Chapter 17: Pati Hai Mere

3.6K 430 33
                                    

After Naaz left from there, Sidharth said angrily, "Bas ki jiye Di. Main pehle bhi bol chuka hoon Tina sirf meri dost hai, iss se zyada kuch nahi. Aaj Preeti Di ki engagement hai, mujhe bohut saara kaam karna hai. Abhi aap please yeh saari baatein kar ke mera dimaag mat kharab ki jiye."

Saying that Sidharth left from there angrily and Kushal went after him to calm him down.

"Yeh ladka bhi nah! Maine aisa kya bol diya jo itna gussa ho gaya?" Uttered Neetu and looked at Tina. She noticed her sad face.

"Tu nah dil chhota mat kar. Woh abhi na keh raha hai lekin uski naa ko haan hone mein zyada waqt nahi lagega. Tu sirf koshis karti reh."

Tina gave a slight smile and said, "Aisa nahi hai. Hum sach mein sirf dost hai."

"Yeh na kisi aur se kehna. Mujhe paata hai tu uske liye kya feel karti hai. Aur ho sakta hai woh bhi same feel karta hai lekin bol nahi raha. But don't worry, ab main aa gayi hoon nah? Tum dono ka rishta pakka karwa ke uske baad hi yaaha se jaaungi." Said Neetu to which Tina smiled sadly but the truth was she had lost her hope.

On the other hand, Kushal was trying to calm Sidharth down.

"Calm down Bro. Tu Neetu Di ki baaton pe itna kyu chidh raha hai?" Said Kushal.

"Yaar tune dekha nahi Neetu Di kitni bakwaas rahi thi. Tina aur meri shaadi ki baat kar rahi thi jab ki humare bich aisa kuch nahi hai. Aur tujhe paata hai, Naaz uss waqt waha thi. She heard everything." Said Sidharth and started worrying about Naaz.

"So what? Agar usne sun bhi liya toh kya fark padhta hai?"

"Fark padhta hai yaar. Usse fark padhta hai. Humari shaadi kaise bhi hui ho, Naaz iss shaadi ko sach maanti hai. Usse of course yeh sab sun ke bura lagega."

"Naaz iss shaadi ko sach maanti hai, aur tu? Tu nahi maanta iss shaadi ko sach?" Asked Kushal making Sidharth frowned.

"What are you saying Bro? Tujhe paata hai maine yeh shaadi kyu ki hai." Said Sidharth.

"I know. Naaz ko bachane ke liye. Lekin woh pehle ki baat hai. Ab tu iss shaadi ko maan ta hai. And you have accepted Naaz as your wife."

But Sidharth denied.

"Pagal hogaya hai tu? Naaz tab bhi meri responsibility thi aur ab bhi hai. Fark sirf itna hai ki ab mujhe uss se ek attachment si hogayi hai which is fine. Lekin iska matlab yeh nahi hai ki main iss shaadi ko maanta hoon. Yeh bas ek tarika tha Naaz ko bachane ka. Aur Naaz abhi bacchi hai isliye woh iss shaadi ko asli maan rahi hai lekin jab woh badi hogi, sab kuch apne aap hi samajh jaayegi."

Kushal nodded his head in disbelief and said, "You are not understanding it Sidharth. Accha chal maan li teri baat. Lekin ek baat baata, tu Naaz ki bhalai ke liye usse yaaha le aaya hai nah? Agar kaal ko tujhe aisa laga ki Naaz ki bhalai yaaha rehne mein nahi hai toh kya tu usse khud se dur kar dega?"

Sidharth took off his eyes and couldn't say anything.

"Kya hua? Agar tu iss shaadi ko nahi maan ta, agar Naaz tere liye sirf ek responsibility hai, toh tujhe iska jawab paata hona chahiye."

Sidharth sighed and said, "Agar kabhi aisa hua toh.... Main woh hi karunga jis mein Naaz ki bhalai hai. Main usse.....khud se dur kar dunga..."

Sidharth was struggling a lot with his emotions while saying this.

"Really? Tu reh lega uske bina?" Asked Kushal raising his one eyebrow.

Again Sidharth had nothing to say.

"Maa.... Maa dhund rahi hongi sayad. Bohut kaam hai. I have to go." Said Sidharth and left from there.

"Jitna socha tha, yeh situation uss se zyada complicated hai." Said Kushal in his mind.

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now