Taake Rakha Din

100 18 4
                                    

A day kept on the Shelf...

Byom: Mimi aap keh kya rahi hai? Iss baat ka meri shadi se kya lena dena?

Nilu ki bimaari aur meri shadi do totally alag alag cheeze hai. Aap hi kuchh samjhaiye Baba Mimi ko please....

Mrinu: Tumhari hi nahi main Nilu ki bhi shadi karwane wali hun... Ladka mil gaya hai... bas baat karna baki hai. Tumhe Nilu ko operate karne ke liye bahar leke jana padega toh, usse pehle main chahti hu ke tum dono shadi karke hi jao... saath mein apne apne spouses ko bhi saath le jao.

Aise do jawan ladka aur ladki ko akele kaise bhej paungi beta? Log Nilu ka jeena haram kar denge uske wapas aane ke baad... Aap samjhaiye na ise Bukku ke Baba...

Biren : Mrinu theek keh rahi hai Bukku. Soch ke dekh. Kisi ek ki shadi bhi agar karwa ke bheja toh teesra insaan awkward ho jayega.

Bukku: Baba yaha itne ghor samasya ke beech mein shadi... meri toh kuchh samajh kaam nahi kar rahi. Nilu pehle hi theek nahi, upar se shadi ka daitva kaise utha payegi... aur use hum rok bhi nahi payenge apna farz nibhane se. Jante toh hai aap sab kitni swabhimani hai woh. Na kuchh bolegi, na hi koi kami hone degi kisi baat ki bas apna sab kuchh chup chap bhet chadha degi humari marzi pe.

Aur hai koun yeh ladka jis se shadi karwa rahi ho Maa aap Nilu ki?

Biren: Ajeeb baat hai ... tune apni honewali patni ke bare mein kuchh nahi puchha? Are Nilu ke liye ladka toh mil hi jayega, itni susheel, itni pyari bachchi ko patr ki kya kami? Woh toh jiske ghar jayegi use swarg jaisa kar degi...

Byom: Baba she has a serious medical condition aur upar se she needs not only physical rest but mental peace too... Mujhe toh hairani ho rahi hai aap dono ko yeh baat sujhi bhi kaise. Ek nayi naveli dulhan ko apne roop, swasth aur samanya man ki shanti sab ki zarurat hoti hai. Use apne pati, ghar aur sasural walo ke samne apna sabse uttam chavi banani hoti hai. Woh apne aap ko kisi bhi cheez mein kam payegi toh andar hi andar bohot dukhi hogi...

Mrinu: Par agar woh kabhi videsh se theek hoke wapis naa aa payi toh?

Bukku: MIMI!!

Mrinu: Gussa mat kar Shona... meri baat ko samajh, kya pata ek pyar karnewala achha pati paakar uske jeevan ke woh adhure sapne pure ho jaye jinhe kahaniyo mein dhundhti hai woh? Koi toh dard hai, koi toh adhurapan hai jo use ghere huye hai apne jaal mein nikalne hi nahi deta. Tumour tum logo ka andaza hai, kya pata yeh sirf aur sirf adhurepan ki wajah se ho. Apna Pati, aur apna ghar sansaar ek anaath ke liye kya maine rakhta hai yeh mujhse puchh Bukku mujhe pata hai... Mere paas toh phir bhi tere Baba the humesha, main kabhi akeli nahi padi puri tarah se... Nilu ke paas uska Dassyu Raja aur uski manghadant kahani ke alava koi bhi nahi tha.... Kabhi bhi nahi.

Uske man ki ek kamna toh puri honi hi chahiye Bukku... Iske baad jane kya ho na ho.

Byom: Par yeh ladka hai kon? Jiske upar aap itni sari umeede bandh rahi hai?

Mrinu looked at Biren and he answered ....

Biren: Tupak... 

Jonakir KhelagharWhere stories live. Discover now