Part 48

533 82 10
                                    

They were having breakfast in silence, but Shehnaaz was continuously indicating Sidharth to ask mom to talk to her. He instead of asking mom, was irritating her by raising eyebrow in anticipation of what.

After breakfast they went for their respective work and Shehnaaz dragged him to room.

"Tuj samaj nai ata kya, itna he bola na mom ko bol baat kare"

"Main kun bolun"

"Kunki main teri wajh se iss main fasi hun"

"Maine kya kiya"

"Tune bola tha na mom dad ko mat batana, aur ab dekh unko pata chal gaya"

"To main kya karun yaar aur mom ko tabi pata chala tha jab humne pahle baat ki thi par merko nai pata unhone pura sunna tha ya nai par unhone tere drame ka jarur sunna tha"

"To mom ne tab se kuch bola kun nai tha, ohh acha isliye wo mere se ache se baat nai kar rahi itne din se, par ab main kya karun yaar"

"Thora sa aur mana le wo mann jaygi waise bhi unko bhi to jaldi he pota ya poti dekhna hai"

"Sidharthhhhh" he ran out of the room and she dearly chased him

"Waise maine galat kya bola, tuj nai chahiye kya, ya tu dad ko nana nai dekhna chahti"

"Sidharth muhn band kar warna bahut pitai karungi samja na" both were still running and last he bumped with his mom

"Sorry sorry mom, maine dekha he nai aap aa rahe ho"

"Tuj dikhta kahan hai na meri baat sunai deti hai koi"

"Mom yaar"

But she left for her room.

"Sidharth"

"Hmm"

"Sorry"

"Tum kun Sorry bol rahi ho"

"Mom meri wajh se he tere se bhi gussa hai na"

"Wo gussa nai hai aur guarantee deta hun wo aaj maan jayngi"

"Hmm, tu ja office main chali mom ke pass"

"Ohh hello office kun muj shoot ke liye jana hai"

"Yaar please aaj ka din chala ja ek important client ke sath deal hai"

"Muj kya milega"

"Kya chahiye"

"Tu kya de sakti hai"

"Jo tu bol"

"Kiss"

"Pagal hai kya"

"Teri marzi" saying he smirked

"Theek hai but raat ko abi nai abi muj mom ke pass jana hai"

"Aur agar mere sath hushyari ki na to dekh lena mere se burra koi nai hoga"

"Main tere sath aise kun karungi"

"Kunki tere upar barosa nai kiya ja sakta"

"Huhh ab ja jaldi time ho raha hai"

He left for office and she went to his mother.

"Mom"

She went near her and sat beside her.

"Mom apko ek baat bataun meri mom bhi jab mere sath aise bahut jyada wala gussa hoti thi na main unke liye aise card banati thi" she said forwarding the card to her

"Apko pata wo bhi mere sath jyada der tak gussa nai kar pati thi jaise aap nai kar pate, Par na Dad bahut der tak gussa karte the aur same Sidharth bhi karta hai par muj pata apke gusse se bahut jyada affect ho raha hai, please maaf kardo na apni iss bewakoof beti ko aur promise firse aisa kabi nai karungi. Aur jaisa apne muj dekha hai main usmain bhi khudko badlne ki try karungi aur na jaise apko cute wali beti chahiye wo bhi ban jaungi par please baat karo na. Maine na apni mom ko ek baar khoya hai par ab apko nai kho sakti"

"Ye meri beti kahan chali gayi hai jo jalad thi wo abi ro rahi hai, wo to aise kabi nai roti thi usse to sabko bas rulana ata tha"

"Mom apka beta kafi hai na muj jalad bolne ke liye aap kun bol rahe ho"

"Kun na bolun main"

"Kunki main jalad nai hun na"

"Aww mera bacha, par abi aise rona band karo bache"

"Aap gussa nai ho abi"

"Gussa to main hun abi bhi kunki tune jo kiya wo to bahut galat tha na"

"Sorry"

"Ek baat bata"

"Pucho"

"Tuj ye dar kun hai, kya kabi maine tuj aise lagne diya ki muj tu pasand nai hai ya kya"

"Nai mom apne to muj bahut sara pyar kiya hai aur muj yakeen dilaya ki sab ek jaise nai hote hai"

"To fir wo sab kun kiya"

"Jab Sidharth ne massage kiya usmain usne ye bhi kaha apko bhi wo ladki pasand hai to batao main kaise bich main ati"

"Tu to apni cheej kisi ko nai deti na usse hasil karne ke liye kuch bhi karti hai"

"Par yahan main haar gayi mom, main jabardasti Sidharth ko apne sath nai rakhna chahti thi kunki main nai chahti jo sab maine dekha wo Sidharth ke sath ho"

"Bache jaruri nai hai na jo ek baar ho gaya hai wo firse ho"

"Par main kya karun dar lagta hai muj"

"Abi bhi lagta hai"

"Haan"

"To nikal do apne mann se ye dar koi tuj shodke nai jaa raha main to bilkul nai aur agar Sidharth ne socha na main usse chapal se pitungi samji"

She embraced her tightly and automatically few tears left her eyes. They were speaking after this by putting their hearts out in front of each other.

Other Side father and son duo came back and the view in front of them made was pleasant to watch for their eyes.

After having dinner, they were in living area.

"Dad"

"Haan"

"Sorry, maine apko bhi bahut tang kiya hai na"

"Main sorry ek he condition pe accept karunga"

"Kya"

Pyaar Ya ZiddTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang