Chapter 39: Maybe I Was Wrong

3.3K 496 51
                                    

"Aap log jaante nahi, inke jaise log film shooting ke naam pe dhanda karte hai. Kam umar ki ladkiyon ko lalach deke apne jaal mein fasate hai. Unse bade bade waade kar ke unka istemaal karte hai aur phir unhe chhor dete hai. Inki kismat acchi thi isliye bach gayi." Said the police inspector while lodging FIR.

Suhaan, Suhana and Naaz were standing there. The police arrested all the people who were involved in the shooting and they were now inside the lock-up.

Suhana was continuously crying and Naaz and Suhaan were consoling her.

After hearing the whole matter from the inspector, Naaz thanked God as they could reach there on time and save Suhana.

Then she said, "Mujhe toh dekh ke hi paata chal gaya tha woh jagah kuch thik nahi hai. Isliye jab humein uss receptionist ne wait karne ko kaha, maine aap ko inform kar diya."

"Sahi time pe apne hoshiyari dikhayi. Aur uss wajah se aaj Suhana Sharma jaisi kayi ladkiyon ki zindagi barbaad hone se bach gayi." Said the inspector praising Naaz's presence of mind to which she smiled.

Suhaan looked at Naaz with grateful eyes.

"Agar tum nahi hoti toh main apni behen ko kabhi bacha nahi paata. Aaj meri aankhon mein tumhare liye izzat aur pyaar dono badh gaya." Said Suhaan in his mind.

Suddenly two people entered there. They were Mr. and Mrs. Sharma, Suhaan and Suhana's parents. As soon as Suhana noticed them, she ran to them and hugged her mother.

"Mumma aap aa gayi?" She said while crying.

But her mother pushed her and slapped her hard.

Suhaan and Naaz immediately came to them.

"Mom aap ne yeh kya kiya?" Said Suhaan.

"Shut up! Bachpan se tu apni behen ko bachata aa raha hai, lekin aaj nahi. Aur aaj iski galtiyon ko hum nazar andaz bhi nahi karenge. Kya kami reh gayi thi humari parvarish main jo tu itne gande raaste pe chali gayi? Kaal ko agar yeh khabar bahar aa gayi toh society ke saamne kya izzat reh jayegi humari? Iss se accha toh tu mujhe aur apne Papa ko zeher de ke maar daalti. Kam se kam humein yeh din toh nahi dekhna padta." Said Mrs. Sharma angrily.

"Mom please! This is a police station. Don't create a scene here. Hum bahar chal ke baat karte hai." Said Suhaan feeling embarassed as people were watching them.

"Suhaan thik keh raha hai. Bahar chalo." Said Mr. Sharma to his wife.

Mrs. Sharma nodded.

They all went outside the police station.

"Aap logo ko ho kya gaya hai? Chutki humare paas wapas aayi hai sahi salamat. You should be happy. Aur aap log usse hi blame kar rahe hai?" Said Suhaan to his parents.

"Toh phir kise blame karu?" Asked Mr. Sharma. "Suhana iss problem mein khud ki wajah se phasee hai. Na iske sir pe acting ka bhoot sawar hota aur na woh yaha phasti. Hum logo ko uski chinta hai iss hi liye yeh sab bol rahe hai."

"Chhota muh badi baat ho jayegi, phir bhi keh rahi hoon." Said Naaz suddenly. "Aaj Suhana ke saath jo kuch bhi hua uska zimmedar Suhana akeli nahi hai. Kahi naa kahi aap dono bhi hai."

"Kya kaha tumne?" Asked Mrs Sharma angrily.

"I know yeh aap logo ka personal matter hai. But ek baar dhyan se sochiye. Agar aaj aap log Suhana ko apne Bhai ki tarah journalism study karne ke liye force na karte, uske choice ko thoda sa bhi priority dete toh yeh sab nahi hota. Agar aap log usse humare college ki jagah kisi proper acting college mein daal te toh aise ghatiya log kabhi uska fayda nahi utha paate. Main yeh nahi keh rahi Suhana ki koi galti nahi hai. Galti kiyi hai usne, bohut badi galti kiyi hai usne. She should have told you before taking such a big step. Lekin galti aap se bhi hui hai. Kyu ki aap ne apni Beti ko kabhi samjha hi nahi. Kabhi nahi socha ki woh kya chahti hai. Agar soch lete toh aaj yeh din nahi dekhna padhta."

Masoom Ishq (Completed)Where stories live. Discover now