Chapter 23: Parting Ways

3.7K 457 46
                                    

"Woh... Main puch raha tha ki... Tum mujhse..."

Suhaan was trying to tell. Suddenly Naaz saw Sidharth coming out of the school building.

"Suhaan tum please zaldi bolo. Mujhe abhi ghar jaana hoga." Said Naaz.

"Oo accha. Phir main tumhe kaal baataunga. You can go now." Said Suhaan.

"Kaal main school nahi aaungi. Main Delhi jaa rahi hoon kuch dino ke liye."

"Ohh! Accha tum wapas aao, main phir tumhe baataunga."

"Thik hai. Bye." Said Naaz smiling.

Suhaan also smiled and said, "Bye."

Naaz gave him a quick hug. Before he could hug her back, Naaz broke the hug and went to Suhana.

She hugged Suhana as well and bid her goodbye. Then she went to Sidharth and they both left from there.

Suhaan kept looking at Naaz with a smile on his face.

"Kya kaha Naaz ne?" Asked Suhana excitedly.

"Main puch nahi paaya." Replied Suhaan. "Woh Delhi se wapas aa jaaye, uske baad puchunga."

"Gadhe tujhe abhi puch lena chahiye tha. Ab bekaar mein wait karna padega."

"Arrey do yaa teen din mein wapas aa hi jaayegi. Utna toh wait kar hi sakta hoon."

"Waise accha hai jo humein time mil gaya. We can plan something to propose her." Said Suhana in a teasing way making Suhaan blush.

Next Day...

It was early in the morning. Sidharth and Naaz were leaving for Delhi by road.

Rita Maa was packing Naaz's bag.

"Maine saara saaman pack kar diya hai aur khana bhi. Raaste mein bhukh lage toh khaa lena, bahar ka khaane ki zaroorat nahi hai. Aur garam kapde bhi pack kar diye hai. Zyada thand lage toh pehen lena." Said Rita Maa.

"Maa, hum toh kuch hi dino ke liye bahar jaa rahe hai. Aap mera saara saaman kyu pack kar rahi ho?" Asked Naaz being confused.

Rita Maa didn't reply and continued doing her work.

Suddenly she remembered something and went to the kitchen. Then she came back with a container of pickle. She started packing it as well.

"Ab yeh achaar kyu?" Asked Naaz.

"Tujhe toh pasand hai nah mere haath ka achaar?"

"Haan lekin yeh pack karne ki kya zaroorat hai? Yeh toh main wapas akar bhi khaa sakti hoon." She said innocently.

Rita Maa controlled her emotions and said, "Zaroorat hai yaa nahi woh main samjhungi. Tu zyada bak bak mat kar."

Naaz became quiet.

After sometime Sidharth came out of his room getting ready.

"Saara saaman pack ho gaya?" Asked Sidharth.

Rita Maa nodded in yes.

"Humein chalna chahiye."

Before leaving Naaz hugged Rita Maa. That was it. She broke into tears.

"Meri Bacchi. Delhi jaa ke apna khayal rakhna, haan?" She said in a crying voice while kissing her whole face. Sidharth looked at another direction to hide his tears.

Naaz couldn't understand why she was crying.

"Maa aap ro kyu rahe ho? Sidharth hai naa mera khayal rakhne ke liye? Waise bhi hum kuch hi dino mein wapas aa rahe hai. Abhi aap rona band karo."

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now