Tum Ho Toh

105 20 5
                                    

Anondomoyi didn't like the way Byom cut her short. He had never shown any interest in any girl of their circle... Anando's parents had assured her they will get Byom for her, as her father was a good friend to Biren. In the last two three days Ganguly's have announced it to the kolkata city that Nileema Bose was the chosen one. As they plan to throw a party to announce it... In the end Anondo had thought it must have been some princess or really great family ... but a girl with no background and half mad that was beyond everything... she couldn't digest it....

That night Nilu saw the bloodbath of Jalalgarh again, and she screamed and cried in her sleep ... Tupak was holding his Dadamuni's hand and they were waiting for this. Byom looked at Tupak and then rushed to Nilu when Tupak squeezed his hand and then nodded....

Byom entered the room... He woke up Nilu....

Byom: Nilu, suno dekho meri taraf, Main ....main tumhara Dassyu Raja bol raha hu suno, Kya tum meri Durga ho? Bolo Nilu, kya tumhi meri Durga ho?

Nilu: (started crying) Haa, main hi aapki Durga hu.... Aap ko kisne kaha ke main ...Ke aap Dassyu Raja hai...

Byom (kissed her forehead looked at her for sometime, hesitated...) Kyunki mujhe sab yaad agaya Nilu, main hi Abul khan tha.... Maine hi Gohar-e-Nayab se Nikah kiya tha par... Par woh isliye nahi ke main aisho aaram ki zindagi bita saku. Woh isliye tha taki main apni Dassyu Sena ko azaad karwa saku... tumke Zeeshan yaad hai, 14 ya 15 saal ka Zeeshan woh mere saath pakda gaya tha. 

Gohar ne use bohot torture kiya, uske ek ek karke nakhun nikal diye aur phir, uski ankhe nikalwa diye. Uski cheekhe mujhe tahkhane ke karagar tak sunai padti rahi. Subah Gohar aayi aur kaha agar main usse shadi karlu toh woh meri baki sena ko chhod degi agar main uss se nikah kar lu. Zeeshan dard seh nahi paya tha Nilu, 14 saal ka bachcha dard ke kisi padav pe aake tut gaya... usne humare jungle ke thikane ke baare mein sab bata diya tha... Mujhe khabri ne khabar di ke jungle mein humare parivaro ko dhund dhund ke mara jaa raha hai... Aur phir ek shaam Gohar mere tehkhane mein aayi aur usne mujhe woh khat diye jo tum mujhe likha karti thi... Mujhe woh khat deke boli ke tumpe usne sipahi chhod diye hain. Tum aur Sher khan farar toh ho par, uske sipahi tumhara pichha kar rahe the...

Mere paas uss se nikah karne ke alava koi rastaa nahi tha... mujhe tumhe bachana tha, toh main razi hogaya. Par main mouke ki talash mein tha Nilu. Par Durga ne Eid ke mele mein humla kar diya. Pure waqt jab tumhari sena lad rahi thi ek sipahi sirf aur sirf tumpe nishana dage huye tha... Main agar hilta bhi toh woh tumhara kya haal karte yeh soch ke bhi mera dil dehal jata hai. Phir tum aayi aur Gohar ko khatam kar dala... main khush ho pata isse pehle maine uss sipahi ko tumhari taraf Chhura fekte dekha. Main cheekha tha Nilu, par tumne palat ke dekha hi nahi... Tum zeherila chhura seene mein liye hi ghoda doudati rahi. Haa tumne apne Dassyu Raja ko azaad kar diya tha par, tumne usse uski zinda rehne ki wajah hi cheen li. Main tumhare pichhe aaya, toh tumne meri taraf dekhne se bhi inkaar kar diya. Main kitna roya par tum nahi mani. Akhir mere haathon mein tumne apna dum tod diya.

Uske baad Abul ke jeene ki koi wajah hi nahi rahi, toh usne tumhare mrit sharir ki maang bhari aur chita ke saat phere liye aur phir tumhare saath usi chita mein jalke khak hogaya. Usne Durga ko dhoka nahi diya Nilu. Abul toh humesha se Durga se pyar karta tha aur usi ke saath jeevan bitana chahta tha.... Isliye jab Durga nahi rahi to uske jeene ki ichha bhi khatam ho gayi.

Nilu: (was crying in big heaving sobs) nahi nahin... aapne aisa kyu kiya? Aap azaad ho jaaye aur khush rahe Durga bas yahi chahti thi. Woh sena leke kabhi nahi aati agar usse lagta aap khush aur azaad hai. Use aapka bandi rehna manzur nahi tha. Aur isiliye... isiliye...

Byom: Nilu,.... Niluuuu...(she fainted in his arms again Byom held her tightly. He never realized he was crying too)

Tupak, Biren and Mrinu stood at the other end of the door and were wiping their tears too. But they were scared too... will this work or will take a turn for the worse. 


Jonakir KhelagharМесто, где живут истории. Откройте их для себя