Hutum Paicha

161 18 29
                                    

The Wise Owl...

Tupak _ Dritimaan Ganguly

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Tupak _ Dritimaan Ganguly

Tupak _ Dritimaan Ganguly

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Anondomoyi ...

In the following weeks they both kept to themselves and spent loads of time with the family...

One evening Biren and Dr. Naik were just taking tea when Nilu came with another tray of snacks and Mishti... she came and touched his feet

Dr. Naik: arey Nilu beta ab kaisa lag raha hai?

Nilu: Ekdum theek hu kaku... Raja Baba ki davai se sab theek hai...

Biren: Apne pati ka credit mujhe de rahi hai... hum sab do chaar din mein hi bas videsh ghumne jayenge tab ek bar phirse janch lenge isse waha pe.

Byom: Baba dekhiye kya kiya aapki ladli ne....

Birens eyes went round Byom was covered in turmeric powder... and then he burst out laughing...

Biren: Haa toh tu itna kala hai aur meri beti ekdum Putul ki tarah dikhti hai.. isliye haldi lagake tujhe thoda ....

Byom: MIMI! MIMIIIII! (Mrinu came to the hall from the kitchen looked at Byom and burst out in laughter, Tupak and Pupli everyone stood surrounding him with same expression.) 😂😂😂

Biren: Huya kya par Nilu maa??...

Byom: I just told her to change her saree it was ...

Mrinu: Jhoot tune uspe aur uski nayi saree pe sindoor laga diya tha subah subah, kyunki usne teri layi hui saree nahi peheni. Rote huye mere paas aayi thi... toh maine hi use kaha ke ghar mein abhi abhi haldi piswake aayi hai...

Byom: Mimi aap ne use haldi di... aap bhi iski team mein ho gayi Baba ki tarah. Main bata raha hu Mimi aisa bilkul nahi chalega... aap sab mil ke iss Bhutni ko sar pe chadha rahe ho.. haath se nikal jayegi tab pachtaoge...

Biren: Tune meri Nilu maa ko Bhutni kaha? Nilu woh sab Chingdi Maachh ki biriyani jo tune banaya isko mat dena.. isko aaj bas kachche kele ki sabzi daal aur bhat dena bas...

Byom: Aaj aap sabne iss ki side leke theek nahi kiya, dekho ab main kya karta hu...Tupaaak chal mere saath..

He stomped his feet and looked daggers at Nilu. She immediately hid behind Mrinu. He walked away but smiled the moment he turned.

In the evening....

Byom walked Nilu out and when she was about to rush towards the chicks he picked her up and then jumped in a large ditch which had coloured water, one by one he applied seven colours

Nilu: Achha aap ko itna sara rang mila kaha se? Yeh toh holi ka mausam bhi nahi

Byom: Main Bhawani Nagar ka Bada Rajkumar aur apni Nilu ka Chhota Raja tumhe lagta hai koi bhi kaam mere liye asambhav hai? Bewakoof ladki kaha tha na main Pati Parmeshwar hu phir meri baat talogi, batao ( and started to tickle her and he screamed Maa's name)

Mrinu, Biren, Tupak and Pupli all came out and Nilu rushed in her wet clothes to Mrinu.

Mrinu: (laughed but in a fake serious voice) Yeh sab kya ho raha hai?...

Nilu: Maa mujhe rangwale pani ke gaddhe mein dala aapke bete ne... ab datiye naa...

Mrinu: Aha, aisa kiya isne? Ab dekh kya karti hu main iske saath. Aaj se tu mere kamre mein rahegi theek hai... yeh sazaa sabse best hai..

Byom: Mimi, haa le jaiye iss bandariya ko... tedhe medhe kapde pehanti hai aur Bandariya ki tarah shakle banati hai...

Nilu: Hutum Paicha kahike... (is a species of owl with very big eyes and dreary face)

Byom: Dekha Mimi mujhe HUTUM PAICHA bol rahi hai aapke samne...

Mrinu: Nilu galat baat beta Pati ko Ullu bolta hai...

Biren: haa theek Ullu thodi bol sakte hai... toh kya hua mere bete ki shakal agar thodi se milti hai toh...

Byom: Achha samjha main, sab uski taraf hojate hai... toh yeh lijiye phir..

Byom applied colours to everyone and Nilu applied it to Mrinu and Biren's feet first and then her Maa...

Nilu: Maa aapko kounsa rang lagau, aap pe toh sab rang hi jachta hai... mamta ka, Ranimaa ka, Baba ki patni ka, Hum sabki Maa hone ka, aur apne Hutum paicha ki mimi hone ka... Samajh hi nahi aata kounsa rang kam jachta hai...

Mrinu: kissed her forehead... Tujhe jo rang pasand ho tu lagade, aur mujhse kya kya ashirwaad chahiye yeh bhi batade...

Nilu: Pata hai maa mujhe aapse kya ashirwaad chahiye? Ke aane wale har janam mein aap meri Maa baniyega...

Byom: Nope aisa kuchh nahi honewala, Maa ki booking maine bachpan mein hi kar li thi... aur tumhe mujhe ab saat janam ke liye pati bana liya hai toh Mimi meri hai, meri rahegi... Bhutni...

Nilu: Achha dekhenge, main Bhagwaanji se aapse bohot pehle milnewali hu... toh main pehle hi unse sifarish kar lungi...

Byom and Mrinu: NILU...

Mrinu: Teri itni himmat ke tu mere samne pehle jaane ki baat kar rahi hai... Tujhe kisne kaha yeh sab bakwaas...

Anondomoyi: (entering the backyard unnoticed) Maine kaha kakima, Nilu ko pura adhikar hai yeh janne ka ke woh marne wali hai kuch hi hafto ya bohot huya toh ek adh mahine mein kyunki use Brain tumour hai...

Tupak: Aaj mujhe bohot afsos hai ke tumhe maine kabhi apna dost bhi samjha. Tum Dadamuni ko paane ki aas mein itni andhi hogayi ke tumne meri bhabi ko yeh sab kaha. Tumhe pata hai na Anondo Dada kal bhi tumhe pasand nahi karte the woh aaj bhi tumhe bardasht nahi kar pate hai. Humari sharafat ka galat matlab nikala tumne... Aaj ke baad tum apne hone pe bohot pachtaogi Anondo... yeh mera vada hai tumse. Mere Parivaar ko chot pahuchake koi shanti se nahi reh sakta...

Byom: (came and side hugged Tupak) Tumne galat kiya Anondo... par meri Nilu ke alava na mere dil mein koi tha na koi rahega...

Haa par tumhari kuchh galatfehmi main dur karna chahta hu. Pyar agar sachcha ho toh usme Jaadu hota hai... Meri Nilu bilkul theek hai... aur hum jab USA se loutenge toh ek khushkhabri mein khud tumhe sunane aaunga... Yeh mera vada hai... Bhavani Nagar ke Bade Rajkumar, Tupak ke Dadamuni aur Nilu ke Chhote Raja ka Vada. Aur mere parivaar ke baad tum woh pehli ladki hogi jisse main yeh khabar sunaunga...

Just wait and watch... Haa ab tum jaa sakti ho... 

Jonakir KhelagharWhere stories live. Discover now