh jao ghar main sab bht pareshan hain- Dua ne kaha.
- Acha- Emaan ne kaha or niche chali ghai.

                        *********

Danial Bilal se phone phe baat kar rha tha.

"- Yaar i am very sorry , main nhi a sakha Pakistan - Bilal ne kaha.
- Its okey, koi baat nhi- Danial ne kaha.
- Tume to patah hain tumari Malaika ka delivery time ane wala hain- Bilal ne btaya.
- Its okey yaar, tum Malaika ka khyaal rakho- Danial ne kaha.
- Aunty ya Uncle ka phone nhi aya?- Bilal ne poocha.
- Nhi Abhi tak to nhi aya , i hope wo mujhe maaf karde- Danial ne kaha.
- Ha sab theek ho jae gha , dont worry- Bilal ne kaha.
- Ha- Danial dukhi ho gya.
- Wapis nhi ana?- Bilal ne poocha.
- Nhi main ab kuch mahine idar hi rhungha or Emaan ka intezar karungha- Danial ne kaha.
- Leekhin yaar tumare paas paise bhi nhi...or tum rho ghe kaha- Bilal ne poocha.
- Dont worry maine yahan rent phe room lia hain or kaam bhi mil gya hain- Danial ne kaha.
- Kaam! Wao nice, kya kaam mila hain?- Bilal ne poocha.
- Eek restaurant main waiter ka- Danial ki baat phe Bilal chook gya.
- Waiter! Tum pagal ho ghae ho tum eek bareh bussines man ke bethe ho or tum ne khud bhi to bussines study ki hain- Bilal ne kaha.
- Are yaar koi baat nhi, meri deegre complete nhi hui thi, mere kuch exams rehte the- Danial ne kaha.
- Is ISHQ ne tume kahi ka nhi chora, mere bareh kaam ke yaar ko nakama bna dia- Bilal ne kaha.
- Yeh ISHQ kambaqt cheez hi esi hain, tu meri fikar na kar- Danial ne kaha.
- Tu bhi na us Emaan ke piche phar gya hain, yahan a jao or Sanna se shadi karlo phir sab theek ho jaengha- Bilal ne kaha.
- Emaan ke ilawa main kisi se shadi nhi karungha - Danial ne kaha.
- Acha yaar, jesi teri marzi- Bilal ne kaha.
- Tum meri fikar na karna- Danial ne kaha.
- J okey ab main phone rakhta hu- Bilal ne kaha.
- Ok allah hafiz- Danial ne phone band kar dia."

                       *********

- Emaan kaha ho?- Dadi ne Emaan ko awaaz di.
- J Dadi- Emaan upar se ai.
- Dekho kon aya- Dadi ne uski friends ki taraf ishara kiya.
- Alina , Nisha, Hayaa tum logh- Emaan une dekh kar kush ho ghai.
- Suprise- Alina ne kaha.
- kesi ho?- Emaan unse milne laghi.
- Hum theek hain- Un 3no ne kaha.
- Emaan ine upar room main le jao main nashta bijhwati hu- Dadi ne kaha.
- Nhi Dadi, hum Emaan ko lene ai hain- Alina ne kaha.
- Kaha ja rhi ho?- Dadi ne poocha.
- Ha, kaha?- Emaan ne bhi poocha.
- Aaj Hayaa ka birthday hain is lie hum bahir lunch phe ja rhi hain- Alina ne kaha.
- Oh Sorry Hayaa mere to dimagh se hi nikhal gya tha, happy birthday- Emaan ko yaad na rehne phar sharmindki hui.
- Ese nhi chale gha tume hmare sath ana hogha- Hayaa ne kaha.
- Wo yaar....- Emaan ki baat Alina ne khat li.
- Dadi plz Emaan ko le jae- Alina ne poocha.
- Leekhin betha ..- Dadi ne kuch kehna chaha.
- Plz plz plz- Un 3no ne insist kiya.
- Theek hain- Dadi ne ijazat de di.
- Thank you- Wo 3no kush ho ghai.
- Leekhin....- Emaan ka mood nhi tha bahir jane ka.
- Chalo madam- Wo 3no Emaan ko zabardasti le ghai.

Eek ache se resraurant ke samne uno ne ghari rook di or andar chali ghai.
- Ao is table phe- Alina ne kaha, wo sab waha beth ghai.
- Acha restaurant hain- Nisha ne kaha.
- Ha- Alina ne kaha.
- Emaan tume kesa lagha?- Hayaa ne use kamosh dekh kar poocha.
- Acha hain- Emaan ne muskura kar kaha.
- Ab restaurant ki tareef se peeth baro ghi ya kuch order bhi karo ghi- Alina ne mazaak se kaha.
- Ha , kisi waiter ko bulao- Nisha ne kaha.
- Ha, waiter !- Alina ne awaaz di .
Thori deer main eek waiter unke table phe a gya.
- J madam kya khana pasand karenghi?- Waiter ne poocha.
- Danial!- Sab use dekh kar heraan reh ghai.
Danial apne kaam main itna busy tha ke usne pehle une na dekha.
- Order madam- Danial unke samne anjaan bna, wo koi baat kar ke Emaan ko pareshan nhi karna chahta tha.
- J teen plates rice or eek pasta with coke- Alina ne kaha.
- J - Danial order le kar chala gya.

- Alina tum ne order kyu dia, hum kisi dusre restaurant phe chali jathi- Nisha ne kaha.
- Wo mujhe samaj nhi a rha tha ke main kya bolu- Alina ne kaha.
- Leekhin...- Nisha ne kuch kehna chaha leekhin Emaan ne use rook lia.
- Koi baat nhi- Emaan ne kaha.
Itne main Danial Khana le kar a gya.
- Here your order- Danial ne kaha.
- Thank you, eek pani ka glass , Emaan coke nhi phiti- Alina ne kaha.
- I know , main pehle hi pani ka glass le kar aya hu-Danial ne muskura kar kaha or waha se chala gya.

Emaan tabyat ka bhana bna kar waha se driver ke sath jaldi hi chali ghai.

IshqOnde histórias criam vida. Descubra agora