Prem ya Tyag

108 21 18
                                    

In the engagement party….

Mrinu : Dekho toh mere bachche kitne pyare lag rahe hai aur Bukku kitna khush hai… 

Anondomoyi and her family, heard it all fuming inside but with a fake smile on her face. 

In sometime Anondo came to meet with Nilu and then on the pretext of tidying up her hair, she took Nilu upstairs to her room.

And in few hours time….

Pupli: Dadamuni, Nilu toh kahi bhi nahi hai aur mujhe aapke desk pe yeh Khat aur ek box rakha tha…

Byom was trembling with fear, he didn't even extend his hand to take the letter… ultimately Tupak opened the letter and read it…

Priyo Chhote Raja,

Main bachpan se hi apni kahaniyo mein uljhi rahi, aur phir maa mili. Pehli baar parivaar dekha aur woh mera apna ho gaya. 

Aap sab mujhe mere pagalpan ke saath apnate rahe. Mujhe itna pyar diya ki main khud ko hi bhool gayi… Lekin kahaniyon mein uljhi, ek benaam ladki ko ghar ki bahu aur patni banana… uske badhte huye pagalpan ko apne pyar mein samet lena, yeh sirf mahaan insaan kar sakta hai. 

Main aapki zindagi mein khushi aur pyar lana chahti hu. Par mujhe pata laga ke meri wajah se aapko jhoot bolna pada ki aap mere Dassyu raja hai, or Ahmer bhi… Aapko meri kahani ke patro ke dhoke aur galatiyon ki maafi maangni padi. Aap itna kar sakte hai mere liye Chhote Raja yeh main sapne mein bhi nahi soch sakti thi….

Aur badle mein aapko kya mila? Pal pal aap meri chinta mein ghulte jaate hai. Pichle kai hafto se aapko theek se na khate dekha aur na sote dekha. Main aapke saath jeevan guzaru yeh mere sapno se bhi bada saubhagya hota, par aap jo iss rishte ke bojh tale Dabe chale jaa rahe hai… yeh mujhse bardasht nahi hoga. Maine aapke kamre mein woh sare dastavez, newspaper ke tukde aur kahani ki kitaabe dekhi jaha Jalalgarh ke Dassyu Raja ke bare mein likha tha…. 

Mujhe kshama kar dijiyega Chhote Raja…aapko yeh sab karna pada mujhe khush karne ke liye aapki khushi se badhkar mere liye kuchh bhi nahi… isliye apne andhero mein ghire astitva ko liye aapse dur ja rahi hu… 

Humesha aapki hi jo rahegi

Nilu.

Nilu was sitting in the second class coach for kashi. Sussie had died there… maybe she could too. And she remembered ... the conversation between Anondomoyi and herself…..

Anondo: Nilu mujhe laga yeh zaruri hai ke tum yeh sab jano aur kisi dhoke mein na raho… Main chahti toh chup reh sakti thi par yeh mere profession ke ethics ke khilaf hota Nilu. Plus tumhari aisi halat nahi hai ke tum shadishuda zindagi ki zimmedari puri kar sako. Aur Byom ne tumhe kya kaise explain kiya yeh sab mujhe nahi pata… par use tumhari halat ke baare mein pata hai…

Yeh sirf din b din aur kharab hota jaayega… dhire dhire tumhare sapne, tumhari kahaniyo ke beech ka fark khatam hota jayega. Aur agar kisi tarah se Byom ne tumhe yeh samjhaya hai ke woh sahi mein tumhari kahaniyo ka hissa hai toh usne sirf tumhe fabricated kahaniya sunai hai. Taki tumhe waqti araam mil sake. Woh ek bohot bada sacrifice kar raha hai… taki tumhe khushi de sake. Yeh pura parivaar hi aisa hai akhir Raaj gharana hai… Biren kaka ne bhi toh Kakima se shadi ki thi taki unhe bacha sake. Mahaan log aise hi hote hai par humara farz hai ke hum unse itna bhi sacrifice na le ke unki zindagi bhar ki khushi hi kho jaaye….

And Nilu thought ….sahi kaha Anondo di ne koi itna bhi jok ki tarah khoon chusta hai kya kisi ka… Aur mere Chhoto Raja yeh sab jaante huye mujhe apnane chale the. Abhagini ka bhagya hai mera, har janam mein unhe door se hi pyar karne ka haq mila yeh bhi kya kam bhagya hai… aise insaan ko jaan lena bhi param saubhagya hai mera….

Nilu closed her eyes and then when she fainted she had no idea…

People started to get worried and then they raised alarm that someone has died in the train to kashi…

Tupak and Byom reached the station to find people talking about a girl who might have died in the train to Kashi even before the train left. Byom screamed Nilu's name and reached to the place where she was lying on the bench on the platform… he couldn't see from afar whether she was dead or alive but when he reached close to her he could see she had just fainted, but this crowd this place everything was dreary. They scared the hell out of him…. he touched her face and sprinkled some water to wake her up. She did open her eyes and then Byom just held her in a hug. He didn't cry but he couldn't speak too. He just held her and then after sometime when she was a bit better… they took her home….

Byom had known who was behind all this but his priority was Nilu. She was still not totally well… and their Ashiwaad-Engagement was done.  But Anondomoyi will pay dearly for this incident….

Jonakir KhelagharWhere stories live. Discover now