Chapter 39

615 51 13
                                    

" In England"

Aaj Danial bht hi kush tha . Aaj wo kisi bhi haalat main Zoyah se baat kar ke rhe gha.
Wo jaldi se tyaaz ho kar niche chala gya. Niche Sarah beth kar nashta kar rhi thi.
- Good morning- Danial uske saath wali chair phe beth gya.
- Good morning bhai- Sarah ne kaha.
- Mom Dad kidar hain?- Danial ne poocha.
- Shopping phe- Sarah ne kaha.
- Acha , or Sherry?- Danial ne poocha.
- Wo apne friends ke saath hain lunch kar ke aegha- Sarah ne btaya.
- Or tum?- Danial ne poocha.
- Meri friend ki birthday hai main waha ja rhi hu- Sarah ne btaya.
-Ok to phir main Mom Dad ke saath bahir hi lunch karlungha- Danial ko lagha ke acha mokkah ho gha Zoyah se baat karne ka.
- Ha theek hain Mom se baat bhi karna , main ja rhi hu - Sarah ne kaha or main door ki taraf chali ghai.
- Bye take care- Danial ne kaha. Wo bhi nashta kar ke bahir chala gya.
Raaste main usne Zoyah ka patah janne ke lie use phone kiya.
- Hi Mom- Danial ne kaha.
- Hi betha , kaha ho? - Zoyah ne poocha.
- Ghari main- Danial ne kaha.
- Acha or Sarah Sherry kidar hai ?- Zoyah ne poocha.
- Friends ke saath outing phe-Danial ne jawab dia.
- Acha - Zoyah ne kaha.
- Dad aap ke saath hi hain?- Danial ne poocha.
- Mere saath hi the leekhin une kisi metting phe jana parah- Zoyah ne btaya. Danial ke lie yeh baat to or bhi kushi ki thi , Sufyaan sahib se wo dartha tha is lie unke samne uski himmat nhi hoti thi kuch kehne ki.
- To phir lunch akhate karenghe- Danial ne kaha.
- Ok jaldi se a jao , main road wale restaurant phe - Zoyah ki baat phe Danial kush ho gya.
- Done , ok bye- Danial ne phone band kar dia.
Thori deer baad wo restaurant phe pohanch gya , Zoyah waha pehle se hi mojuud thi.
- Mom- Danial uske samne wali chair phe beth gya.
- Aaj achanak mere saath lunch - Zoyah ne heraani se poocha.
- Ha , ese hi - Danial ne muskura kar kaha.
- Aaj tume koi friend nhi mila hongha- Zoyah ne mazaak se kaha.
- Sare friends ki shadi ho ghai hain- Danial ne kaha.
- Acha to tere lie bhi koi larki dekhu?- Zoyah ne hanste hue poocha.
- Nhi Maa, larki hai- Danial ahar kaar baat keh di.
- Kya?, kon?- Zoyah suprise reh ghai.
- Wo...w..- Danial kehne lagha ke Zoyah ne uski baat khaat di.
- Let me guees, i think Sanna- Zoyah ne kaha.
- Nhi- Danial ne kaha.
- To phir?- Zoyah ko samajh na ai, use lagha ke shayad Sanna ho.
- Emaan - Danial ne dharte dharte keh hi dia.
- What? , sachi-Zoyah sun kar heraan reh ghai.
- Ha - Danial ne kaha.
- Mujhe pasand hain, main aaj hi tumare Dad se baat karunghi- Zoyah ki baat phe wo bht hi kush ho gya.
- I love you Mom- Danial ne kushi ke mare pagal ho gya.
- Cool Danial, khana khao, phir ghar chalte hain- Zoyah ne kaha.
- J - Danial bht hi excited tha.

Lunch ke baad Danial or Zoyah shopping center Danial or Sherry ke lie kapre lene chale ghae.
Shaam ko ghar pohanche to Sarah Sherry or Sufyaan sahib ghar hi the.
- Mom , mere lie kya le kar ai hain?- Sheri ne poocha.
- Dekhlo - Zoyah ne use shopping bags pakhraye.
- Thanks- Sarah or Sherry kapre dekhne main masruuf ho ghae.
-Tumare Dad kaha hain?- Zoyah ne poocha.
- Dad upar hain , room main- Sarah ne btaya.
- Acha - Zoyah ne kaha. Or thori deer baad upar chali ghai .
Room main Sufyaan sahib bethe office ka kaam kar rhe the, Zoyah bhi unke sath beth ghai.
- Kya baat hain begum?- Sufyaan sahib ne poocha.
- Aap se baat karni thi- Zoyah ko samaj na aya ke baat kese shuru kare.
- J bolye na- Sufyaan sahib ne kaha.
- Danial ke bare main hai- zoyah ne btaya.
- Koi farmaish ki ho ghi usne- Sufyaan sahib ne muskura kar kaha.
- Ha , wo Emaan ko pasand karta hain or usse shadi karna chahta hain- Zoyah ne btaya.
- Kya?- Sufyaan sahib bhi sun kar heraan reh ghae.
- Ha- Zoyah ne kaha.
- Yeh to bht achi baat hain, main abhi bhai saab se baat karta hu- Sufyaan sahib bht hi kush hue yeh sun kar.
- Ha , une koi etraaz nhi ho gha- Zoyah ne muskura kar kaha.

                     ***********

" In Pakistan"

Ayesha bahir beth kar sabzi khaat rhi thi , Dua apne sasuraal chali ghai thi , Dadi or Emaan chat phar thi.
Andar phone ki ghanti bajhi to Ayesha jaldi se andar ghai.
- J, kon?- Ayesha ne poochah.
- Main Naseem ( Ejaaz mother and Ayesha bhabi) baat kar rhi hu- Naseem begum ne kaha.
- Kesi hain bhabi?- Ayesha ne poocha.
- Hum theek hain - Naseem begum ne kaha.
- itne din baad kese yaad kar lia aap ne ?- Ayesha ne poocha .
- Darasal kuch zroori baat karni thi- Naseem begum ne kaha.
- J kahye na - Ayesha ko samajh na aya.
- Emaan or Ejaaz ke rishtey ki baat karni - Naseem begum ne kaha.
- Mashallah hame to Ejaaz pasand hain- Ayesha is baat se kush ho ghai.
- Aap Emaan se or uske Abu se baat karle- Naseem ne kaha.
- J main unse baat karunghi- Ayesha ne kaha.
- Acha theek hain, khuda hafiz- Naseem begum ne kaha.
- Khuda hafiz- Ayesha ne phone band kar dia.

Emaan kis ke proposal ko acept kare ghi?

IshqWhere stories live. Discover now