Chapter 37: Putting Efforts

3.1K 440 33
                                    

Neetu entered Pari and Krish's room and saw them sleeping.

"So gaye kya?" Asked Neetu to Naaz who was crying standing near the window.

Naaz immediately wiped her tears and said, "Haan. Abhi abhi soye hai."

"Aur tu? Tujhe neend nahi aa rahi?"

Naaz didn't reply and looked down.

Neetu put her hand on Naaz's shoulder and said, "Dekh Naaz, main sirf Sidharth ki nahi, teri bhi badi behen hoon. Agar koi pareshani hai toh tu mujhe baata sakti hai."

"Aisa kuch nahi...."

Before she could complete, Neetu said, "Mujhe paata hai tere aur Sidharth ke bich sab kuch thik nahi hai. Kya baat hai? Baata mujhe."

Naaz stayed silent for sometime. Then she asked, "Di aap ko kya lagta hai? Kya mujhe aur Sidharth ko abhi shaadi nahi kar leni chahiye? Isn't it important?"

"Mere hisaab se shaadi important toh hai, but not more than love. Society ke saamne apne pyaar ko ek acceptance dene ke liye hum shaadi karte hai. Ek shaadi mein pyaar hona zaroori hota hai. Lekin zaroori nahi hai har pyaar karne wale humesha shaadi kare. Kyu ki shaadi na hone se pyaar khatam nahi ho jaata."

Naaz started thinking.

"Aur dekha jaaye toh pyaar Sidharth tujhse bohut karta hai. Mujhe paata hai, hum sabko paata hai. Kya hua agar woh abhi shaadi nahi karna chahta toh? Usse thoda waqt de." Said Neetu further.

"Yeh hi toh mera sawal hai. Unhe kyu waqt chahiye Di? Kya woh mujhe le kar sure nahi hai?" Asked Naaz with fear in her eyes. Fear to lose her love.

Neetu laughed and said, "Buddhu! Sidharth toh bohut pehle se tujhe le kar sure hai. Humne kayi baar uss se pucha tha shaadi ke liye. Lekin usne maana kar diya teri wajah se. He was waiting for you. Aur abhi usse waqt apne liye nahi chahiye. If he wants, he can marry you now. Usse waqt tere liye chahiye. Sidharth ne aaj tak kabhi apne baare mein socha hai? Woh humesha woh hi karta jo tere liye best hai. Isliye uske decision ko kabhi doubt mat karna. Samjhi?"

Naaz smiled and nodded.

"Ab tum dono zaldi se apna jhagra khatam karo. Kyu ki tum jab ladte ho na, hum mein se kisi ko accha nahi lagta." Said Neetu.

"Don't worry. Main unhe maana lungi." Said Naaz confidently.

Neetu smiled and kissed her forehead.

"Good night!"

"Good night Di!"

Neetu left from there.

"Mujhe Sidharth ko maana na hi hoga. Chahe unko maana ne ke liye kuch bhi karna pade." Said Naaz in her mind.

She went to Sidharth's room who was sleeping in his bed. Naaz went near his bed and looked at his sleeping face. She brought her face closer to his face to have a close look.

"Yeh toh bohut gehri nind mein so rahe hai. Ab inhe maana ne ke liye inhe uthana toh padega. Uthau yaa nahi?" Said Naaz in her mind.

Suddenly Sidharth turned his face towards her. His eyes suddenly opened and he got scared seeing her from so close.

"KAUN?" He screamed making Naaz also scared.

"Arrey main hoon, Naaz." Said Naaz switching on the light.

Sidharth sat up and asked, "Tum itni raat ko mujhe dara kyu rahi ho?"

"Haaye main aap ko dara nahi rahi thi. Main toh aap se baat karne aayi thi." She explained very cutely.

Sidharth's face grew serious.

"Mujhe tumse koi baat nahi karni. Tum apne kamre mein jaao." He said sternly.

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now